SHAWORDS

naaz farmaae agar meraa junun — Zaheen Shah Taji

"naaz farmaae agar meraa junun tum vahi karte raho jo main kahun zindagi kyaa hai safar paiham safar phir safar mein kyaa tamannaa-e-sukun ‘aql-e-yazdaan-gir paighambar-shikaar 'ishq ki fitraak mein said-e-zabun mai baqaid-e-shisha-o-saaghar haraam aur jo un mast aankhon se piyun dost anqaa hain to dushman hi sahi koi to ho jis ko apnaa kah sakun tum hi tum hote ho mere saamne sochtaa huun jab kabhi main kaun huun chaahtaa huun main unhein lekin 'zahin' ye mujhe khud bhi nahin maa'lum kyuun"
Urdu

ناز فرمائے اگر میرا جنوں تم وہی کرتے رہو جو میں کہوں زندگی کیا ہے سفر پیہم سفر پھر سفر میں کیا تمنائے سکوں عقل یزداں گیر پیغمبر شکار عشق کی فتراک میں صید زبوں مئے بقید شیشہ و ساغر حرام اور جو ان مست آنکھوں سے پیوں دوست عنقا ہیں تو دشمن ہی سہی کوئی تو ہو جس کو اپنا کہہ سکوں تم ہی تم ہوتے ہو میرے سامنے سوچتا ہوں جب کبھی میں کون ہوں چاہتا ہوں میں انہیں لیکن ذہینؔ یہ مجھے خود بھی نہیں معلوم کیوں

Hindi

नाज़ फ़रमाए अगर मेरा जुनूँ तुम वही करते रहो जो मैं कहूँ ज़िंदगी क्या है सफ़र पैहम सफ़र फिर सफ़र में क्या तमन्ना-ए-सुकूँ ‘अक़्ल-ए-यज़्दाँ-गीर पैग़म्बर-शिकार 'इश्क़ की फ़ितराक में सैद-ए-ज़बूँ मय ब-क़ैद-ए-शीशः-ओ-साग़र हराम और जो उन मस्त आँखों से पियूँ दोस्त अन्क़ा हैं तो दुश्मन ही सही कोई तो हो जिस को अपना कह सकूँ तुम ही तुम होते हो मेरे सामने सोचता हूँ जब कभी मैं कौन हूँ चाहता हूँ मैं उन्हें लेकिन 'ज़हीन' ये मुझे ख़ुद भी नहीं मा'लूम क्यूँ

naaz farmā.e agar merā junūñ
Zaheen Shah Taji
Zaheen Shah Taji
Zaheen Shah Taji
poet50 quotes

More by Zaheen Shah Taji

View all →
Quote
"'umr bhar puujaa hai main ne jis ko vo dar hai yahi but-kada meraa yahi allaah kaa ghar hai yahi jhuk gayaa dil ruuh ne sajda kiyaa be-ikhtiyaar jalva-gaah-e-dil-navaaz-o-ruh-parvar hai yahi kaT gaiin hosh-o-khirad ki beDiyaan aa kar yahaan markaz-e-jazb-o-junun allaahu-akbar hai yahi zarre zarre se yahaan ke aa rahi hai bu-e-dost chhoD kar ghar ham jahaan aae hain vo ghar hai yahi jagmagaa uTThe hain sharq-o-gharb jis ke nuur se mehr-e-'aalam-taab maah-e-nur-gustar hai yahi"
Zaheen Shah TajiZaheen Shah Taji
Quote
"khud apne 'ilm ki aankhon mein be-parda nahin aataa bahut dekhaa hai apne aap ko lekin nahin dekhaa agar hogaa hamaaraa 'ilm apni zaat par zaaid mumayyaz khud-bakhud ho jaaegaa mashhud se shaahid 'adam kaa apne mujh ko 'ilm hai ‘ilm-e-‘adam kyaa hai faqat maa'dum kaa maa'lum honaa kuchh na honaa hai ye mahsusaat-o-mashhudaat-o-maa'lumaat kyaa shai hain tamaasha dekhne vaalon ke dam se sab tamaashe hain tan-e-be-jaan hai 'aalam zindagi ham ne 'ataa ki hai haqiqat apni ruuhi aur surat apni khaaki hai vo jaan huun jism ke ek ek zarre mein ravaan huun main nahin huun main kahaan farmaaiye huun to kahaan huun main vo ghuncha huun ki tajziyye ki raahein band hain mujh par vo nuqta huun ki jis ki sair hi kaunain kaa mehvar vo 'aalim huun ki apni 'ilm ki aankhon se ojhal huun azal se huun abad tak huun musalsal huun mukammal huun ye qaidein mere hone par makaanon ki zamaanon ki amaanat meri hone mein zaminon aasmaanon ki"
Zaheen Shah TajiZaheen Shah Taji
Quote
"ye khvaab ki bedaari-e-taqdir-e-mohabbat ye khvaab ki afsaana-e-taasir-e-mohabbat quraan-e-mohabbat hai ki tafsir-e-mohabbat har lafz mein hai aaya-e-tathir-e-mohabbat vo 'ishq ki aaraasta pairaasta timsaal main husn ki khinchi hui tasvir-e-mohabbat sar-taa-ba-qadam jalva-e-allaahu-jamilun vo husn ke anvaar-o-tanvir-e-mohabbat qurbaan main un ki nigah-e-naaz ke qurbaan sau jaan se dil hai hadaf-e-tir-e-mohabbat duniyaa-e-mohabbat mein khirad kaam na aai hai kaar-e-junun saahib-e-taqdir-e-mohabbat sad-shukr ki uTh hi gae vo hosh ke parde kaam aa hi gayaa naala-e-shabgir-e-mohabbat jis vaqt huaa josh-e-junun silsila-e-jumbaan har saans banaa halqa-e-zanjir-e-mohabbat vo qalb ki dhaDkan mein mohabbat ke fasaane goyaa lab-e-khaamosh mein taqrir-e-mohabbat kal raat ko mehmaan thaa viraana-e-dil mein me'maar-e-junun saahib-e-taa'mir-e-mohabbat"
Zaheen Shah TajiZaheen Shah Taji
Quote
"kiye ham ne junun se nukta-chin-o-nukta-daan paidaa ham aise aadmi hote hain duniyaa mein kahaan paidaa hazaaron bad-gumaani husn se ahl-e-havas ko hain mohabbat ne kiyaa hai husn se husn-e-gumaan paidaa na hote ham to vo maa'bud-e-jaan-o-dil kahaan hote jabin pahle hui paidaa ki sang-e-aastaan paidaa tabassum ban gai un ke labon par har fughaan meri hui un ke tabassum se mire lab par fughaan paidaa vahaan jaa kar haqiqat ruuh ki ham par hui zaahir hui hai teri surat se jahaan tasvir-e-jaan paidaa samajh ho to vahaan phir kyon banaae aashiyaan koi jahaan bijli ki qismat se ho shaakh-e-aashiyaan paidaa 'zahin' us qaafile ki gard chashm-e-dil kaa surma hai hui hai dil ke sahraa mein jo gard-e-kaarvaan paidaa"
Zaheen Shah TajiZaheen Shah Taji

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi