"fitrat-e-ahbaab se mahram rahe khush rahe haalaanki sarf-e-gham rahe jab tak is daar-e-fanaa mein ham rahe mubtalaa-e-gardish-e-paiham rahe ham bane hain takhta-e-mashq-e-sitam imtihaan-gaah-e-vafaa mein ham rahe fasl-e-gul mein bhi rahaa khauf-e-khizaan ham ba-har-haalat asir-e-gham rahe gul mein bhi aati rahi bu-e-turaab haasil-e-dauraan se ham mahram rahe gardishon ne talkh kar di zindagi maut se ham phir bhi naa-mahram rahe un ke jaur-o-zulm se aai na maut haae ye altaaf bhi to kam rahe kaun si 'bismil' mein aisi baat thi muddaton is maut pe maatam rahe"
nazar ke saath zauq-e-dur-bini bhi to de yaa-rab — Bismil Dehlavi
"nazar ke saath zauq-e-dur-bini bhi to de yaa-rab faqat in kor-chashmon ko nazar dene se kyaa hogaa charaagh-e-subh kab tak TimTimaaegaa sar-e-mahfil dam-e-aakhir mujhe meri khabar dene se kyaa hogaa maqaam-e-'ishq mein soz-e-jigar ki bhi zarurat hai bashar ko sirf me’raaj-e-nazar dene se kyaa hogaa nigaah-e-'ishq mein nur-e-sahar ki 'umr hi kyaa hai shab-e-taarik ko nur-e-sahar dene se kyaa hogaa jo mahrum-e-junun-e-'ishq hai begaana-e-gham hai use sarmaaya-e-husn-e-nazar dene se kyaa hogaa tu un kaa vaa'da-e-fardaa na le kar aaiyo qaasid ki tishna-lab ko khaali jaam-e-zar dene se kyaa hogaa munaasib thaa koi paighaam aataa un ki jaanib se mariz-e-gham ko paighaam-e-sahar dene se kyaa hogaa ye aisi baat hai jis ko nazar vaale samajhte hain bashar ko daulat-e-soz-e-jigar dene se kyaa hogaa ziyaada se ziyaada sharm se vo sar jhukaa leinge unhein 'bismil' ke marne ki khabar dene se kyaa hogaa"
نظر کے ساتھ ذوق دور بینی بھی تو دے یارب فقط ان کور چشموں کو نظر دینے سے کیا ہوگا چراغ صبح کب تک ٹمٹمائے گا سر محفل دم آخر مجھے میری خبر دینے سے کیا ہوگا مقام عشق میں سوز جگر کی بھی ضرورت ہے بشر کو صرف معراج نظر دینے سے کیا ہوگا نگاہ عشق میں نور سحر کی عمر ہی کیا ہے شب تاریک کو نور سحر دینے سے کیا ہوگا جو محروم جنون عشق ہے بیگانۂ غم ہے اسے سرمایۂ حسن نظر دینے سے کیا ہوگا تو ان کا وعدۂ فردا نہ لے کر آئیو قاصد کہ تشنہ لب کو خالی جام زر دینے سے کیا ہوگا مناسب تھا کوئی پیغام آتا ان کی جانب سے مریض غم کو پیغام سحر دینے سے کیا ہوگا یہ ایسی بات ہے جس کو نظر والے سمجھتے ہیں بشر کو دولت سوز جگر دینے سے کیا ہوگا زیادہ سے زیادہ شرم سے وہ سر جھکا لیں گے انہیں بسملؔ کے مرنے کی خبر دینے سے کیا ہوگا
नज़र के साथ ज़ौक़-ए-दूर-बीनी भी तो दे या-रब फ़क़त इन कोर-चश्मों को नज़र देने से क्या होगा चराग़-ए-सुब्ह कब तक टिमटिमाएगा सर-ए-महफ़िल दम-ए-आख़िर मुझे मेरी ख़बर देने से क्या होगा मक़ाम-ए-'इश्क़ में सोज़-ए-जिगर की भी ज़रूरत है बशर को सिर्फ़ मे’राज-ए-नज़र देने से क्या होगा निगाह-ए-'इश्क़ में नूर-ए-सहर की 'उम्र ही क्या है शब-ए-तारीक को नूर-ए-सहर देने से क्या होगा जो महरूम-ए-जुनून-ए-'इश्क़ है बेगाना-ए-ग़म है उसे सरमाया-ए-हुस्न-ए-नज़र देने से क्या होगा तू उन का वा'दा-ए-फ़र्दा न ले कर आइयो क़ासिद कि तिश्ना-लब को ख़ाली जाम-ए-ज़र देने से क्या होगा मुनासिब था कोई पैग़ाम आता उन की जानिब से मरीज़-ए-ग़म को पैग़ाम-ए-सहर देने से क्या होगा ये ऐसी बात है जिस को नज़र वाले समझते हैं बशर को दौलत-ए-सोज़-ए-जिगर देने से क्या होगा ज़ियादा से ज़ियादा शर्म से वो सर झुका लेंगे उन्हें 'बिस्मिल' के मरने की ख़बर देने से क्या होगा

More by Bismil Dehlavi
View all →"jo khush-nasib tere ishq mein kharaab hue ba-e-e'tibaar-e-haqiqat vo kaamyaab hue gham-e-davaam ke asraar be-naqaab hue ye chand jure kahaan tak asar-ma-aab hue miri nigaah mein vo jalve sehr-kaar nahin jo jalve aam nigaahon mein be-naqaab hue chalaa main un kaa tasavvur kiye hue jis vaqt jo zarre raah mein aae vo aaftaab hue tiri qaraabat unhein bhi kahaan mayassar hai tire jamaal-kade mein jo baaryaab hue karishma-saazi-e-jazbaat-e-ishq are tauba haqir zarre tire husn kaa javaab hue idhar banaayaa hai qasr-e-tasavvuraat-e-jamil udhar ham un ke liye khaanumaan-kharaab hue ye haadsaat-e-mohabbat are khudaa ki panaah tumhaari bazm mein 'bismil' bhi baaryaab hue"
"taDap kar shiddat-e-gham se jab un kaa naam lete hain ye vahshi nabz-e-raftaar-e-do-'aalam thaam lete hain ham ahl-e-dil kahaan ehsaan-e-lutf-e-‘aam lete hain lab-e-gulfaam se kaif-e-mai-e-gulfaam lete hain ye goristaan nahin aaraam-gaah-e-ahl-e-duniyaa hai yahaan haare thake aa kar zaraa aaraam lete hain ham aain-e-mohabbat se to begaana nahin lekin jab un kaa zikr aataa hai kaleja thaam lete hain hadis-e-'ishq ki tafsir soz-e-‘ishq hai 'bismil' khudaa ke naam se pahle ham un kaa naam lete hain"
"har subh-e-darakhshaan mere liye paighaam-e-masarrat hoti hai yaani ik din kam aur huaa ab maut se qurbat hoti hai duniyaa ke munh se suntaa huun aur sun kar sochtaa rahtaa huun jo niind se ik dam jaag uThe aisi bhi qismat hoti hai hasti ki karvaT paik-e-ajal aur paik-e-ajal paighaam-e-sukun hasti jab karvaT leti hai aalaam se fursat hoti hai manjdhaar se kashti bach nikli to saahil se majruh hui mallaah pe ab ye bhed khulaa qismat phir qismat hoti hai allaah re sola saal kaa sin raftaar nai guftaar nai is umr ki kyaa taarif karun ye umr qayaamat hoti hai nazron se nazrein milte hi sharmaanaa jhijaknaa jhunjhlaanaa o naaz-o-adaa vaale yuun bhi taaid-e-mohabbat hoti hai har roz kahaan gaahe-gaahe aur vo bhi bas ik do jure main bhi pi letaa huun 'bismil' jab us ki rahmat hoti hai"
"haasil-e-firdaus to ho jaae viraana abhi maail-e-girya nahin hai teraa divaana abhi khatm to ho jaae kufr-e-imtiyaazaat-e-nazar log hain naa-mahram-e-aadaab-e-mai-khaana abhi main badal to duun zamaane kaa ye farsuda nizaam mujh tak aaya hi nahin ai dost paimaana abhi aag mein jal kar visaal-e-dost hotaa hai nasib hai tavaaf-e-sham’ mein masruf parvaana abhi 'ishq kaa markaz kahaan aur dasht-paimaai kahaan apni manzil se bahut pichhe hai divaana abhi TuTne paae na yaa-rab aansuon kaa silsila naa-mukammal hai gham-e-'aashiq kaa afsaana abhi hosh aate hi main kis zulmat-kade mein aa gayaa thaa qarib-e-maah-o-anjum meraa kaashaana abhi lab pe aati baat kah to duun magar samjhegaa kaun ek 'aalam hai sukhan-fahmi se begaana abhi aaj tishna rah na jaae 'bismil'-e-sahbaa-parast raat baaqi hai abhi raqsaan hai paimaana abhi"
"vo har tufaan jo ham-aaghosh-e-saahil hotaa jaataa hai husul-e-gauhar-e-taabaan mein haail hotaa jaataa hai miraa zauq-e-tajassus kaamgaar o kaamraan hogaa daraaz ab kis liye daamaan-e-saahil hotaa jaataa hai jo uqda koshish-e-paiham se aasaan kartaa jaataa huun vo uqda aur mushkil aur mushkil hotaa jaataa hai na jaane kis tarah kis vaaste kis dil se piitaa huun zamaana hai ki sarf-e-vahm-e-baatil hotaa jaataa hai khudaa jaane mujhe vo dekhte hain kin adaaon se ki gham aahista aahista miraa dil hotaa jaataa hai tire honTon se saaqi jis qadar main piitaa jaataa huun javaani kaa mujhe ehsaas-e-kaamil hotaa jaataa hai kahaan tak shikva-e-be-mehri-e-ahbaab ai hamdam zamaana darpae-aazaar-e-'bismil' hotaa jaataa hai"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"