Quote
"hai itni dhuup ki tanhaaiyaan ujaalti hai nigaah aaTh-pahar aaina khangaalti hai main ghaur-o-fikr ki gahraaiyon mein hotaa huun tire khayaal ki naddi mujhe uchhaalti hai har ek lamha huun main khud-kushi pe aamaada kisi tarah mujhe masrufiyat sanbhaalti hai vahaan se pahle kahin justuju na mar jaae jahaan umiid koi raasta nikaalti hai suno ki dil mein adaa ho rahi hai aap se aap vo ek baat jo kahne mein dam nikaalti hai"
