SHAWORDS

nigaah-e-yaar se hotaa hai vo khumaar mujhe — Asif Rasheed Asjad

"nigaah-e-yaar se hotaa hai vo khumaar mujhe ki rut khizaan ki bhi lagne lage bahaar mujhe fasil-e-ishq pe rakkhaa huaa charaagh huun main havaa-e-hijr kaa rahtaa hai intizaar mujhe judaaiyaan hain muqaddar to phir gale kaise likhe hue pe tujhe hai naa ikhtiyaar mujhe faqat zabaan se naa kah mujh ko zindagi apni main zindagi huun tu achchhi tarah guzaar mujhe main aaina thaa kabhi ab to sirf shisha huun ye log dekhte rahte hain mere paar mujhe"
Urdu

نگاہ یار سے ہوتا ہے وہ خمار مجھے کہ رت خزاں کی بھی لگنے لگے بہار مجھے فصیل عشق پہ رکھا ہوا چراغ ہوں میں ہوائے ہجر کا رہتا ہے انتظار مجھے جدائیاں ہیں مقدر تو پھر گلے کیسے لکھے ہوئے پہ تجھے ہے نا اختیار مجھے فقط زباں سے نا کہہ مجھ کو زندگی اپنی میں زندگی ہوں تو اچھی طرح گزار مجھے میں آئنہ تھا کبھی اب تو صرف شیشہ ہوں یہ لوگ دیکھتے رہتے ہیں میرے پار مجھے

Hindi

निगाह-ए-यार से होता है वो ख़ुमार मुझे कि रुत ख़िज़ाँ की भी लगने लगे बहार मुझे फ़सील-ए-इश्क़ पे रक्खा हुआ चराग़ हूँ मैं हवा-ए-हिज्र का रहता है इंतिज़ार मुझे जुदाइयाँ हैं मुक़द्दर तो फिर गले कैसे लिखे हुए पे तुझे है ना इख़्तियार मुझे फ़क़त ज़बाँ से ना कह मुझ को ज़िंदगी अपनी मैं ज़िंदगी हूँ तू अच्छी तरह गुज़ार मुझे मैं आइना था कभी अब तो सिर्फ़ शीशा हूँ ये लोग देखते रहते हैं मेरे पार मुझे

nigāh-e-yār se hotā hai vo ḳhumār mujhe
Asif Rasheed Asjad
Asif Rasheed Asjad
Asif Rasheed Asjad
poet7 quotes

More by Asif Rasheed Asjad

View all →
Quote
"phuul se khushbu uThi aur rang paikar se uThaa hasrat-e-nazzaara le kar main bhi manzar se uThaa raushni phaili to apni be-ghari ke khauf se ik laraztaa haanptaa saayaa mire Dar se uThaa khvaahish-e-taabir aisi thi ki apni niind se main nahin jaagaa to meraa khvaab bistar se uThaa hashr se kuchh kam nahin hai dast-e-qaatil ke liye khun-e-naahaq to rahaa chup shor khanjar se uThaa aaine kaa ye karam ham pe huaa ki bazm mein vo jo ham se duur baiThaa thaa baraabar se uThaa"
Asif Rasheed AsjadAsif Rasheed Asjad
Quote
"zamin ke zakhm ko pahle rafu kiyaa jaae phir us ke baad darida falak siyaa jaae hamaaraa aks agar darmiyaan na haail ho to aaine ko gale se lagaa liyaa jaae ye zindagi to puraani sharaab jaisi hai ye kaDvaa ghunT hai lekin ise piyaa jaae jo raftagaan hain unhein lauT kar nahin aanaa ab intizaar kaa bistar uThaa diyaa jaae tumhaari yaad ne shab-khun maarnaa hai to kyaa dil-o-dimaagh se pahra haTaa diyaa jaae hamaare sar pe jo TuuTaa hai aasmaan to kyaa ab aasmaan ko sar par uThaa liyaa jaae"
Asif Rasheed AsjadAsif Rasheed Asjad
Quote
"hai ghalat-fahmi havaa ki us se Dar jaataa huun main hausla ban kar charaaghon mein utar jaataa huun main niind ki aaghosh mein thak kar girun main jab kabhi khvaab ji uThte hain mere aur mar jaataa huun main ghar makinon se banaa kartaa hai patthar se nahin bas isi ummid par har roz ghar jaataa huun main main ne tujh se kyaa kabhi puchhaa kidhar jaati hai tu ai shab-e-aavaara tujh ko kyaa kidhar jaataa huun main mere jaane par na ho ghar ki udaasi yuun malul tu agar ghabraa gai hai to Thahar jaataa huun main"
Asif Rasheed AsjadAsif Rasheed Asjad

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi