SHAWORDS

nayaa sukhan nae tarz-e-sukhan mein rakh diyaa hai — Faiz Khalilabadi

"nayaa sukhan nae tarz-e-sukhan mein rakh diyaa hai jo be-vatan the unhein bhi vatan mein rakh diyaa hai hamaari aankhon ki lazzat kaa dhyaan rakhte hue kisi kaa aks kisi ke badan mein rakh diyaa hai main jis khushi ke taaaqub mein thaa usi ne mujhe udaasiyon ke nae pairahan mein rakh diyaa hai vo rang jis pe chhiDakti hai jaan har titli mire khudaa ne mire aacharan mein rakh diyaa hai sabhi ne apni siyaasat ke khvaab kaa malba hamaari aankhon ke sansad bhavan mein rakh diyaa hai labon se apne tabassum nichoD kar us ne kai gulon ko alag baankpan mein rakh diyaa hai"
Urdu

نیا سخن نئے طرز سخن میں رکھ دیا ہے جو بے وطن تھے انہیں بھی وطن میں رکھ دیا ہے ہماری آنکھوں کی لذت کا دھیان رکھتے ہوئے کسی کا عکس کسی کے بدن میں رکھ دیا ہے میں جس خوشی کے تعاقب میں تھا اسی نے مجھے اداسیوں کے نئے پیرہن میں رکھ دیا ہے وہ رنگ جس پہ چھڑکتی ہے جان ہر تتلی مرے خدا نے مرے آچرن میں رکھ دیا ہے سبھی نے اپنی سیاست کے خواب کا ملبہ ہماری آنکھوں کے سنسد بھون میں رکھ دیا ہے لبوں سے اپنے تبسم نچوڑ کر اس نے کئی گلوں کو الگ بانکپن میں رکھ دیا ہے

Hindi

नया सुख़न नए तर्ज़-ए-सुख़न में रख दिया है जो बे-वतन थे उन्हें भी वतन में रख दिया है हमारी आँखों की लज़्ज़त का ध्यान रखते हुए किसी का अक्स किसी के बदन में रख दिया है मैं जिस ख़ुशी के तआ'क़ुब में था उसी ने मुझे उदासियों के नए पैरहन में रख दिया है वो रंग जिस पे छिड़कती है जान हर तितली मिरे ख़ुदा ने मिरे आचरन में रख दिया है सभी ने अपनी सियासत के ख़्वाब का मलबा हमारी आँखों के संसद भवन में रख दिया है लबों से अपने तबस्सुम निचोड़ कर उस ने कई गुलों को अलग बाँकपन में रख दिया है

nayā suḳhan na.e tarz-e-suḳhan meñ rakh diyā hai
Faiz Khalilabadi
Faiz Khalilabadi
Faiz Khalilabadi
poet22 quotes

More by Faiz Khalilabadi

View all →
Quote
"sulagti dhuup mein har saaebaan de chukaa huun main is zamin ko kai aasmaan de chukaa huun vo tere ishq kaa ho yaa tiri judaai kaa isi hayaat mein sab imtihaan de chukaa huun tu dil-nashin hai vafaadaar hai zahin bhi hai magar main aur kisi ko zabaan de chukaa huun miri zabaan pe taalaa lagaane vaale sunein main apni aankhon se apnaa bayaan de chukaa huun vo aadmi mujhe bechainiyaan pilaa rahaa hai jise sukhon kaa main saaraa jahaan de chukaa huun mire vajud ko miTTi ki shakl di jis ne ye miTTi main usi miTTi ko daan de chukaa huun mujhe bhulaaeinge vo 'faiz' kis tarah aakhir vo jin labon ko main apne nishaan de chukaa huun"
Faiz KhalilabadiFaiz Khalilabadi
Quote
"log kahte hain bahut ham ne kamaai duniyaa aaj tak meri samajh mein nahin aai duniyaa jab nazar naama-e-aamaal ke daftar pe paDi nekiyon par mujhe ubhri nazar aai duniyaa zaahiri aankhon se dekho to dikhaai de pahaaD baatini aankhon se dekho to hai raai duniyaa ye qadam tere taaaqub mein chale hain kitnaa ye bataaegi miri aabla-paai duniyaa jitne dukh-dard tahaaif mein diye hai tu ne le ke aaegi azal sab ki davaai duniyaa 'faiz' jo phirti hai khud khaana-ba-doshon ki tarah kyaa karegi vo meri raah-numaai duniyaa"
Faiz KhalilabadiFaiz Khalilabadi
Quote
"yuun pahunchnaa hai mujhe ruuh ki tughyaani tak jis tarah rassi se jaataa hai ghaDaa paani tak kaaTni paDti hai naakhun se takan ki zanjir yuun hi aati nahin mushkil koi aasaani tak zindagi tujh se banaae hue rishte ki havas mujh ko le aai hai duniyaa ki pareshaani tak aise jarraahon kaa qabza hai sukhan par afsos kar nahin sakte jo lafzon ki musalmaani tak apne andar main kiyaa kartaa huun raajaa ki talaash is vasile se pahunchnaa hai mujhe raani tak aise lafzon ko bhi be-aib banaayaa ham ne jin ki jaaez hi nahin hoti thi qurbaani tak husn kaa paanv dabaati hai jahaan shokh havaa ishq le aayaa hai mujh ko isi viraani tak 'faiz' ham log hain ik aisi kachehri ke vakil faujdaari se pahunchte hain jo divaani tak"
Faiz KhalilabadiFaiz Khalilabadi
Quote
"tamaam-duniyaa kaa lakht-e-jigar banaa huaa thaa vo aadmi jo miraa dard-e-sar banaa huaa thaa use talaash rahi hain miri udaas aankhein jo khvaab raat ke pichhle pahar banaa huaa thaa pahunch ke kucha-e-jaanaan mein aa gayaa baahar mire vajud ke andar jo Dar banaa huaa thaa kamaal-e-ishq ne mere kiyaa hai zer use kisi kaa husn jo kal tak zabar banaa huaa thaa utarti kaise sukun ki vahaan koi chiDiyaa mahal jo hirs ki buniyaad par banaa huaa thaa banaa diyaa use insaan teri qurbat ne tire firaaq mein jo jaanvar banaa huaa thaa ye us kaa shauq nahin us ki inkisaari thi vasia ho ke bhi jo mukhtasar banaa huaa thaa pahunch gayaa hai javaani se ab buDhaape tak vo ek dukh jo sharik-e-safar banaa huaa thaa havas ke chaak ki miTTi javaan thi jab tak tamaam-shahr yahaan kuza-gar banaa huaa thaa vo jaantaa thaa mire an-kahe dukhon kaa ilaaj magar vo 'faiz'-miyaan be-khabar banaa huaa thaa"
Faiz KhalilabadiFaiz Khalilabadi
Quote
"na to ham bahr se vaaqif na sukhan jaante hain kaise dein lafzon ko tartib ye fan jaante hain vo kisi taur bhi tujh ko na lagaaeinge gale ai khushi jo bhi tiraa chaal-chalan jaante hain dil ke mandir mein hain do ek pujaari aise jo na puujaa na ibaadat na bhajan jaante hain is liye thaam ke rakkhaa hai junun kaa daaman ai khirad ham tiraa divaaliya-pan jaante hain jo mohabbat ke hain alfaaz mire honTon par vo taassub kaa tire chir-haran jaante hain paanv phailaate hain itnaa ki hai jitni chaadar apni auqaat hai kyaa khuub apan jaante hain"
Faiz KhalilabadiFaiz Khalilabadi
Quote
"ye aur baat ki taakhir se alag karungaa magar tujhe tiri tasvir se alag karungaa musaafirat se jo fursat hui nasib to phir thakan ko paanv ki zanjir se alag karungaa jo mere daaimi ehsaas se juDaa hai sabaq main kis tarah use tahrir se alag karungaa kunvaare khvaab hue jaa rahe hain aavaara unhein main lazzat-e-taabir se alag karungaa utaarnaa hai mujhe ab anaa ko maut ke ghaaT so us ko lahja-e-shamshir se alag karungaa mire badan mein lagi hai jo hijr ki dimak main us ko vasl ki tadbir se alag karungaa rivaayaton se rakhungaa main 'faiz' rishta magar sukhan zaraa saa taqi-'mir' se alag karungaa"
Faiz KhalilabadiFaiz Khalilabadi

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim