"aasmaanon se na utregaa sahifa koi ai zamin DhunD le ab apnaa masihaa koi phir dar-e-dil pe kisi yaad ne dastak di hai phir bahaa kar mujhe le jaaegaa dariyaa koi ye to mahfil na hui maqtal-e-ehsaas huaa aaina de ke mujhe le gayaa chehra koi kitne viraan hain yaadon ke dar-o-baam na puchh bhuul kar bhi idhar aayaa na parinda koi main is aaseb-zada shahr mein kis se puchhun kyuun mire pichhe lagaa rahtaa hai saayaa koi maangtaa hai mire aamaal kaa har roz hisaab 'kaif' jo mujh mein rahaa kartaa hai mujh saa koi"
muddaton ke baad phir un ke payaam aane lage — Indr Mohan Mehta Kaif
"muddaton ke baad phir un ke payaam aane lage vaqt phir bhule hue qisse na dohraane lage jhiil ke Thahre hue paani mein phir lahrein uThin phir gae mausam ke panchhi lauT kar aane lage ham ki patthar the nishaan-e-mil ban kar rah gae khud na chal paae to sab ko raah dikhlaane lage daastaanon mein jo pariyaan qaid thiin sab uD gaiin shahr-e-jaan mein khauf ke aaseb manDlaane lage ghar ke sab divaar-o-dar hain ghar ke buDhon ki tarah main kisi shab der se lauTaa to samjhaane lage 'kaif' din-bhar ki thaki haari tamannaaon ko ham raat aai to qabaa khvaabon ki pahnaane lage"
مدتوں کے بعد پھر ان کے پیام آنے لگے وقت پھر بھولے ہوئے قصے نہ دہرانے لگے جھیل کے ٹھہرے ہوئے پانی میں پھر لہریں اٹھیں پھر گئے موسم کے پنچھی لوٹ کر آنے لگے ہم کہ پتھر تھے نشان میل بن کر رہ گئے خود نہ چل پائے تو سب کو راہ دکھلانے لگے داستانوں میں جو پریاں قید تھیں سب اڑ گئیں شہر جاں میں خوف کے آسیب منڈلانے لگے گھر کے سب دیوار و در ہیں گھر کے بوڑھوں کی طرح میں کسی شب دیر سے لوٹا تو سمجھانے لگے کیفؔ دن بھر کی تھکی ہاری تمناؤں کو ہم رات آئی تو قبا خوابوں کی پہنانے لگے
मुद्दतों के बाद फिर उन के पयाम आने लगे वक़्त फिर भूले हुए क़िस्से न दोहराने लगे झील के ठहरे हुए पानी में फिर लहरें उठीं फिर गए मौसम के पंछी लौट कर आने लगे हम कि पत्थर थे निशान-ए-मील बन कर रह गए ख़ुद न चल पाए तो सब को राह दिखलाने लगे दास्तानों में जो परियाँ क़ैद थीं सब उड़ गईं शहर-ए-जाँ में ख़ौफ़ के आसेब मंडलाने लगे घर के सब दीवार-ओ-दर हैं घर के बूढ़ों की तरह मैं किसी शब देर से लौटा तो समझाने लगे 'कैफ़' दिन-भर की थकी हारी तमन्नाओं को हम रात आई तो क़बा ख़्वाबों की पहनाने लगे

More by Indr Mohan Mehta Kaif
View all →"kis ko ham-safar samjhein jo bhi saath chalte hain aashnaa se lagte hain ajnabi nikalte hain ai miri sharik-e-gham kaash tu samajh sakti kitne an-bahe aansu qahqahon mein Dhalte hain raat ki khamoshi mein jab koi nahin hotaa dil se biiti yaadon ke qaafile nikalte hain tah-ba-tah andheron tak raushni to phailegi ek raat ki zid mein sau charaagh chalte hain manzilon ke dhoke mein saathiyo na ruk jaanaa manzilon se aage bhi raaste nikalte hain"
"khvaab jo dekhe jhuTe nikle kuchh na milaa taabiron mein dil ab kis ko DhunD rahaa hai album ki tasviron mein ik gosha to aisaa bhi ho jis kaa koi naam na ho saari dharti baTi hui hai mulkon mein jaagiron mein kaandhon ke rishte bhi kyaa hain shahron shahron phaile hain dil kaa dard samajhne vaalaa kaun mile rahgiron mein kuchh hamein duniyaa raas na aai kuchh dil ne man-maani ki baiTh ke rang bharaa karte hain ab apni tasviron mein dil ke rishte duur ki baatein phir bhi kuchh aisaa lagtaa hai ham tum vo sab bandhe hue hain an-dekhi zanjiron mein 'kaif' ye dil kaa gorakh-dhandaa samjhein to samjhaaein bhi ham divaane hain jaa baiThe mast-e-alast faqiron mein"
"be-naam se phirte the kaam aa gai rusvaai har ajnabi chehre par pahchaan ubhar aai har raat dar-e-dil par dastak diye jaataa hai sone hi nahin detaa ik jazba-e-saudaai jo baais-e-ranjish thi us baat kaa charchaa kyaa us ne bhi nahin puchhi main ne bhi na dohraai gham ek musaafir hai kyaa jaane kahaan Thahre aankhon ki nami bah kar lahje mein utar aai ham 'kaif' thake haare chauraahe pe jaa baiThe DhunDi to kahaan jaa kar is shahr mein tanhaai"
"kal tak aasuda-dili thi aashiyaan thaa aur main aaj hai bikhraa huaa ek ek tinkaa aur main main kise aavaaz detaa aur suntaa bhi to kaun mere gird-o-pesh khvaabon kaa nagar thaa aur main ham-safar to thaa magar gham-aashnaa vo bhi na thaa faasla rakh kar chale the meraa saayaa aur main ab akele mein bhi tanhaa main kabhi hotaa nahin is qadar maanus hain vo ek kamra aur main us ne moti chun liye main sipiyaan chuntaa rahaa apne apne zarf ke qaidi the dariyaa aur main 'kaif' kitni mukhtasar hai zindagi ki daastaan ik saraabon kaa safar hai ek sahraa aur main"
"aaj ham sar-e-mahfil is qadar hanse yaaro gham jo bhuul baiThe the yaad aa gae yaaro chup hain qaafile vaale mutmain hain rahbar bhi dard bujh gayaa yaaro khvaab luT gae yaaro tum the raunaq-e-mahfil har khushi tumhaari thi ham charaagh-e-mahfil the raat-bhar jale yaaro zindagi ke jo lamhe pyaar se sameTe the vaqt ke bayaabaan mein sab bikhar gae yaaro 'kaif' ghar ke baahar to har taraf andheraa hai apne apne ghar raushan sab ne kar liye yaaro"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"