SHAWORDS

navaa-e-saaz bantaa jaa rahaa huun — Karamat Ghauri

HomeKaramat GhauriGhazal
"navaa-e-saaz bantaa jaa rahaa huun bas ik aavaaz bantaa jaa rahaa huun rafiq ab koi bhi meraa nahin hai main khud dam-saaz bantaa jaa rahaa huun zamaana jo bhi karvaT le rahaa ho vahi andaaz bantaa jaa rahaa huun mizaaj-e-vaqt ko samjhaa hai jab se zamaana-saaz bantaa jaa rahaa huun main apni zaat mein gum ho gayaa huun muammaa raaz bantaa jaa rahaa huun jo baal-o-par sab apne kho chukaa ho main aisaa baaz bantaa jaa rahaa huun khudaa ne jab khalifa kah diyaa to main us kaa naaz bantaa jaa rahaa huun 'karaamat' huun yahi kuchh kam nahin hai karaamat-saaz bantaa jaa rahaa huun"
Urdu

نوائے ساز بنتا جا رہا ہوں بس اک آواز بنتا جا رہا ہوں رفیق اب کوئی بھی میرا نہیں ہے میں خود دم ساز بنتا جا رہا ہوں زمانہ جو بھی کروٹ لے رہا ہو وہی انداز بنتا جا رہا ہوں مزاج وقت کو سمجھا ہے جب سے زمانہ ساز بنتا جا رہا ہوں میں اپنی ذات میں گم ہو گیا ہوں معما راز بنتا جا رہا ہوں جو بال و پر سب اپنے کھو چکا ہو میں ایسا باز بنتا جا رہا ہوں خدا نے جب خلیفہ کہہ دیا تو میں اس کا ناز بنتا جا رہا ہوں کرامتؔ ہوں یہی کچھ کم نہیں ہے کرامت ساز بنتا جا رہا ہوں

Hindi

नवा-ए-साज़ बनता जा रहा हूँ बस इक आवाज़ बनता जा रहा हूँ रफ़ीक़ अब कोई भी मेरा नहीं है मैं ख़ुद दम-साज़ बनता जा रहा हूँ ज़माना जो भी करवट ले रहा हो वही अंदाज़ बनता जा रहा हूँ मिज़ाज-ए-वक़्त को समझा है जब से ज़माना-साज़ बनता जा रहा हूँ मैं अपनी ज़ात में गुम हो गया हूँ मुअम्मा राज़ बनता जा रहा हूँ जो बाल-ओ-पर सब अपने खो चुका हो मैं ऐसा बाज़ बनता जा रहा हूँ ख़ुदा ने जब ख़लीफ़ा कह दिया तो मैं उस का नाज़ बनता जा रहा हूँ 'करामत' हूँ यही कुछ कम नहीं है करामत-साज़ बनता जा रहा हूँ

