"hayaat-o-maut kaa ik silsilaa hai mohabbat intihaa tak ibtidaa hai main kyaa jaanun ki baab-e-tauba kyaa hai abhi to mai-kade kaa dar khulaa hai zaraa phir dil pe nazrein Daal diije charaagh-e-aarzu khaamosh saa hai ataa kar di tumhaari aarzu ne vo ik duniyaa jo duniyaa se judaa hai hasin hon laakh duniyaa ke manaazir vo kyaa dekhe jo tum ko dekhtaa hai nazar ke saath nazzaara bhi gum hai dil-e-muztar ye kis kaa saamnaa hai mire dil ko na rakh be-rang saaqi ki har saaghar gulaabi ho rahaa hai na dozakh hai na jannat hai to 'baasit' mire aamaal-e-gham kaa kyaa silaa hai"
miT gae ham muddaaa-e-ishq haasil ho gayaa — Basit Bhopali
"miT gae ham muddaaa-e-ishq haasil ho gayaa ye fasaana apni be-rabti se kaamil ho gayaa un kaa barbaad-e-karam kahne ke qaabil ho gayaa dil haqiqat mein jahaan TuuTaa vahin dil ho gayaa naa-mukammal zindagi ke kuchh mukammal haadsaat jab murattab ho gae afsaana-e-dil ho gayaa main ne jo parda uThaayaa tum ko dekhaa saamne tum ne jis dil par nazar Daali miraa dil ho gayaa baarhaa dekhaa hai dil ne o mire mahshar-khiraam hashr uTThaa aur tire qadmon mein shaamil ho gayaa dil jahaan uchhlaa nazar aaya muhit-e-do-jahaan arsa-e-kaunain jab simTaa miraa dil ho gayaa jab nigaah-e-shauq uTThi husn ban kar rah gai jo qadam ham ne uThaayaa naqsh-e-manzil ho gayaa jaan denaa aa gayaa un ki tamanna mein jise istilaah-e-ishq mein jiine ke qaabil ho gayaa be-khabar rahnaa hi achchhaa is jahaan-e-ghair mein miT gayaa jo vaaqif-e-aadaab-e-mahfil ho gayaa yaa kabhi manzil thi maqsud-e-mazaaq-e-justuju yaa mazaaq-e-justuju maqsud-e-manzil ho gayaa dekhnaa 'baasit' mire khun-e-tamannaa kaa farogh aur bhi rangin kuchh daamaan-e-qaatil ho gayaa"
مٹ گئے ہم مدعائے عشق حاصل ہو گیا یہ فسانہ اپنی بے ربطی سے کامل ہو گیا ان کا برباد کرم کہنے کے قابل ہو گیا دل حقیقت میں جہاں ٹوٹا وہیں دل ہو گیا نامکمل زندگی کے کچھ مکمل حادثات جب مرتب ہو گئے افسانۂ دل ہو گیا میں نے جو پردہ اٹھایا تم کو دیکھا سامنے تم نے جس دل پر نظر ڈالی مرا دل ہو گیا بارہا دیکھا ہے دل نے او مرے محشر خرام حشر اٹھا اور ترے قدموں میں شامل ہو گیا دل جہاں اچھلا نظر آیا محیط دو جہاں عرصۂ کونین جب سمٹا مرا دل ہو گیا جب نگاہ شوق اٹھی حسن بن کر رہ گئی جو قدم ہم نے اٹھایا نقش منزل ہو گیا جان دینا آ گیا ان کی تمنا میں جسے اصطلاح عشق میں جینے کے قابل ہو گیا بے خبر رہنا ہی اچھا اس جہان غیر میں مٹ گیا جو واقف آداب محفل ہو گیا یا کبھی منزل تھی مقصود مذاق جستجو یا مذاق جستجو مقصود منزل ہو گیا دیکھنا باسطؔ مرے خون تمنا کا فروغ اور بھی رنگین کچھ دامان قاتل ہو گیا
मिट गए हम मुद्दआ'-ए-इश्क़ हासिल हो गया ये फ़साना अपनी बे-रब्ती से कामिल हो गया उन का बर्बाद-ए-करम कहने के क़ाबिल हो गया दिल हक़ीक़त में जहाँ टूटा वहीं दिल हो गया ना-मुकम्मल ज़िंदगी के कुछ मुकम्मल हादसात जब मुरत्तब हो गए अफ़्साना-ए-दिल हो गया मैं ने जो पर्दा उठाया तुम को देखा सामने तुम ने जिस दिल पर नज़र डाली मिरा दिल हो गया बारहा देखा है दिल ने ओ मिरे महशर-ख़िराम हश्र उट्ठा और तिरे क़दमों में शामिल हो गया दिल जहाँ उछला नज़र आया मुहीत-ए-दो-जहाँ अर्सा-ए-कौनैन जब सिमटा मिरा दिल हो गया जब निगाह-ए-शौक़ उट्ठी हुस्न बन कर रह गई जो क़दम हम ने उठाया नक़्श-ए-मंज़िल हो गया जान देना आ गया उन की तमन्ना में जिसे इस्तिलाह-ए-इश्क़ में जीने के क़ाबिल हो गया बे-ख़बर रहना ही अच्छा इस जहान-ए-ग़ैर में मिट गया जो वाक़िफ़-ए-आदाब-ए-महफ़िल हो गया या कभी मंज़िल थी मक़्सूद-ए-मज़ाक़-ए-जुस्तुजू या मज़ाक़-ए-जुस्तुजू मक़्सूद-ए-मंज़िल हो गया देखना 'बासित' मिरे ख़ून-ए-तमन्ना का फ़रोग़ और भी रंगीन कुछ दामान-ए-क़ातिल हो गया

More by Basit Bhopali
