"saahib-e-takht hai muqaddar se jo nikaalaa gayaa thaa lashkar se ab bhi hai vaqt lauT aao tum paani guzraa nahin abhi sar se ishq aisaa ki maut aane par vo bhi niklegaa mere andar se zahr khaanaa hi paD gayaa aakhir peT raazi nahin thaa patthar se tum ne achchhaa kiyaa judaa ho kar ik balaa Tal gai mire sar se main bataataa huun kyaa balaa hai ishq ishq ik jang hai muqaddar se dushmanon ko bhi us ne daavat di chaahne vaale diid ko tarse"
mohabbat ne nahin chhoDaa kahin kaa — Balwant Singh
"mohabbat ne nahin chhoDaa kahin kaa vagarna main thaa baashinda kahin kaa kabhi kahtaa nahin rukne ko ye dil uThaa laayaa hai phir naqsha kahin kaa bhaTaktaa phir rahaa huun dar-ba-dar main kisi se puchh kar rastaa kahin kaa idhar se ham karein taarif sachchi udhar se tum kaho jhuTaa kahin kaa kahaan kar aae ham izhaar-e-ulfat kahin par ho gayaa sajda kahin kaa jise dekhe kare paane ki khvaahish ye dil jaise ho shahzaada kahin kaa mohazzab aadmi ghar jaa ke apne utaaregaa kahin ghussa kahin kaa"
محبت نے نہیں چھوڑا کہیں کا وگرنہ میں تھا باشندہ کہیں کا کبھی کہتا نہیں رکنے کو یہ دل اٹھا لایا ہے پھر نقشہ کہیں کا بھٹکتا پھر رہا ہوں در بہ در میں کسی سے پوچھ کر رستا کہیں کا ادھر سے ہم کریں تعریف سچی ادھر سے تم کہو جھوٹا کہیں کا کہاں کر آئے ہم اظہار الفت کہیں پر ہو گیا سجدہ کہیں کا جسے دیکھے کرے پانے کی خواہش یہ دل جیسے ہو شہزادہ کہیں کا مہذب آدمی گھر جا کے اپنے اتارے گا کہیں غصہ کہیں کا
मोहब्बत ने नहीं छोड़ा कहीं का वगरना मैं था बाशिंदा कहीं का कभी कहता नहीं रुकने को ये दिल उठा लाया है फिर नक़्शा कहीं का भटकता फिर रहा हूँ दर-ब-दर मैं किसी से पूछ कर रस्ता कहीं का इधर से हम करें तारीफ़ सच्ची उधर से तुम कहो झूटा कहीं का कहाँ कर आए हम इज़हार-ए-उल्फ़त कहीं पर हो गया सज्दा कहीं का जिसे देखे करे पाने की ख़्वाहिश ये दिल जैसे हो शहज़ादा कहीं का मोहज़्ज़ब आदमी घर जा के अपने उतारेगा कहीं ग़ुस्सा कहीं का

More by Balwant Singh
View all →"koi kitnaa bhi kahe shaad nahin hotaa hai ik luTaa dil kabhi aabaad nahin hotaa hai paidaa hote hain faqat ishq ki khaatir do chaar har koi majnun yaa farhaad nahin hotaa hai hotaa aaya hai sadaa zakhm hi pahle ijaad pahle marham kabhi ijaad nahin hotaa hai zindagi apnaa sabaq aur zaraa mushkil kar ham ko aasaan sabaq yaad nahin hotaa hai ab har ik baat pe hotaa hai faqat vaa'da-va'id ab kisi baat pe samvaad nahin hotaa hai kaise us shakhs pe laanat nahin bheje koi ishq kar ke bhi jo barbaad nahin hotaa hai aise jallaad se hai asl mein khatra sab ko apne peshe se jo jallaad nahin hotaa hai ham mohabbat bhalaa kyaa khaak kareinge jaanaa ham se to kuchh bhi tire baad nahin hotaa hai paDh lo taarikh jo ik baar huaa mulk ghulaam phir vo aasaani se aazaad nahin hotaa hai"
"vo jo chaahein hamaaraa haal karein aur ham 'ishq kaa khayaal karein ham hain achchhe se dein javaab un ko vo bhi to soch kar savaal karein aap baaton se haar jaaeinge aap ashkon se kuchh kamaal karein jo kabhi bhi nahin rahaa ham mein kaise us 'ishq ko bahaal karein teraa gham kyon karein ba-zaahir ham sab ko dikhlaa ke kyon malaal karein ham ne to yunhi kah diyaa thaa bas aap jo chaahein meraa haal karein"
"laDte hue duniyaa ki zarurat ke liye ham mar jaaeinge ik roz mohabbat ke liye ham rakkhe nahin ham se koi ikhlaas ki ummid baazaar mein baiThe hain tijaarat ke liye ham daulat na siyaasat na qayaadat na hukumat mujrim hain faqat apni jihaalat ke liye ham duniyaa ke har ik lutf ko ham chhoD dein vaaiz itne bhi pareshaan nahin jannat ke liye ham hindi ki hifaazat ke liye jaise the 'raskhaan' vaise hi hain urdu ki hifaazat ke liye ham aise hi to talvaar uThaate bhi nahin hai majbur hue honge baghaavat ke liye ham jo haal thaa pahle vahi hai haal abhi bhi kuchh bhi nahin kar paae mohabbat ke liye ham"
"palaT jaane kaa khatra ho agar bilkul kinaare hi shikasta naav phir dariyaa mein koi kyon utaare hi vagarna faisla munsif hamaare haq mein jaaegaa hamaaraa faisla karnaa binaa soche-vichaare hi jise kahte hain sab duniyaa ye vo baazaar hai jis mein mohabbat DhunDhne vaale phireinge maare maare hi ab aksar nafraton ki aag hi uThti hai dharti se ab aksar aasmaan se bhi baraste hain sharaare hi zarurat lab-kushaai ki nahin kuchh khaas hai is mein mohabbat mein ziyaada kaam aate hain ishaare hi duaa jab khaas koi maangni hogi hamein us vaqt gireinge baal palkon se na TuTeinge sitaare hi mohabbat ki tarah ham se siyaasat pesh aati hai na rakhti hai qarib apne na karti hai kinaare hi khushi kaa aasraa hogaa yahaan mushkil se pal-do-pal kaTegi umr duniyaa mein faqat gham ke sahaare hi mohabbat mein nazar tum par nahin jaaegi duniyaa ki sabhi ilzaam rakkhe jaaeinge sar par hamaare hi kahaan se laaeinge itnaa bujhaane ke liye paani zamin par dikhte hain har-su hamein jalte nazaare hi mohabbat bechne niklo faqat is shart par 'balvant' lageinge haath is byopaar mein keval khasaare hi"
"jism se duur the ki lat bhi to lag sakti thi ham ko is khel ki aadat bhi to lag sakti thi jab gale mere musibat hi koi lagni thi to gale se ye mohabbat bhi to lag sakti thi un ko har haal miraa qatl thaa karnaa varna mere imaan ki qimat bhi to lag sakti thi kam se kam naam nadaamat se na lein bachche mere mujh se aisi koi tohmat bhi to lag sakti thi saikDon baar lagi haath ye gham ki daulat ik dafa haath masarrat bhi to lag sakti thi dosti tum se baDhaane mein ye khatra thaa mujhe dosti tum ko mohabbat bhi to lag sakti thi jaise duniyaa ki tumhein aab-o-havaa raas aai tum ko achchhi miri sohbat bhi to lag sakti thi main ne is Dar se bulaayaa nahin milne tanhaa tum ko khoTi miri niyyat bhi to lag sakti thi"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"