"agar jafaa hai gunah vo gunaahgaar banaa main bas vafaa ke amal mein sharik-e-kaar banaa yahi hamaari aqidat ki intihaa hai miyaan jahaan charaagh jalaayaa vahaan mazaar banaa vo bad-nasib hai is vaqt mujh ko chhoD gai jab us ke gird mohabbat kaa ik hisaar banaa vo jis ne mere liye mushkilein khaDi ki thiin vahi hujum-e-havaadis kaa khud shikaar banaa mujhe vo saunp gayaa hijr-e-baad-e-sar-sar kyon usi ke dam se ye mausam thaa khush-gavaar banaa sabhi ki tarah karo tum bhi is pe mashq-e-sitam ye dil to TuuT ke pahle bhi baar baar banaa suno baghaur kisi roz 'aaftaab'-e-sukhan vo shaaeri ke taqaddus kaa eatibaar banaa"
na us ke dil mein dhaDakne kaa yaar soch abhi — Aftab Khan
"na us ke dil mein dhaDakne kaa yaar soch abhi ki pattharon mein na paidaa huaa hai loch abhi sisak sisak ke guzartaa hai is liye jivan paDi hui hai dam-e-zindagi ko moch abhi jo khush-nasib hain un ki taraf na aankh uThaa ai bad-nasib tu apnaa badan hi noch abhi karegaa kaun mohabbat ki aarzu ki yahaan har ek jism se lipTe hain cockroach abhi kisi ke dard kaa dil mein charaagh raushan kar jami hain zehn mein jo nafratein kharoch abhi na aankhein miich ke duniyaa ki rahguzar pe chalo ravaan-davaan hai agar zindagi ki coach abhi zamin-e-ishq pe utraa hai 'aaftaab' sadaa so baazuon mein yahi hiddatein daboch abhi"
نہ اس کے دل میں دھڑکنے کا یار سوچ ابھی کہ پتھروں میں نہ پیدا ہوا ہے لوچ ابھی سسک سسک کے گزرتا ہے اس لیے جیون پڑی ہوئی ہے دم زندگی کو موچ ابھی جو خوش نصیب ہیں ان کی طرف نہ آنکھ اٹھا اے بد نصیب تو اپنا بدن ہی نوچ ابھی کرے گا کون محبت کی آرزو کہ یہاں ہر ایک جسم سے لپٹے ہیں کاکروچ ابھی کسی کے درد کا دل میں چراغ روشن کر جمی ہیں ذہن میں جو نفرتیں کھروچ ابھی نہ آنکھیں میچ کے دنیا کی رہ گزر پہ چلو رواں دواں ہے اگر زندگی کی کوچ ابھی زمین عشق پہ اترا ہے آفتابؔ سدا سو بازوؤں میں یہی حدتیں دبوچ ابھی
न उस के दिल में धड़कने का यार सोच अभी कि पत्थरों में न पैदा हुआ है लोच अभी सिसक सिसक के गुज़रता है इस लिए जीवन पड़ी हुई है दम-ए-ज़िंदगी को मोच अभी जो ख़ुश-नसीब हैं उन की तरफ़ न आँख उठा ऐ बद-नसीब तू अपना बदन ही नोच अभी करेगा कौन मोहब्बत की आरज़ू कि यहाँ हर एक जिस्म से लिपटे हैं कॉकरोच अभी किसी के दर्द का दिल में चराग़ रौशन कर जमी हैं ज़ह्न में जो नफ़रतें खरोच अभी न आँखें मीच के दुनिया की रहगुज़र पे चलो रवाँ-दवाँ है अगर ज़िंदगी की कोच अभी ज़मीन-ए-इश्क़ पे उतरा है 'आफ़्ताब' सदा सो बाज़ुओं में यही हिद्दतें दबोच अभी

More by Aftab Khan
View all →"ajiib dukh hai ye kis ranj mein paDaa huun abhi bichhaD ke us se shash-o-panj mein paDaa huun abhi vo ik gudaaz bharaa lams mujh se duur huaa so us ke dast-e-apaahanj mein paDaa huun abhi koi nikaal ke mujh ko taraash saktaa hai main ek sang kisi ganj mein paDaa huun abhi biThaa ke saath koi ghuD-savaar le jaae main ik piyaada huun shatranj mein paDaa huun abhi kisi bhi sud-o-ziyaan kaa hisaab ho na sakaa ajab tarah ke khafi banj mein paDaa huun abhi"
"khaTak rahi hai ghuTan ki ye bud-o-baash mujhe paDaa huun main kisi patthar mein tu taraash mujhe mulaaemat se nafaasat se chhu miraa paikar aur aise chhu ki na aae koi kharaash mujhe idhar-udhar ke ilaaqon mein DhunDhtaa hai kyaa main tere dil mein chhupaa huun vahaan talaash mujhe safed kaanch ke pul par pahunch ke sochtaa huun miraa ghurur hi kar de na paash-paash mujhe main puure qad se khaDaa huun sukhan saraae mein lage rahe hain giraane mein bad-maaash mujhe badan mein khuun ki shaayad kami hui paidaa kahin bhi sangtare ki mili na qaash mujhe jamaal-o-husn ke pahlu ki dhuup hai darkaar ai 'aaftaab'-e-tamanna na kar niraash mujhe"
"kuchh nahin shaam suhaani ye khulaa hai mujh par chaar din ki hai javaani ye khulaa hai mujh par jhuuT bolun to malaamat mujhe kartaa hai zamir pi ke lahore kaa paani ye khulaa hai mujh par main use apni samajhtaa rahaa mumtaaz mahal vo to hai aur ki raani ye khulaa hai mujh par us ne aaghaaz-e-mohabbat mein mujhe saunp diyaa hijr hai us ki nishaani ye khulaa hai mujh par ab to ehsaas-o-muravvat kaa zamaana hi nahin mar gayaa aankh kaa paani ye khulaa hai mujh par ik haqiqat kaa bayaan sher mein karnaa hai mujhe ik haqiqat hai chhupaani ye khulaa hai mujh par"
"udaas kar ke mujhe muskuraa rahi ho tum kahaan ki iinT kahaan ab lagaa rahi ho tum fishaar-e-khun to pahle bhi kab hai qaabu mein kyon is pe aur dabaao baDhaa rahi ho tum go ikhtiyaar ki hai be-rukhi bahut din se gudaaz-e-dil ko magar gudgudaa rahi ho tum bahut nafis qarine hain vaar karne ke fareb-e-husn ke fitne jagaa rahi ho tum tumhein zaraa bhi lagaavaT na vasl se thi kabhi so mere hijr mein aansu bahaa rahi ho tum na tum ko farq hai maalum ishq-o-aatish kaa jo 'aaftaab' se nazrein milaa rahi ho tum"
"vo jaagtaa hai abhi tak ghunud mein hai kahaan kami thakan ki magar is vajud mein hai kahaan kare ruku to Taangon pe kapkapi chhaae vo valvala vo javaani sujud mein hai kahaan main apne paanv ki miTTi pe jam ke baiThaa huun jo meraa kunj hai teri hudud mein hai kahaan ye lutf-e-khaak-nashini bhi aarzi shai hai ki mustaqil si baqaa hast-o-bud mein hai kahaan main apnaa kar ke khasaaraa huun mutmain jaise vo nafaa mujh ko milaa tere suud mein hai kahaan sulag rahaa hai jigar khushk lakDiyon ki tarah dhuaan jo dil se uThaa aur duud mein hai kahaan karo talaash mazaamir-e-gum-shuda phir se mazaa vo un saa kisi bhi surud mein hai kahaan zamin se taa-ba-falak 'aaftaab' chhaayaa hai hunar ye aur kisi ke vajud mein hai kahaan"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"