SHAWORDS

miTTi ke lutf-o-kaif-o-asar se nikalte ham — Khumar Qureshi

HomeKhumar QureshiGhazal
"miTTi ke lutf-o-kaif-o-asar se nikalte ham mausam thaa abr-o-baad kaa ghar se nikalte ham phir muntaqil hui hai badan se lahu ki aag is sehr-gaah-samt-o-safar se nikalte ham naam-o-nasab ki dhund mein khoe hue hain sab mahmez karte aur bhanvar se nikalte ham tere baghair subh-o-masaa kaa havaala kyaa is kaar-gaah shaam-o-sahar se nikalte ham tu muntakhab hai tujh se hai ye rang-o-bu tamaam haan muntashir hain aib-o-hunar se nikalte ham kaisaa khalaa hai sinaa-e-insaan mein khema-zan is maavaraa-e-naqd-o-nazar se nikalte ham jaulaangah-e-nashaat bhi thi gham bhi the 'khumaar' divaar-o-dar se shaakh-o-shajar se nikalte ham"
Urdu

مٹی کے لطف و کیف و اثر سے نکلتے ہم موسم تھا ابر و باد کا گھر سے نکلتے ہم پھر منتقل ہوئی ہے بدن سے لہو کی آگ اس سحر گاہ سمت و سفر سے نکلتے ہم نام و نسب کی دھند میں کھوئے ہوئے ہیں سب مہمیز کرتے اور بھنور سے نکلتے ہم تیرے بغیر صبح و مسا کا حوالہ کیا اس کار گاہ شام و سحر سے نکلتے ہم تو منتخب ہے تجھ سے ہے یہ رنگ و بو تمام ہاں منتشر ہیں عیب و ہنر سے نکلتے ہم کیسا خلا ہے سینۂ انساں میں خیمہ زن اس ماورائے نقد و نظر سے نکلتے ہم جولاں گہہ نشاط بھی تھی غم بھی تھے خمارؔ دیوار و در سے شاخ و شجر سے نکلتے ہم

Hindi

मिट्टी के लुत्फ़-ओ-कैफ़-ओ-असर से निकलते हम मौसम था अब्र-ओ-बाद का घर से निकलते हम फिर मुंतक़िल हुई है बदन से लहू की आग इस सेहर-गाह-सम्त-ओ-सफ़र से निकलते हम नाम-ओ-नसब की धुँद में खोए हुए हैं सब महमेज़ करते और भँवर से निकलते हम तेरे बग़ैर सुब्ह-ओ-मसा का हवाला क्या इस कार-गाह शाम-ओ-सहर से निकलते हम तू मुंतख़ब है तुझ से है ये रंग-ओ-बू तमाम हाँ मुंतशिर हैं ऐब-ओ-हुनर से निकलते हम कैसा ख़ला है सीना-ए-इंसाँ में ख़ेमा-ज़न इस मावरा-ए-नक़्द-ओ-नज़र से निकलते हम जौलाँ-गह-ए-नशात भी थी ग़म भी थे 'ख़ुमार' दीवार-ओ-दर से शाख़-ओ-शजर से निकलते हम

miTTī ke lutf-o-kaif-o-asar se nikalte ham
K
Khumar Qureshi
Khumar Qureshi
poet13 quotes

More by Khumar Qureshi

View all →
Quote
"kyaa shikva karein tohmat-e-be-baal-o-pari kaa har din hai shab-e-zulf ki bedaad-gari kaa rahne do abhi baam pe khulti hui aankhein manzar ye mire saamne hai khush-nazari kaa ik haath bulaave ke liye rauzan-e-jaan mein ik haath alaamat hai kisi sabz-pari kaa ehsaas-e-peshemaani-e-ahbaab na puchho har ek ko yaan gham hai faqat be-hunari kaa divaar-o-dar-o-saqf-o-sutun farsh-o-daricha rishta kisi ghar se nahin hotaa safari kaa basti mire ahbaab se khaali hai abhi tak saaya hai miri jaan pe faqat bad-nazari kaa jaadu hai tire jism ke har pech mein kham mein nashsha hai rag-o-pai mein bhi shorida-sari kaa chalte rahe tujh tak hi pahunchne ke liye sab sab rang uDaa jaataa hai naadida-vari kaa in rozon hai badli hui ye taba hamaari ab khushk rahaa kartaa hai mausam bhi tari kaa ham kab sar-o-saamaan-e-sukhan se rahe khaali ik umr se ye shaghl rahaa dard-sari kaa"
K
Khumar Qureshi
Quote
"simTun kahaan se sath pe dariyaa ravaan nahin uThtaa kahaan se mauj mein taab-o-tavaan nahin thamtaa nafas nafas ke ishaare qadam qadam dauDun main kaise paanv mein reg-e-ravaan nahin pursaan-e-shab sitaare nahin hain sar-e-falak shorida-sar khalaaon bharaa aasmaan nahin ik ranj-e-be-kanaar tamavvuj-talab kahaan ik lutf-e-be-bahaa sar-e-daaman giraan nahin kyaa kahiye lams-haa-e-kharaabi kaa intishaar nazron mein ab zamin nahin aasmaan nahin 'aalam pe lakht lakht paDe raushni kaa bojh aavaara-paa bhi shaaki-e-zulmat-fashaan nahin phir dasht-e-laa-makaan mein sadaa-e-jaras kahaan phir musht-e-khaak laaeq-e-sad-imtihaan nahin"
K
Khumar Qureshi
Quote
"bahut huaa to miri mohabbat tiri gali tak safar karegi gulaab jaisi hikaayaton ko idhar udhar mo'atabar karegi ye teri aankhon ki subh-e-khandaan ye teri zulfon ki shaam-e-imkaan ba-juz qayaamat ye kuchh nahin hai tabaah ye sar-basar karegi ufaq ufaq intikhaab-e-jaanaan taraf taraf rang-o-bu-e-khubaan ik aise aalam mein shab hamaari charaagh le kar sahar karegi hamin hain vaamaanda-e-dil-o-jaan hamin hain taqrib-e-dil kaa saamaan hamaare raste mein dasht-o-sahraa ki be-navaai bhi ghar karegi idhar nasheb-e-adam se nikle udhar faraaz-e-adam mein Duube hamein ye duniyaa firaaq de kar kise bahisht-e-nazar karegi ye shahr-e-gul-e-barg ki havaa bhi hamaare haq mein sumum Thahri ghazal hamein itnaa yaad rakhnaa ye jitnaa sarf-e-nazar karegi"
K
Khumar Qureshi
Quote
"andhe raston par phailaaun haath kahaan mere nasibon mein taaron ki raat kahaan Daali Daali jugnu aur sharaare hain resham ke kiiDe ki ye auqaat kahaan us se milein aur sukh-dukh ki baatein kar lein ik tariq pe rahte hain haalaat kahaan raat hui aur niind jazire mein pahunchi be-patvaar ki kashti mein ye baat kahaan pichhlaa mausam be-samari mein biit gayaa agli rut mein haath aaeinge paat kahaan ghar jaise phal phuul kahaan milte hain 'khumaar' ghar si neamat milti hai din raat kahaan"
K
Khumar Qureshi

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar