SHAWORDS

mo'tabar se rishton kaa saaebaan rahne do — Azra Naqvi

HomeAzra NaqviGhazal
"mo'tabar se rishton kaa saaebaan rahne do mehrbaan duaaon mein khaandaan rahne do muzmahil se baam-o-dar khasta-haal divaarein baap ki nishaani hai vo makaan rahne do phailte hue shahro apni vahshatein roko mere ghar ke aangan par aasmaan rahne do aane vaali naslein khud hal talaash kar leingi aaj ke masaail ko khush-gumaan rahne do uljhe uljhe resham ki Dor se bandhe rishte har ghaDi mohabbat kaa imtihaan rahne do kyaa bahut zaruri hai saari baat kah Daalein jugnuon se kuchh lamhe darmiyaan rahne do"
Urdu

معتبر سے رشتوں کا سائبان رہنے دو مہرباں دعاؤں میں خاندان رہنے دو مضمحل سے بام و در خستہ حال دیواریں باپ کی نشانی ہے وہ مکان رہنے دو پھیلتے ہوئے شہرو اپنی وحشتیں روکو میرے گھر کے آنگن پر آسمان رہنے دو آنے والی نسلیں خود حل تلاش کر لیں گی آج کے مسائل کو خوش گمان رہنے دو الجھے الجھے ریشم کی ڈور سے بندھے رشتے ہر گھڑی محبت کا امتحان رہنے دو کیا بہت ضروری ہے ساری بات کہہ ڈالیں جگنوؤں سے کچھ لمحے درمیان رہنے دو

Hindi

मो'तबर से रिश्तों का साएबान रहने दो मेहरबाँ दुआओं में ख़ानदान रहने दो मुज़्महिल से बाम-ओ-दर ख़स्ता-हाल दीवारें बाप की निशानी है वो मकान रहने दो फैलते हुए शहरो अपनी वहशतें रोको मेरे घर के आँगन पर आसमान रहने दो आने वाली नस्लें ख़ुद हल तलाश कर लेंगी आज के मसाइल को ख़ुश-गुमान रहने दो उलझे उलझे रेशम की डोर से बंधे रिश्ते हर घड़ी मोहब्बत का इम्तिहान रहने दो क्या बहुत ज़रूरी है सारी बात कह डालें जुगनुओं से कुछ लम्हे दरमियान रहने दो

mo'tabar se rishtoñ kā sā.ebān rahne do
Azra Naqvi
Azra Naqvi
Azra Naqvi
poet23 quotes

More by Azra Naqvi

View all →
Quote
"ik muddat ke baa'd mili ehsaas jagaati tanhaai khaamoshi se dhire dhire ghar mahkaati tanhaai aavaazon ki bhiiD mein jab bhi mujh ko pareshaan dekhaa hai haath pakaD kar le aai hai kuchh samjhaati tanhaai aankhon se jab niind bhaTak kar sahraa sahraa ghumti hai mere sirhaane raat gae tak lori gaati tanhaai bachpan mein jab garm do-pahri nange paanv phirti thi aam ke baaghon mein milti thi ras barsaati tanhaai pyaar ki khvaab-ruton mein kaisi jaagi soi rahti thi chaand hinDole mein jhuli thi jab madh-maati tanhaai pahron ham ne baatein ki hain pahron khvaab sajaae hain main roi to mujh se chhup kar ashk bahaati tanhaai bahut dinon ke baa'd sanvar kar apnaa chehra dekhaa thaa aaine se jhaank rahi thi aankh churaati tanhaai"
Azra NaqviAzra Naqvi
Quote
"har raat sitaaron kaa safar mere liye hai har roz nai taaza sahar mere liye hai ik shahr-e-tilismaat mujhe DhunD rahaa hai bechain koi raahguzar mere liye hai jab chaahun takhayyul se kisi daur mein ji luun lamhon mein ye sadiyon kaa safar mere liye hai kahte hain samundar mein kai raaz chhupe hain sandes liye koi bhanvar mere liye hai guzre hue fankaaron ki miraas mili hai un sab ki riyaazat kaa samar mere liye hai shikve to bahut tujh se hain ai jaan magar tu chhitnaar mohabbat kaa shajar mere liye hai"
Azra NaqviAzra Naqvi
Quote
"aadhi jaagi aadhi soi raat bhi thi gahnaai si aankh khuli to dar pe khaDi thi subh bhi kuchh kumhlaai si din-bhar piiTh pe Dhoyaa suraj chehre par thi gard jami saath mein daftar se ghar lauTi shaam bhi kuchh uktaai si andeshon ki ungli thaame saal guzarte rahte hain kabhi kabhi lagne lagti hai apni umr paraai si lauT ke jaanaa naa-mumkin hai aage manzar dhundle hain baDhte qadmon mein haail hai khauf ki gahri khaai si sukhe sukhe jamunaa taT par piilaa piilaa taaj-mahal subh-e-banaras dhundli dhundli gangaa ji gadlaai si"
Azra NaqviAzra Naqvi
Quote
"airport station saDkon par hain kitne saare log jaane kaun se sukh ki khaatir phirte maare maare log shaam gae ye manzar ham ne mulkon mulkon dekhaa hai ghar lauTein bojhal qadmon se bujhe hue angaare log sab se shaaki khud se naalaan apni aag mein jalte hain dukh ke sivaa aur kyaa baanTeinge in jaise andhiyaare log pur-nam aankhon bojhal dil se kitni baar vidaai li kitnaa bojh liye phirte hain ham jaise banjaare log vo kitne khush-qismat the jo apne gharon ko lauT gae shahron shahron ghuum rahe hain ham haalaat ke maare log raat gae yaadon ke jangal mein divaali hoti hai diip sajaae aa jaate hain bhule bisre pyaare log bachpan kitnaa pyaaraa thaa jab dil ko yaqin aa jaataa thaa marte hain to ban jaate hain aasmaan ke taare log"
Azra NaqviAzra Naqvi

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb