SHAWORDS

moajiza ye bhi dikhaayaa main ne — Nigar Azeem

HomeNigar AzeemGhazal
"moajiza ye bhi dikhaayaa main ne apne qaatil ko rulaayaa main ne khud hi zakhmon se sajaayaa dil ko aur phir jashn manaayaa main ne ziist be-nur hui jaati thi phir lahu dil kaa jalaayaa main ne chaand aur phuul hi kyaa har shai mein bas tiraa aks hi paayaa main ne teri yaadon ko sajaa kar dil mein ik sanam-khaana banaayaa main ne shahr-e-ehsaas thaa vo khud bhi 'nigaar' but-kada dil kaa jo Dhaayaa main ne"
Urdu

معجزہ یہ بھی دکھایا میں نے اپنے قاتل کو رلایا میں نے خود ہی زخموں سے سجایا دل کو اور پھر جشن منایا میں نے زیست بے نور ہوئی جاتی تھی پھر لہو دل کا جلایا میں نے چاند اور پھول ہی کیا ہر شے میں بس ترا عکس ہی پایا میں نے تیری یادوں کو سجا کر دل میں اک صنم خانہ بنایا میں نے شہر احساس تھا وہ خود بھی نگارؔ بت کدہ دل کا جو ڈھایا میں نے

Hindi

मो'जिज़ा ये भी दिखाया मैं ने अपने क़ातिल को रुलाया मैं ने ख़ुद ही ज़ख़्मों से सजाया दिल को और फिर जश्न मनाया मैं ने ज़ीस्त बे-नूर हुई जाती थी फिर लहू दिल का जलाया मैं ने चाँद और फूल ही क्या हर शय में बस तिरा अक्स ही पाया मैं ने तेरी यादों को सजा कर दिल में इक सनम-ख़ाना बनाया मैं ने शहर-ए-एहसास था वो ख़ुद भी 'निगार' बुत-कदा दिल का जो ढाया मैं ने

mo.ajiza ye bhī dikhāyā maiñ ne
Nigar Azeem
Nigar Azeem
Nigar Azeem
poet10 quotes

More by Nigar Azeem

View all →
Quote
"zaat ki sair pe niklun miri himmat hi nahin is bayaabaan se guzarne ki jasaarat hi nahin zindagi main ne qanaaat kaa hunar siikh liyaa ab tire naaz uThaane ki zarurat hi nahin koi shikva na shikaayat na sitam hai na jafaa ek muddat se tiri ham pe inaayat hi nahin jab bhi milte hain chamak uThti hain aankhein un ki aur daavaa hai unhein ham se mohabbat hi nahin dil to kyaa chiiz hai patthar bhi pighal jaae magar jazba-e-ishq mein tere vo haraarat hi nahin apne ashkon se banaa dete bayaabaan ko chaman kyaa karein ham ko to rone ki ijaazat hi nahin mo'atabar bhi vahi arbaab-e-nazar mein Thahri jis kahaani mein koi harf-e-sadaaqat hi nahin us ki yaad aai hai mat chheD mujhe baad-e-sabaa tujh se phir baat karungi abhi fursat hi nahin gulshan-e-dil pe khizaaon kaa tasallut hai 'nigaar' koi khvaahish koi armaan koi chaahat hi nahin"
Nigar AzeemNigar Azeem
Quote
"sirf khaaka ubhar rahaa hai abhi koi chehra kahaan banaa hai abhi reza reza bikharti aankhon mein ghar kaa sapnaa basaa huaa hai abhi kaise kah duun badal gayaa mausam zakhm dil mein sajaa huaa hai abhi kin ruton kaa hisaab duun us ko sabz mausam kahaan milaa hai abhi raat aadhi guzar chuki hai magar ik daricha khulaa huaa hai abhi shamein sab bujh gaiin khamosh hai raat aur dil hai ki jaagtaa hai abhi kyaa milein tujh se tu ne khud ko 'nigaar' mo'atabar hi kahaan kiyaa hai abhi"
Nigar AzeemNigar Azeem
Quote
"mahrumi-e-nazar ne dilaase diye bahut yuun ham ne aandhiyon mein jalaae diye bahut vo silsile vafaaon ke sab raaegaan gae us ne mujhe bisaat ke taa'ne diye bahut dida-vari pe apni bahut thaa gumaan tumhein dida-vari ne hi tumhein dhoke diye bahut allaah meri saadgi khud main ne hi use ghairon se rasm-o-raah ke mauqe' diye bahut gham mustaqil-mizaaj thaa Tas se na mas huaa main ne use faraar ke riste diye bahut sho'la-fishaan na kyon miraa lahja ho ai 'nigaar' duniyaa ne har qadam pe sharaare diye bahut"
Nigar AzeemNigar Azeem

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer