SHAWORDS

mire qalam kaa agar sar kabhi qalam hogaa — Rasheeda Ayan

HomeRasheeda AyanGhazal
"mire qalam kaa agar sar kabhi qalam hogaa nayaa fasaana-e-dard-o-alam raqam hogaa ye maanti huun miTaa degaa meraa daur mujhe nae zamaane kaa is khaak se janam hogaa main apne aap ki pahchaan bhuul baiThi huun ab is se aur baDaa kyaa koi sitam hogaa na jaane kyuun mujhe sach bolne ki aadat hai ye jaan kar ki har ik gaam sar qalam hogaa chalo uThaate hain aivaan-e-vaqt kaa malba usi mein dafn miri zaat kaa sanam hogaa falak ne muund liin aankhein zamin ne roki saans 'ayaan' kaa aaj nai raah par qadam hogaa"
Urdu

مرے قلم کا اگر سر کبھی قلم ہوگا نیا فسانۂ درد و الم رقم ہوگا یہ مانتی ہوں مٹا دے گا میرا دور مجھے نئے زمانے کا اس خاک سے جنم ہوگا میں اپنے آپ کی پہچان بھول بیٹھی ہوں اب اس سے اور بڑا کیا کوئی ستم ہوگا نہ جانے کیوں مجھے سچ بولنے کی عادت ہے یہ جان کر کہ ہر اک گام سر قلم ہوگا چلو اٹھاتے ہیں ایوان وقت کا ملبہ اسی میں دفن مری ذات کا صنم ہوگا فلک نے موند لیں آنکھیں زمیں نے روکی سانس عیاںؔ کا آج نئی راہ پر قدم ہوگا

Hindi

मिरे क़लम का अगर सर कभी क़लम होगा नया फ़साना-ए-दर्द-ओ-अलम रक़म होगा ये मानती हूँ मिटा देगा मेरा दौर मुझे नए ज़माने का इस ख़ाक से जनम होगा मैं अपने आप की पहचान भूल बैठी हूँ अब इस से और बड़ा क्या कोई सितम होगा न जाने क्यूँ मुझे सच बोलने की आदत है ये जान कर कि हर इक गाम सर क़लम होगा चलो उठाते हैं ऐवान-ए-वक़्त का मलबा उसी में दफ़्न मिरी ज़ात का सनम होगा फ़लक ने मूँद लीं आँखें ज़मीं ने रोकी साँस 'अयाँ' का आज नई राह पर क़दम होगा

mire qalam kā agar sar kabhī qalam hogā
Rasheeda Ayan
Rasheeda Ayan
Rasheeda Ayan
poet5 quotes

More by Rasheeda Ayan

View all →
Quote
"usi ki ho gai huun rafta rafta usi mein kho gai huun rafta rafta main kisht-e-zist mein faslon ki surat kuchh aansu bo gai huun rafta rafta guzaari hain hazaaron dukh ki raatein bahaadur ho gai huun rafta rafta sitam sah kar rahi khaamosh sadiyon vo samjhaa so gai huun rafta rafta main ho kar be-khataa mujrim hi Thahri to baaghi ho gai huun rafta rafta jafaa khu se vafaaein karte karte divaani ho gai huun rafta rafta 'ayaan' patthar ke siine mein Thahar kar main paani ho gai huun rafta rafta"
Rasheeda AyanRasheeda Ayan
Quote
"rehl pe haathon ki rakh kar main rukh kaa sahifa sochun huun aur agar kuchh ban nahin paDtaa chupke chupke ro luun huun moti ashk sitaare aansu zardaaron ki tashbihaat bhuuk mein palkon par goyaa main jvaar ke daane tolun huun jab koi zardaar mile hai raah mein apni chaal mein mast patthar se kyaa Takraanaa main ek kinaare ho luun huun nanhe nanhe haathon mein jab bhiik kaa kaasa dekhun main der talak main haath sameTe khaali jeb TaTolun huun sarson ke khaliyaan pe qaabiz andhiyaaron ke shaaki hain main to lahu ke diip jalaa kar chain se shab bhar so luun huun munim jab tahqir se dekhe mere sukhe sukhe haath ponchh ke peshaani se pasina apne haath bhigo luun huun sher kahaan ye dil ke darvaaze par halki dastak hai ek kani almaas ki jis se patthar mein dar kholun huun"
Rasheeda AyanRasheeda Ayan
Quote
"baiThe baiThe muskuraa di khud hi ghabraai kabhi pyaar ke mausam mein aisi bhi ghaDi aai kabhi aap kaa daaman to saahil ret kaa saabit huaa mauj-e-ashk-e-khun bhi jis ko tar na kar paai kabhi apne sar le kar zamaane bhar ki saari tohmatein dafn kar di apni khaamoshi mein goyaai kabhi saath guzre chand lamhon ki sunahri yaad se chalne lagti hai mire saanson mein purvaai kabhi zindagi bhar aap apne aaine mein gum rahe shakhsiyat yaa shakl meri bhi nazar aai kabhi chhoDiye ye to hamaare pyaar kaa hai moajiza duur ab se aap bhi hote the harjaai kabhi ik kiran hi chaand ki ban kar main ho jaati nisaar aarzu lekin 'ayaan' apni na bar aai kabhi"
Rasheeda AyanRasheeda Ayan
Quote
"jin ki taabir na ho khvaab vo aane se rahe ye azaab ab to ham aankhon mein basaane se rahe khol hi leinge fasilon mein nae dar ham log laakh mahbus sahi vaqt ganvaane se rahe ahl-e-pindaar hain daryuza-gari kab hai qubul bhiik lene ko kisi dar pe to jaane se rahe ek din qaid-e-qafas toD ke uD jaaeinge qaid mein rah ke abas shor machaane se rahe jaag uTThe hain to ab jaagte rahnaa hai hamein jaagti aankhon mein ab khvaab sajaane se rahe daur-e-maazi ke kai zakhm abhi taaza hain ab koi dariyaa nayaa dil mein basaane se rahe is talaatum mein bhi dhaaron ko nayaa rukh deinge lahr ke dosh pe ham khud ko bahaane se rahe kuchh 'ayaan' ham bhi to pindaar-e-vafaa rakhte hain be-sabab ruThne vaalon ko manaane se rahe"
Rasheeda AyanRasheeda Ayan

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb