SHAWORDS

mujhe na DhunD chaman ki hasin bahaaron mein — Abdussamad Khan Qaiser

"mujhe na DhunD chaman ki hasin bahaaron mein safir-e-dasht huun rahtaa huun khaarzaaron mein har ek baat ki tashrih to nahin hoti kabhi to baat ko samjhaa karo ishaaron mein vo kaisaa josh thaa bachchon mein bhi shahaadat kaa uchak rahe the jo panjon ke bal qataaron mein khushaa ki meri basirat abhi salaamat hai parakh rahaa huun naginon ko sang-paaron mein bajaa ki tujh ko hai shauq-e-shanaavari lekin hai farq jhiil nadi bahr ke kinaaron mein use ye khauf ki main baa-asar na ho jaaun vo meraa naam bhi letaa nahin ishaaron mein riyaa-pasand mizaajon mein diin kyaa 'qaisar' nahin hai jauhar-e-imaan hi din-daaron mein"
Urdu

مجھے نہ ڈھونڈ چمن کی حسیں بہاروں میں سفیر دشت ہوں رہتا ہوں خارزاروں میں ہر ایک بات کی تشریح تو نہیں ہوتی کبھی تو بات کو سمجھا کرو اشاروں میں وہ کیسا جوش تھا بچوں میں بھی شہادت کا اچک رہے تھے جو پنجوں کے بل قطاروں میں خوشا کہ میری بصیرت ابھی سلامت ہے پرکھ رہا ہوں نگینوں کو سنگ پاروں میں بجا کہ تجھ کو ہے شوق شناوری لیکن ہے فرق جھیل ندی بحر کے کناروں میں اسے یہ خوف کہ میں با اثر نہ ہو جاؤں وہ میرا نام بھی لیتا نہیں اشاروں میں ریا پسند مزاجوں میں دین کیا قیصرؔ نہیں ہے جوہر ایماں ہی دین داروں میں

Hindi

मुझे न ढूँड चमन की हसीं बहारों में सफ़ीर-ए-दश्त हूँ रहता हूँ ख़ारज़ारों में हर एक बात की तशरीह तो नहीं होती कभी तो बात को समझा करो इशारों में वो कैसा जोश था बच्चों में भी शहादत का उचक रहे थे जो पंजों के बल क़तारों में ख़ुशा कि मेरी बसीरत अभी सलामत है परख रहा हूँ नगीनों को संग-पारों में बजा कि तुझ को है शौक़-ए-शनावरी लेकिन है फ़र्क़ झील नदी बहर के किनारों में उसे ये ख़ौफ़ कि मैं बा-असर न हो जाऊँ वो मेरा नाम भी लेता नहीं इशारों में रिया-पसंद मिज़ाजों में दीन क्या 'क़ैसर' नहीं है जौहर-ए-ईमाँ ही दीन-दारों में

mujhe na DhūñD chaman kī hasīñ bahāroñ meñ
A
Abdussamad Khan Qaiser
Abdussamad Khan Qaiser
poet4 quotes

More by Abdussamad Khan Qaiser

View all →
Quote
"mujhe manzilon ki hai justuju na kisi Dagar ki talaash hai jo miri nazar ko samajh sake mujhe us nazar ki talaash hai mujhe paas-e-dair-o-haram nahin miri bandagi hai vo bandagi jahaan khud-bakhud miraa sar jhuke usi sang-e-dar ki talaash hai ye jahaan-e-ranj-o-alam to hai yahaan roz-o-shab yahi gham to hai na ho jis ki phir koi shaam-e-gham mujhe us sahar ki talaash hai main bhaTak rahaa huun idhar udhar koi ham-safar hai na raahbar miri manzilon se jo khud mile usi rahguzar ki talaash hai main pareshaan-haal huun is qadar ki hai chashm-e-tar to hazin jigar jahaan chal ke dil ko sukun mile usi baam-o-dar ki talaash hai main misaal-e-shama-e-mazaar huun main 'zafar' kaa ujDaa dayaar huun main vahi huun 'qaisar'-e-gham-zada mujhe phir zafar ki talaash hai"
A
Abdussamad Khan Qaiser
Quote
"dil ki lagi ke saath ajab dil-lagi rahi zaalim se dosti mein bhi aksar Thani rahi vo duur ho gae to ye uljhan bani rahi shaayad mire khulus mein koi kami rahi mahfil mein un ki paas-e-adab bhi zarur thaa khaamosh thi zabaan nazar bolti rahi ausaaf aajizi ke takabbur ne khaa liye kirdaar-e-nasl-e-nau mein kahaan aajizi rahi detaa rahaa jahaan ko har ik saans kaa hisaab kaisi azaab-e-jaan ye miri zindagi rahi gum-karda raah-e-shauq rahaa main tamaam umr manzil agarche raah miri dekhti rahi 'qaisar' uTho ki aag lagi hai makaan mein jal jaaoge jo tum mein yunhi be-hisi rahi"
A
Abdussamad Khan Qaiser
Quote
"kaaghaz qalam kitaab se mahrum ho gae ham jiite ji jahaan mein marhum ho gae haakim bane to kho gae duniyaa-e-aish mein saaqi sharaab jaam ke mahkum ho gae maqtul hi pe aa gayaa ilzaam-e-khud-kushi qaatil nigaah-e-adl mein maasum ho gae ghurbat mein saath chhoD diyaa tu ne bhi miraa maani tire khulus ke maalum ho gae kis se milein ki zehn nahin hai kisi kaa saaf saare hi log shahr ke masmum ho gae jab zindagi mein diin thaa khushiyaan thiin chaar-su ghaafil hue to dahr mein maghmum ho gae matlab-parast rah gae 'qaisar' jahaan mein jo paikar-e-khulus the maadum ho gae"
A
Abdussamad Khan Qaiser

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb