"mai bhi hai saaghar bhi hai saaqi bhi paimaana bhi hai dekhnaa ye hai ki ham mein zauq-e-rindaana bhi hai raqs-e-parvaana bhi dekh ai chashm-e-ibrat ye bhi dekh shama ki aaghosh mein kuchh khaak-e-parvaana bhi hai ham ne maanaa hai sukun daamaan-e-saahil mein magar fitrat-e-ahl-e-junun tufaan se Takraanaa bhi hai ai talabgaar-e-masarrat ye bhi sochaa hai kabhi ik masarrat apne dil ko gham se bahlaanaa bhi hai jis ne jo chaahaa use samjhaa kiyaa ai ham-nashin zindagaani ik haqiqat bhi hai afsaana bhi hai ahl-e-dil ke vaaste hai bahr-e-aish-o-imbisaat go ba-zaahir bazm-e-hasti ek gham-khaana bhi hai do ghaDi ai gardish-e-ayyaam bas ruk jaa yahin saaqi-e-raaanaa bhi hai gardish mein paimaana bhi hai jalva-aaraa zarre zarre mein hai nur-e-barq-e-tur lekin ai 'saabir' kahin zauq-e-kalimaana bhi hai"
nazar aane lage ho mehrbaan se — Sabir Abuhari
"nazar aane lage ho mehrbaan se ye andaaz aa gae tum mein kahaan se kise raas aaegi teri khudaai agar ham uTh gae bazm-e-jahaan se bharam khul jaaegaa tere karam kaa agar kuchh kah diyaa ham ne zabaan se kahaan se aa gayaa ye abr-e-rahmat hamein kuchh kaam thaa barq-e-tapaan se jise dekho vahi matlab kaa banda mohabbat uTh gai ru-e-jahaan se kareinge zikr tere husn kaa bhi agar fursat mili kaar-e-jahaan se taDapti phir rahi hai barq ab tak ulajh baiThi thi mere aashiyaan se yunhi roti nahin 'saabir' ko duniyaa use bhi ishq thaa ahl-e-jahaan se"
نظر آنے لگے ہو مہرباں سے یہ انداز آ گئے تم میں کہاں سے کسے راس آئے گی تیری خدائی اگر ہم اٹھ گئے بزم جہاں سے بھرم کھل جائے گا تیرے کرم کا اگر کچھ کہہ دیا ہم نے زباں سے کہاں سے آ گیا یہ ابر رحمت ہمیں کچھ کام تھا برق تپاں سے جسے دیکھو وہی مطلب کا بندہ محبت اٹھ گئی روئے جہاں سے کریں گے ذکر تیرے حسن کا بھی اگر فرصت ملی کار جہاں سے تڑپتی پھر رہی ہے برق اب تک الجھ بیٹھی تھی میرے آشیاں سے یوں ہی روتی نہیں صابرؔ کو دنیا اسے بھی عشق تھا اہل جہاں سے
नज़र आने लगे हो मेहरबाँ से ये अंदाज़ आ गए तुम में कहाँ से किसे रास आएगी तेरी ख़ुदाई अगर हम उठ गए बज़्म-ए-जहाँ से भरम खुल जाएगा तेरे करम का अगर कुछ कह दिया हम ने ज़बाँ से कहाँ से आ गया ये अब्र-ए-रहमत हमें कुछ काम था बर्क़-ए-तपाँ से जिसे देखो वही मतलब का बंदा मोहब्बत उठ गई रू-ए-जहाँ से करेंगे ज़िक्र तेरे हुस्न का भी अगर फ़ुर्सत मिली कार-ए-जहाँ से तड़पती फिर रही है बर्क़ अब तक उलझ बैठी थी मेरे आशियाँ से यूँही रोती नहीं 'साबिर' को दुनिया उसे भी इश्क़ था अहल-ए-जहाँ से

More by Sabir Abuhari
View all →"haqiqat ban gai khud hi hijaab aahista aahista nazar ko le maraa zauq-e-saraab aahista aahista taDap paidaa to kar dil mein rukh-e-zebaa ke saudaai sarak jaaegaa khud un kaa naqaab aahista aahista saliqa aa gayaa hai shaikh ko bhi hosh-mandi kaa lagaa hai maangne jaam-e-sharaab aahista aahista jahaan-e-aab-o-gil bhi dekhne ki chiiz thi lekin bashar ne kar diyaa us ko kharaab aahista aahista koi din ke hain jalve mastiyaan bhar do fazaaon mein guzar jaaegaa ye ahd-e-shabaab aahista aahista bashar ab rokne ko hai mah-o-anjum ki gardish ko ye dekhegaa khudaai ke bhi khvaab aahista aahista ye rudaad-e-mohabbat hai ise kahnaa tahammul se sunaa jaaegaa ai 'saabir' ye baab aahista aahista"
"husn kyaa kyaa muskuraayaa ishq ke andaaz par naghma-e-gham jab bhi chheDaa ham ne dil ke saaz par khaar-zaar-e-zindagi ko bhi banaa detaa hai khuld kyon na ham imaan laaein ishq ke eajaaz par teri apni zaat mein muzmar hai husn-e-lam-yazal kis liye sajde pe sajda jalva-gaah-e-naaz par jalva-farmaa kaun mehr-o-maah ke parde mein hai raqs kartaa hai nizaam-e-dahr kis ke saaz par baal-o-par se kab koi pahunchaa faraaz-e-arsh tak ye saaadat munhasir hai himmat-e-parvaaz par hain vahi maqbul-e-aalam jo garebaan-chaak hain har kali gul ban gai is inkishaaf-e-raaz par aa gai sehn-e-chaman mein fasl-e-gul to kyaa huaa hain vahi gham ke taraane zindagi ke saaz par raaz-e-ulfat ghair se kahnaa hai nang-e-aashiqi naaz thaa mansur ko kyon inkishaaf-e-raaz par ishq ki qismat mein hote hain salib-o-daar bhi shaad ai 'saabir' na ho tu lazzat-e-aaghaaz par"
"kyaa kashish allaah re duniyaa-e-aab-o-gil mein hai taa-abad jiine ki khvaahish har bashar ke dil mein hai biit jaae kyaa khudaa jaane jahaan-e-shauq par vo to kahiye lailaa-e-husn-e-azal mahmil mein hai kuchh hamin pahchaante hain ru-e-taabaan ko tire zikr tere husn kaa kahne ko har mahfil mein hai kaash ye khul jaae tujh par ai asir-e-aab-o-gil ik surur-e-be-karaan taskhir-e-aab-o-gil mein hai koi mahram hi nahin jab raaz-haa-e-ishq kaa ham kisi ko kyaa bataaein kyaa hamaare dil mein hai ishq ne tai kar liye haft-aasmaan muddat hui aql-e-naadaan gum abhi tak jaada-e-manzil mein hai rahzan-e-hosh-o-khirad hai ye jahaan-e-rang-o-bu khud se begaana hai 'saabir' jo bhi is mahfil mein hai"
"jo junun-aashnaa nahin hotaa aadmi kaam kaa nahin hotaa baat kartaa hai naakhudaa aise jaise koi khudaa nahin hotaa un se aksar mili khabar teri jin ko apnaa pata nahin hotaa jism-e-faani to ik labaada hai marne vaalaa fanaa nahin hotaa daar tak to junun hi jaataa hai aql mein hausla nahin hotaa laakh majbur hai bashar phir bhi ye jo chaahe to kyaa nahin hotaa dil se jab tak adaa na ho 'saabir' koi sajda ravaa nahin hotaa"
"jo bashar tufaan se Takraataa nahin apni azmat ko samajh paataa nahin justuju mein khud jo kho jaataa nahin gauhar-e-maqsud ko paataa nahin kis ko dekhein is bhari duniyaa mein ham koi bhi tum saa nazar aataa nahin sochiye to dil hi mein maujud hai dekhiye to vo nazar aataa nahin kyaa qayaamat hai farogh-e-fasl-e-gul aashiyaan apnaa nazar aataa nahin bad-gumaan kyon mujh se naaseh ho gayaa main kahin aataa nahin jaataa nahin jo gham-e-ulfat kaa khugar ho gayaa vo gham-e-dauraan se ghabraataa nahin luT chukaa huun baarhaa 'saabir' magar ishq se dil ab bhi baaz aataa nahin"
More on Ishq
View all →"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"bahut shaadaab ho lekin bayaabaani nahin jaati ki baam-e-auj chhune se bhi arzaani nahin jaati kai chehron ne aavaazon ne dil aabaad rakkhaa hai magar aankhon mein raqsaan hai jo viraani nahin jaati mujhe apni numu ke vaaste tum se bichhaDnaa hai tumhaare saath rahne se tan-aasaani nahin jaati main is dil ki sabhi sachchaaiyaan taslim kartaa huun magar ik baat aisi bhi hai jo maani nahin jaati hujum-e-shor-o-ghul mein kaun thaa kis ne pukaaraa thaa yahaan to apni bhi aavaaz pahchaani nahin jaati 'samir' is ishq mein insaan kyaa itnaa badaltaa hai main khud par ghaur kartaa huun to hairaani nahin jaati"
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
"kis ajab saaat-e-naayaab mein aayaa huaa huun tujh se milne main tire khvaab mein aayaa huaa huun phir vahi main huun, vahi hijr kaa dariyaa-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-aab mein aayaa huaa huun kaise aaine ke maanind chamaktaa huaa main ishq ke shahr-e-abad-taab mein aayaa huaa huun meri har taan hai az-roz-e-azal taa-ba-abad ek sur ke liye mizraab mein aayaa huaa huun koi parchhaain kabhi jism se karti hai kalaam? be-sabab saaya-e-mahtaab mein aayaa huaa huun har guzarte hue lamhe mein Tapaktaa huaa mein dard huun, vaqt ke aasaab mein aayaa huaa huun kaisi gahraai se niklaa huun adam ki 'irfaan' kaise paayaab se taalaab mein aayaa huaa huun"
"hijaab vaalon se vo be-hijaab ho na sakaa vo saamne thaa magar be-naqaab ho na sakaa vajud-e-khaak kaa insaan khitaab ho na sakaa ye zarra ghair-e-karam aaftaab ho na sakaa karam vo tuur pe ik be-niyaaz-e-jalva par vo be-niyaazi thi jis kaa javaab ho na sakaa uThaa ke parda chhupaa kasrat-e-tajalli mein vo be-naqaab huaa be-naqaab ho na sakaa tamaam umr rahe dekhte hayaat ke khvaab hamaari aankhon mein ye khvaab khvaab ho na sakaa rahi fareb-e-tasavvur ye raftani duniyaa saraab jaise kabhi ju-e-aab ho na sakaa zamir zaahir-o-baatin se ho gayaa aagaah kharaab baada-e-irfaan kharaab ho na sakaa mire karim ne bakhshaa isi bahaane se mire gunaahon kaa jab kuchh hisaab ho na sakaa abhi kami hai tire zauq-e-ishq mein 'aiman' lahu huaa tiraa aansu sharaab ho na sakaa"