Quote
"din viraan shab bojhal likh ghazlein cigarette botal likh gumnaamon ki nagri mein shohrat ko tu paagal likh sadiyon jaisaa us ke bin lamha lamha pal pal likh dil-mausam mein main aur vo naddi naale jal-thal likh vaadon ki barsaaton mein yaadon ki hai daldal likh phail gayaa hai raaton-raat un aankhon kaa kaajal likh gham apni jaagir 'hanif' ishq paraayaa makhmal likh"
