"gum-shuda raaston ke musaafir itni dushvaariyaan kis ki khaatir apni gum-gashtagi mein tu maujud gum huaa huun main ho kar bhi haazir tere hone se hai kis ko inkaar mere hone se hain sab hi munkir ham darakhton se katraa ke guzre ai havaa tu hui kab se jaabir raat ro-ro ke taaron se puchhe kyaa huaa mere suraj ko aakhir tu miraa aaina ho na paayaa main nahin ho sakaa khud pe zaahir"
niind mein ik guphaa banaa rahaa huun — Mahender Kumar Sani
"niind mein ik guphaa banaa rahaa huun khvaab kaa raasta banaa rahaa huun ye jo koshish hai us se milne ki khud se ik raabta banaa rahaa huun main jo manzar mein ab kahin bhi nahin khud ko ik haashiya banaa rahaa huun TuTe-phuTe se apne lafzon se ek pyaari du'aa banaa rahaa huun shaa'iri ho rahi hai yuun mujh mein khaamushi ko sadaa banaa rahaa huun lafz kaa 'aks dekhne ke liye harf ko aaina banaa rahaa huun teri ‘uryaan-tani ke sadqe mein khud ko teri qabaa banaa rahaa huun dhyaan mein huun main ek muddat se jaane kyaa silsila banaa rahaa huun sab to pahle se hi banaa huaa hai main kise aur kyaa banaa rahaa huun"
نیند میں اک گپھا بنا رہا ہوں خواب کا راستہ بنا رہا ہوں یہ جو کوشش ہے اس سے ملنے کی خود سے اک رابطہ بنا رہا ہوں میں جو منظر میں اب کہیں بھی نہیں خود کو اک حاشیہ بنا رہا ہوں ٹوٹے پھوٹے سے اپنے لفظوں سے ایک پیاری دعا بنا رہا ہوں شاعری ہو رہی ہے یوں مجھ میں خامشی کو صدا بنا رہا ہوں لفظ کا عکس دیکھنے کے لیے حرف کو آئنہ بنا رہا ہوں تیری عریاں تنی کے صدقے میں خود کو تیری قبا بنا رہا ہوں دھیان میں ہوں میں ایک مدت سے جانے کیا سلسلہ بنا رہا ہوں سب تو پہلے سے ہی بنا ہوا ہے میں کسے اور کیا بنا رہا ہوں
नींद में इक गुफा बना रहा हूँ ख़्वाब का रास्ता बना रहा हूँ ये जो कोशिश है उस से मिलने की ख़ुद से इक राब्ता बना रहा हूँ मैं जो मंज़र में अब कहीं भी नहीं ख़ुद को इक हाशिया बना रहा हूँ टूटे-फूटे से अपने लफ़्ज़ों से एक प्यारी दु'आ बना रहा हूँ शा'इरी हो रही है यूँ मुझ में ख़ामुशी को सदा बना रहा हूँ लफ़्ज़ का 'अक्स देखने के लिए हर्फ़ को आइना बना रहा हूँ तेरी ‘उर्याँ-तनी के सदक़े में ख़ुद को तेरी क़बा बना रहा हूँ ध्यान में हूँ मैं एक मुद्दत से जाने क्या सिलसिला बना रहा हूँ सब तो पहले से ही बना हुआ है मैं किसे और क्या बना रहा हूँ

More by Mahender Kumar Sani
View all →"raat din gardish mein hain lekin paDaa rahtaa huun main kaam kyaa meraa yahaan hai sochtaa rahtaa huun main baahar andar ke jahaanon se milaa mujh ko faraagh tisri duniyaa ke chakkar kaaTtaa rahtaa huun main ek be-khaufi mujhe le aai saahil ke qarib aa ke ab nazdik saahil ke Daraa rahtaa huun main jaane kaisi raushni thi kar gai andhaa mujhe is bhayaanak tirgi mein bhi bujhaa rahtaa huun main kar diyaa kis ne miraa aaina-e-dil gard gard aks huun kis kaa havaa se puchhtaa rahtaa huun main ek jangal saa ugaa hai mere tan ke chaaron or aur apne man ke andar zard saa rahtaa huun main ek nuqte se ubharti hai ye saari kaaenaat ek nuqte par simaTtaa phailtaa rahtaa huun main raushni mein lafz ke tahlil ho jaane se qabl ik khalaa paDtaa hai jis mein ghumtaa rahtaa huun main saans ki lai par thirakti hai koi azli tarang rang-e-'saani' dekh kar hairat-zada rahtaa huun main"
"raasta jangal shajar darvesh hai yaa'ni mujh mein jalva-gar darvesh hai jism ik sahraa hai sahraa ke darun ek dariyaa chashm-e-tar darvesh hai khalq khaali sipiyaan hain dahr mein dahr mein koi guhar darvesh hai maavaraa maujud se dekhegaa kaun vo koi saahab-nazar darvesh hai jaane kis fursat mein phirtaa hai vo shakhs is tarah to dar-ba-dar darvesh hai us ko kis manzil ki baabat sochiye khaali-khaali ik safar darvesh hai ek sapnaa saare 'aalam par muhit ik haqiqat lamha-bhar darvesh hai"
"ek dariyaa hai jis ki ravaani thaa main haan kisi daur mein bahtaa paani thaa main apni aazaadiyon se jiyaa main sadaa go tumhaari tarah hi makaani thaa main main bhi apne liye kab haqiqat banaa dusron ke liye to kahaani thaa main ye jo zardi hai ab vasl ki den hai mausam-e-hijr mein rang dhaani thaa main khaak vaale mujhe dekhte hi na the vo samajhte rahe aasmaani thaa main is se pahle bhi do log hi the vahaan ek avval thaa vo ek 'saani' thaa main"
"ye teraa khvaab mujhe ek khvaab kar ke rahegaa magar ye 'ishq mujhe kaamyaab kar ke rahegaa main khud ko kitnaa chhupaaun bachaaun us se bahar-haal vo meraa 'ishq miraa intikhaab kar ke rahegaa bikhar gayaa hai miri ruuh mein vo khaar ke maanind vo gul-badan mujhe shaayad gulaab kar ke rahegaa main laakh rok lagaaun hazaar baandh banaaun vo sail-e-hijr mujhe zer-e-aab kar ke rahegaa main apnaa bakht agar sone ke qalam se bhi likhvaaun vo meri zindagi phir bhi kharaab kar ke rahegaa"
"mile hue hain ik muddat se khud ko kho kar dekhein bhi apne hi dil mein dubaara apni khvaahish bo kar dekhein bhi apne pairaahan ki saj-dhaj mein ham bhule gard ki maar andar andar utar gai hai mail use dho kar dekhein bhi apni sadaaqat ko manvaanaa bhi to jabr pe hai israar dusre ki sachchaai ke saamne jhuTaa ho kar dekhein bhi ye vahdat kis kaam ki jis mein donon ke naam-o-nishaan na rahein aao ham ik-dusre ko ab ek se do kar dekhein bhi rone vaalaa jaantaa hai kyaa hansnaa hai kyaa ronaa hai phir bhi kisi ke dukh mein 'saani' aankh bhigo kar dekhein bhi"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"khel duniyaa-e-'aarzi kaa huun ek kirdaar zindagi kaa huun mujh ko rakkhaa gayaa andhere mein main bhi haqdaar raushni kaa huun intihaa ke qarib hai duniyaa aadmi aakhiri sadi kaa huun dil ko ehsaas ho gayaa teraa mo'tarif teri dosti kaa huun main ne ghurbat mein 'ilm sikhaa hai main to maqruz muflisi kaa huun pur na hogaa jo mere baa'd kabhi ek aisaa khalaa kami kaa huun meraa dushman nahin 'khayaali' koi dost bhi main kisi kisi kaa huun"
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"