"maut ke jhule se baahar aa gai main kisi rishte se baahar aa gai rafta-rafta dard-e-dil ghaTtaa gayaa laash khud malbe se baahar aa gai maut ke kas kar gale ham kyaa lage zindagi khatre se baahar aa gai lab chhupaate hi rahe sab se jise baat vo lahje se baahar aa gai oDh kar baiThe the ham sanjidgi par hansi dhoke se baahar aa gai dekhne vaale tamaashaa ban gae daastaan parde se baahar aa gai mere hisse mein thi duniyaa aur main apne hi hisse se baahar aa gai bas vo mujh ko qaid karne vaalaa thaa aur main sapne se baahar aa gai"
nigaahon kaa tiraa vo ehtiraam rakh denaa — Kanchan Dobhal
"nigaahon kaa tiraa vo ehtiraam rakh denaa vo ham ko dekh ke haathon se jaam rakh denaa kurednaa nahin hai zakhm ko to phir kyaa hai kisi ke naam pe bachchon kaa naam rakh denaa kisi ke ishq mein Duube ho Thiik hai lekin ye kyaa ki chhoD ke sab kaam-dhaam rakh denaa banaane vaale tujhe yaad kyon nahin aayaa kisi hatheli pe meraa bhi naam rakh denaa ye kyaa ki jis se chhupaayaa thaa raaz-e-dil ab tak usi ke saamne qissa tamaam rakh denaa vo ek shaam jo mil kar kabhi kamaai thi kahin chhupaa ke vahi narm shaam rakh denaa"
نگاہوں کا ترا وہ احترام رکھ دینا وہ ہم کو دیکھ کے ہاتھوں سے جام رکھ دینا کریدنا نہیں ہے زخم کو تو پھر کیا ہے کسی کے نام پہ بچوں کا نام رکھ دینا کسی کے عشق میں ڈوبے ہو ٹھیک ہے لیکن یہ کیا کہ چھوڑ کے سب کام دھام رکھ دینا بنانے والے تجھے یاد کیوں نہیں آیا کسی ہتھیلی پہ میرا بھی نام رکھ دینا یہ کیا کہ جس سے چھپایا تھا راز دل اب تک اسی کے سامنے قصہ تمام رکھ دینا وہ ایک شام جو مل کر کبھی کمائی تھی کہیں چھپا کے وہی نرم شام رکھ دینا
निगाहों का तिरा वो एहतिराम रख देना वो हम को देख के हाथों से जाम रख देना कुरेदना नहीं है ज़ख़्म को तो फिर क्या है किसी के नाम पे बच्चों का नाम रख देना किसी के इश्क़ में डूबे हो ठीक है लेकिन ये क्या कि छोड़ के सब काम-धाम रख देना बनाने वाले तुझे याद क्यों नहीं आया किसी हथेली पे मेरा भी नाम रख देना ये क्या कि जिस से छुपाया था राज़-ए-दिल अब तक उसी के सामने क़िस्सा तमाम रख देना वो एक शाम जो मिल कर कभी कमाई थी कहीं छुपा के वही नर्म शाम रख देना

More by Kanchan Dobhal
View all →"dard meraa jo sirf meraa ho aap kis baat ke masihaa ho jang laDni ho jis ko rishton se ho vo paagal nahin to phir kyaa ho vo utaare gae farishton se ham ko jaise zamin pe pheinkaa ho khinch lete hain mujh ko viraane jyuun hi meraa qadam baDhaanaa ho hai dihaaDi si zindagi apni roz marnaa ho roz jiinaa ho"
"viraana gulzaar kiyaa hai tair ke sahraa paar kiyaa hai ab samjhi aaina thaa vo main ne jis par vaar kiyaa hai apne gham kaa ronaa ro kar khud ko hi baazaar kiyaa hai tum chaaho to jaa sakte ho par main ne to pyaar kiyaa hai qudrat kyon naaraaz hai ham se ham ne kuchh to yaar kiyaa hai ye jo ghuum rahein hain in ko aadat ne laachaar kiyaa hai ek kahaani ek tamaasha ham ne kitni baar kiyaa hai"
"naaz-o-nazaakat shab nahin ab ham ko mohabbat shab nahin ab ek shikaayat thi tum se par kyaa thi shikaayat shab nahin ab umr baDhi to bachpan ruThaa koi sharaarat shab nahin ab jaise-taise ji lete hain rasm-o-rivaayat shab nahin ab chukaa rahe hain aaj talak bas kis ki qimat shab nahin ab yahin kisi ik ghar ke the par naam-pata chhat shab nahin ab rang chaDhaa hai aisaa us kaa apni aadat shab nahin ab"
"koi kamaan-o-tegh-o-sipar de ai maulaa aahon mein bhi ek asar de ai maulaa yaa to duniyaa ko bhi shishe kaa kar de yaa phir mujh ko patthar kar de ai maulaa rahne ko pardon mein rah lungi lekin bandon ko bhi paak nazar de ai maulaa in pariyon ko haajat hai ab khanjar kei chaahe un ke pankh katar de ai maulaa din bhar Dar ke andhiyaaron ke saae hain sach-much kei bhi ek sahar de ai maulaa pyaar mohabbat khuub diyaa maulaa tu ne laDne kaa bhi ek hunar de ai maulaa"
"koi ajdaad ke khazaane the dard kuchh is qadar puraane the na nigaahein churaao khanDar se ye to aabaad aashiyaane the sirf izhaar hi nahin kaafi aap ko naaz bhi uThaane the vajh inkaar ki mire to bas yuun samajh lijiye bahaane the be-sahaaraa hain aur be-ghar bhi rishte-naaton mein jo siyaane the baad muddat ke khuub soi main meraa sar aur un ke shaane the un nigaahon ke vaar sah na sake tegh ke vaar jo dikhaane the"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
"kaaba-e-dil ko agar Dhaaiyegaa yaad rakhiye ki sazaa paaiyegaa yaad mein meri jo ghabraaiyegaa meri turbat pe chale aaiyegaa thoDi taklif sahi aane mein do ghaDi baiTh ke uTh jaaiyegaa yaad dilvaa ke vo agli baatein bhari mahfil mein na rulvaaiyegaa haal-e-dil kahiye to farmaate hain bakte bakte miraa sar khaaiyegaa yak zaraa aap ko ham dekh to lein baiThiye baiThiye phir jaaiyegaa ye 'haqir' aap se Darne kaa nahin aankhein bas ghair ko dikhlaaiyegaa"