View all →"pi rahaa huun ki haqiqat ye faraamosh nahin ahl-e-dil ke liye ik haadisa hai hosh nahin nigah-o-dil se mire bach ke samaa jaa mujh mein main khud aaghosh huun meraa koi aaghosh nahin na haTaa saaghar-e-gul-rang labon se mere tujh ko to hosh hai saaqi jo mujhe hosh nahin sach to ye hai nigah-e-naaz tire sar ki qasam miT ke bhi dil tire ehsaan se subuk-dosh nahin aaj samjhaa tiri mastaana nigaahon ke nisaar hosh kahte hain jise asl mein vo hosh nahin mere aaghosh-e-mohabbat mein na aane vaale kyaa hai duniyaa agar aaghosh hi aaghosh nahin kab nahin dil mein mire kashmakash-e-vasl-o-firaaq kab vo aaghosh mein begaana-e-aaghosh nahin vo bhi chaahein to judaa ho nahin sakte 'baasit' dil miraa dil hai kisi aur kaa aaghosh nahin"
"muddaaa koi apnaa na paayaa jab duaa ke liye haath uThaayaa us mein apnaa hi sab aks paayaa un ke chehre pe jo rang aaya be-khudi par miri hansne vaalo lo sambhaalo mujhe hosh aaya vo zamin sajda-gaah-e-vafaa hai paD gayaa hai jahaan apnaa saayaa ham ne khaayaa fareb-e-mohabbat chain kho kar hamein chain aaya raahzan hi vo niklaa bil-aakhir rahnumaa jis ko apnaa banaayaa tu ne uqbaa ko firdaus bakhshi ham ne duniyaa ko jannat banaayaa yaad un ki baDhaai shab-e-gham aag ko aag hi se bujhaayaa band aankhon ke the sab karishme aankh kholi to kuchh bhi na paayaa vo bhi hairaan ham bhi pareshaan ishq 'baasit' kise raas aaya"
"nahin ye jalva-haa-e-raaz-e-irfaan dekhne vaale tumhein kab dekhte hain kufr-o-imaan dekhne vaale khudaa rakkhe tire gham kaa bahut naazuk zamaana hai sahar dekhein na dekhein shaam-e-hijraan dekhne vaale ye kis ne laa ke rakh di saamne tasvir mahshar ki abhi chaunke hi the khvaab-e-pareshaan dekhne vaale kahaan tak aaina-daar-e-tajalliyaat-e-khud-bini ye parda bhi ulaT de o dil-o-jaan dekhne vaale ye divaane sujud-e-shauq ki 'azmat ko kyaa jaanein mujhe kyaa paaein farq-e-kufr-o-imaan dekhne vaale kabhi girdaab se bhi khel maujon se bhi Takraa jaa are saahil pe rah kar josh-e-tufaan dekhne vaale tire qurbaan 'baasit' aur 'baasit' ki har ik duniyaa bahaar-e-vahshat-e-aashufta-haalaan dekhne vaale"
"na furqat ne luuTaa na aahon ne maaraa mohabbat bhare ishtibaahon ne maaraa mire dil ko un ki nigaahon ne maaraa inhin do mohabbat-panaahon ne maaraa mohabbat ki in sair-gaahon ne maaraa tiri multafit si nigaahon ne maaraa tumhaari nigaahon ki be-shak khataa kyaa mujhe khud hi meri nigaahon ne maaraa pareshaan pareshaan vo maasum nazrein gham-e-ishq ke daad-khvaahon ne maaraa duhaai hai ai manzil-e-husn-e-jaanaan mohabbat ki sunsaan raahon ne maaraa na dekho mohabbat se aaina dekho ki aisi hi mujh ko nigaahon ne maaraa vo kyaa qadr-o-qimat tire gham ki jaanein jinhein ziist ki aam raahon ne maaraa miri ehtiyaat-e-junun haae 'baasit' na manzil ne luuTaa na raahon ne maaraa"
"mohabbat ki intihaa chaahtaa huun unhein haasil-e-ibtidaa chaahtaa huun use barmalaa dekhnaa chaahtaa huun adab ai mohabbat ye kyaa chaahtaa huun gham-e-ishq kaa silsilaa chaahtaa huun main tujh tak tiraa vaastaa chaahtaa huun karam-haa-e-naa-mustaqil kaa gila kyaa sitam-haa-e-be-intihaa chaahtaa huun vo ghabraa ke jis par nazar Daal hi dein main vo qalb-e-shorish-adaa chaahtaa huun karam kijiye to karam kaa huun taalib sazaa dijiye to sazaa chaahtaa huun tiri yaad achchhi tarah zikr pyaaraa magar main tujhe dekhnaa chaahtaa huun tire ishq hi se bani meri hasti tire ishq hi mein miTaa chaahtaa huun jo taaza kare qissa-e-tur 'baasit' main aisaa hi ik vaaqia chaahtaa huun"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"