navā-e-sāz bantā jā rahā huuñ
K
Karamat Ghauri
Karamat Ghauri
poet8 quotes

More by Karamat Ghauri

View all →
Quote
"kyaa zamaane se tavaqqo rakhein achchhaai ki ye to duniyaa hai na apnon ki na harjaai ki jab se duniyaa ne mashinon se shanaasaai ki sab ki aankhon mein thakan dekhi hai tanhaai ki ik paDaav hai ghaDi-do-ghaDi dam lene ko vo giraftaar huaa jis ne shanaasaai ki mansab-o-jubba-o-dastaar pe mauquf nahin shakhsiyat asl to hai qaamat-e-zebaai ki vo to khushbu thi bikharnaa thaa muqaddar us kaa ye nasib us kaa jo gulshan ne paziraai ki jo sar-e-bazm kahaa daar pe dohraayaa vahi meri guftaar mein jurat rahi sachchaai ki ghaav bharne the jinhein le ke vo nashtar aae kis masihaa se rakhein aas masihaai ki ab kahaan sarmad-o-mansur se aashufta-mizaaj rasm farzaanon ne Daali hai shakebaai ki dekhne se kahaan khultaa hai samundar kaa mizaaj Duub kar baat khulaa karti hai gahraai ki jaantaa huun ki 'karaamat' hai mire mansab ki jo harifon ne sar-e-bazm paziraai ki"
K
Karamat Ghauri
Quote
"jidhar se tiir chalaa koi mehrbaan niklaa tavaqquaat se baDh kar vo mezbaan niklaa samar se pahle shajar kaaT kar jalaa Daale ki jald-baaz bahut ab ke baaghbaan niklaa ajiib rang huaa ab ke meri nagri kaa ki jo bhi shahr mein niklaa vo be-amaan niklaa ye kis azaab ne basti ko meri gher liyaa ki chulhe sard rahe yaan magar dhuaan niklaa savaal ye hai sabab kis se qatl kaa puchhein ki jis ne qatl kiyaa vo hi be-zabaan niklaa hamaare baad bhi kyaa zeb-e-daar hogaa koi yahi savaal miraa zeb-e-daastaan niklaa ham apni aql ko ilzaam dein ki qismat ko hamaare daur mein rahzan bhi paasbaan niklaa jabin jhuki to zamin uTh ke aajizi se mili jo sar uThaa to bahut duur aasmaan niklaa rahe hain ham to 'karaamat' gae dinon ke naqib ki ham se ahd nayaa sakht bad-gumaan niklaa"
K
Karamat Ghauri
Quote
"savaal ye hai sabab kis se qatl kaa puchhein ki jis ne qatl kiyaa vo hi be zabaan niklaa amir-e-shahr to lafzon ke jaal buntaa hai magar jo sach thaa vo fiqron ke darmiyaan niklaa hamaare baa'd bhi kyaa zeb-e-daar hogaa koi yahi savaal miraa zeb-e-daastaan niklaa ham apni aql ko ilzaam dein ki qismat ko hamaare daur mein rahzan bhi paasbaan niklaa jabin jhuki to zamin uTh ke aajizi se mili jo sar uThaa to bahut duur aasmaan niklaa rahe hain ham to 'karaamat' gae dinon ke naqib ki ham se ahd nayaa sakht bad-gumaan niklaa"
K
Karamat Ghauri
Quote
"jo dukh diye the kabhi tum ko aazmaane ko vo tiir ban ke palaT aae sab nishaane ko tumhaaraa saath na hotaa to be-amaan hote tumhaari chhaanv zaruri thi aashiyaane ko nahin hai khauf ki nichaa dikhaaegi duniyaa jo saath tum raho jaanaan mujhe uThaane ko jo main ne apni hi gudDi mein khud ujaale hain vahi hain laal bahut zindagi sajaane ko zaruri hai ki rahe taazgi mohabbat mein rifaaqatein na rahin vaada ab nibhaane ko jo tinke tinke jama kar ke aashiyaana bane bas ek barq hai kaafi use jalaane ko maqaam-e-azmat-e-aadam samajh mein aane lagaa farishte chumne aate hain aastaane ko hamaare baa'd bhi mahkaa karegi bazm-e-tarab agarche umr lagegi hamein bhulaane ko rahegi zinda mire baa'd daastaan meri paDheinge log hamesha mire fasaane ko 'karaamat' un ko zamaana salaam kartaa hai jo nok-e-paa pe hi rakhte hain is zamaane ko"
K
Karamat Ghauri
Quote
"bahut thakaan badan mein mire safar ki rahi magar vo shauq ki manzil ki har nagar ki rahi vo jis pe chal ke sadaa paanv zakhm zakhm hue na jaane khoj hamein kyon usi Dagar ki rahi jo meri zaat ki pinhaaiyaan samajh leti tamaam umr zarurat usi nazar ki rahi jab apne aap mein Duube falak ko chhu aae ki ehtiyaaj hamein ab na baal-o-par ki rahi hamin se sunnat-e-mansur ab bhi zinda hai ki har zamaane ko haajat hamaare sar ki rahi bilaa-sabab to 'karaamat' pe apni naaz nahin ki chaar-daang mein shohrat mire asar ki rahi"
K
Karamat Ghauri
Quote
"ghazlein bhi bahut likkhin aur giit bahut gaae ham sher ki azmat ko lekin na pahunch paae kuchh aisaa anokhaa bhi andaaz na thaa apnaa kuchh log magar phir bhi ham ko na samajh paae ham dil ki amiri se is darja tavangar the jo khaak mili ham ko ham sonaa banaa laae miTTi mere kheton ki hathiyaa li asiron ne aur jitne gharaunde the yaaron ne mire Dhaae rahzan se bachaa laae sab maal-o-mataa' apni ghar luuT gae lekin jo the mire hamsaae ham ahl-e-hunar ab to is haal pe qaane hain nai dhuup hai aariz ki nai gesuon ke saae vo ahd-e-javaani jo is shahr mein kaaTaa thaa ai kaash kabhi vo bhi ik roz palaT aae ye aag mire ghar mein hai apne charaaghon ki dushman ko zarurat kyaa chingaari vo bhaDkaae dushman kaa nasib ab to ye apni karaamat hai dahliz pe us ki ham neamat ye luTaa aae"
K
Karamat Ghauri

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar