SHAWORDS

miraa chehraa bholaa o maahi — Injeel Saheefa

HomeInjeel SaheefaGhazal
"miraa chehraa bholaa o maahi par ruup sanpola o maahi tiri taal-se-taal milaa baiThi miraa ang-ang Dolaa o maahi koi raakh patangon vaali ho jale husn kaa sho'la o maahi mujhe bhej naa apni basti kaa vahi uDan-khaTolaa o maahi tiri sundartaa pe hairaan huun mujhe darpan bolaa o maahi main ne band kivaaD bhi khol diye main ne man bhi kholaa o maahi mire nain-nain sab daasi se miraa jogi-cholaa o maahi tiraa lams lahu mein dauDaa hai tu ne zahr saa gholaa o maahi tiri priit mein sudh-budh kho baiThi tire 'ishq ne raulaa o maahi mire rup-sarup ko pujtaa hai tu hai saanval Dholaa o maahi mujhe prem ke akhshar bhuul gae koi pandrah sola o maahi miraa haar-singhaar bhi be-matlab tiraa dil be-molaa o maahi mujhe gur vyopaar ke sikhlaa de zaraa maasha-tolaa o maahi"
Urdu

مرا چہرا بھولا او ماہی پر روپ سنپولہ او ماہی تری تال‌ سے تال ملا بیٹھی مرا انگ انگ ڈولا او ماہی کوئی راکھ پتنگوں والی ہو جلے حسن کا شعلہ او ماہی مجھے بھیج نا اپنی بستی کا وہی اڑن کھٹولا او ماہی تری سندرتا پہ حیراں ہوں مجھے درپن بولا او ماہی میں نے بند کواڑ بھی کھول دئیے میں نے من بھی کھولا او ماہی مرے نین نین سب داسی سے مرا جوگی چولا او ماہی ترا لمس لہو میں دوڑا ہے تو نے زہر سا گھولا او ماہی تری پریت میں سدھ بدھ کھو بیٹھی ترے عشق نے رولا او ماہی مرے روپ سروپ کو پوجتا ہے تو ہے سانول ڈھولا او ماہی مجھے پریم کے اکھشر بھول گئے کوئی پندرہ سولہ او ماہی مرا ہار سنگھار بھی بے مطلب ترا دل بے مولا او ماہی مجھے گر ویوپار کے سکھلا دے ذرا ماشہ‌ تولا او ماہی

Hindi

मिरा चेहरा भोला ओ माही पर रूप सँपोला ओ माही तिरी ताल-से-ताल मिला बैठी मिरा अंग-अंग डोला ओ माही कोई राख पतंगों वाली हो जले हुस्न का शो'ला ओ माही मुझे भेज ना अपनी बस्ती का वही उड़न-खटोला ओ माही तिरी सुंदरता पे हैराँ हूँ मुझे दर्पन बोला ओ माही मैं ने बंद किवाड़ भी खोल दिए मैं ने मन भी खोला ओ माही मिरे नैन-नैन सब दासी से मिरा जोगी-चोला ओ माही तिरा लम्स लहू में दौड़ा है तू ने ज़हर सा घोला ओ माही तिरी प्रीत में सुध-बुध खो बैठी तिरे 'इश्क़ ने रौला ओ माही मिरे रूप-सरूप को पूजता है तू है सांवल ढोला ओ माही मुझे प्रेम के अक्षर भूल गए कोई पंद्रह सोला ओ माही मिरा हार-सिंघार भी बे-मतलब तिरा दिल बे-मोला ओ माही मुझे गुर व्योपार के सिखला दे ज़रा माशा-तोला ओ माही

mirā chehrā bholā o maahī
Injeel Saheefa
Injeel Saheefa
Injeel Saheefa
poet5 quotes

More by Injeel Saheefa

View all →
Quote
"siip muTThi mein hai aafaaq bhi ho saktaa hai aur agar chaahun to ye khaak bhi ho saktaa hai ye jo maasum saa Dar hai kisi bachche jaisaa aise haalaat mein saffaak bhi ho saktaa hai aao us tisre nukte pe bhi kuchh ghaur karein ham jise juft kahein taaq bhi ho saktaa hai vajd mein raqs to be-khauf kiyaa jaataa hai ho agar ishq to bebaak bhi ho saktaa hai hijr naasur hai chup-chaap hi jhelo is ko aah-o-zaari se khatarnaak bhi ho saktaa hai ye jo sarsabz saa lagtaa hai umidon kaa shajar rut badalne pe ye khaashaak bhi ho saktaa hai to abhi bhej de us paar se rahmat koi main ye sunti huun karam Daak bhi ho saktaa hai vo jo koson tujhe phailaa huaa aataa hai nazar vo samundar miri poshaak bhi ho saktaa hai ye siyaah-bakht use DhunDne lag jaaein agar un ko phir nuur kaa idraak bhi ho saktaa hai main jo miTTi se khudaa aur banaanaa chaahun aasmaan mere liye chaak bhi ho saktaa hai kyuun naa 'injil' dobaara se utaari jaae koi isaai ki tarah paak bhi ho saktaa hai"
Injeel SaheefaInjeel Saheefa
Quote
"fazaa mein rang se bikhre hain chaandni hui hai kisi sitaare ki titli se dosti hui hai miri tamaam riyaazat kaa ek haasil hai vahi duaa jo tere naam se juDi hui hai main haadse se nikal aai huun magar dekho zamin ab bhi mire jism par paDi hui hai abhi to tu ne miraa haath bhi nahin thaamaa ye kis khabar se zamaane mein sansani hui hai udaasi jonk hai ye khuun chuus leti hai ye baat main ne kahin aur bhi suni hui hai main tere lams ke jaadu se khuub vaaqif huun vo shaakh huun jo tire haath par hari hui hai jo aankhein seink rahe hain unhein khabar hi nahin yahaan pe khvaab jale hain to raushni hui hai main laal rang lagaati thi niile khvaabon ko isi liye to ye taabir kaasni hui hai vo mere baare mein kyaa sochtaa hai kyaa maalum khudaa se meri mulaaqaat sarsari hui hai main pichhle saal ki tasvir bhej deti tujhe magar ye ek taraf se zaraa jali hui hai mazaa to jab hai ki 'injil' hi lage sab ko nuzul-e-ishq pe jitni bhi shaairi hui hai"
Injeel SaheefaInjeel Saheefa
Quote
"mujhe saanson ki hai thoD piyaa miraa saath abhi mat chhoD piyaa kari minnat zaari tar le sab main ne haath diye hain joD piyaa meri maang sindur se khaali kar hari chuDi aa kar toD piyaa kahin parbat paar main bas jaaun jahaan dikhe na meraa koDh piyaa main ne pag pag teri balaaein liin main ne phunke vird karoD piyaa meri aas ki saans ukhaDti hai tu mukh apnaa na moD piyaa tiraa hijr vichhoDaa maar gayaa liyaa saaraa lahu nichoD piyaa meri aankhein ro ro khaak huiin mire ashk na aise roD piyaa tire sikke mujh ko sonaa hain chal maaTi maTki phoD piyaa miraa haal dhamaal hai jogan saa main ne vajd liyaa hai oDh piyaa hai ye prem janm-janmaataa kaa mujhe saat janam tiri loD piyaa"
Injeel SaheefaInjeel Saheefa

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud