SHAWORDS

nikal paaun main kaise is asar se — Balmohan Panday

"nikal paaun main kaise is asar se mahakte phuul jhaDte hain nazar se mohabbat ke safar ke baad khalvat safar aasaan hai pichhle safar se gae the un se tark-e-ishq karne nazar haT hi na paai is nazar se dupaTTe se vo munh Dhaanke hue hain mohabbat ho gai piile color se khud apne dil se Dar lagne lagaa hai koi aavaaz aati hai idhar se"
Urdu

نکل پاؤں میں کیسے اس اثر سے مہکتے پھول جھڑتے ہیں نظر سے محبت کے سفر کے بعد خلوت سفر آسان ہے پچھلے سفر سے گئے تھے ان سے ترک عشق کرنے نظر ہٹ ہی نہ پائی اس نظر سے دوپٹے سے وہ منہ ڈھانکے ہوئے ہیں محبت ہو گئی پیلے کلر سے خود اپنے دل سے ڈر لگنے لگا ہے کوئی آواز آتی ہے ادھر سے

Hindi

निकल पाऊँ मैं कैसे इस असर से महकते फूल झड़ते हैं नज़र से मोहब्बत के सफ़र के बाद ख़ल्वत सफ़र आसान है पिछले सफ़र से गए थे उन से तर्क-ए-इश्क़ करने नज़र हट ही न पाई इस नज़र से दुपट्टे से वो मुँह ढाँके हुए हैं मोहब्बत हो गई पीले कलर से ख़ुद अपने दिल से डर लगने लगा है कोई आवाज़ आती है इधर से

nikal pā.ūñ maiñ kaise is asar se
Balmohan Panday
Balmohan Panday
Balmohan panday
poet18 quotes

More by Balmohan Panday

View all →
Quote
"dayaar-e-gham se ham baahar nikal ke sher kahte hain masaail hain bahut se un mein Dhal ke sher kahte hain dahakte aag ke shoalon pe chal ke sher kahte hain hamein pahchaan liije ham ghazal ke sher kahte hain rivaayat ke pujaari is liye naaraaz hain ham se khataa ye hai nae raston pe chal ke sher kahte hain hamein tanhaaiyon kaa shor jab bechain kartaa hai ikaTThi karte hain yaadein ghazal ke sher kahte hain sitaaron ki tarah raushan hain jin ke lafz zehnon mein vo shaayad mom ki surat pighal ke sher kahte hain hamaari shaairi us ko kahin rusvaa na kar Daale so us ke shahr mein thoDaa sambhal ke sher kahte"
Balmohan PandayBalmohan Panday
Quote
"zaayaa huaa tamaam hunar niind aa gai shab ko sajaa rahaa thaa magar niind aa gai main chaahtaa to ye huun kahaani tavil ho phir ye bhi sochtaa huun agar niind aa gai karvaT badal li donon ne ik khaamushi ke baad main ro paDaa aur us ko udhar niind aa gai daftar mein tai kiyaa thaa ki taare gineinge aaj lekin hamein pahunchte hi ghar niind aa gai kuchh doston ne aane se inkaar kar diyaa kuchh doston ko biich safar niind aa gai ik raat umr bhar ki thakan kaa sabab ai dost ham soch hi rahe the magar niind aa gai"
Balmohan PandayBalmohan Panday
Quote
"sab ke honTon pe ye marne ki duaaein kaisi chaaraagar tu ne hamein diin hain davaaein kaisi ek hi pal mein badalte hain manaazir kyaa kyaa ham tiri aankhein banaaein to banaaein kaisi mai-kashi chhoD do jab bhuul chuke ho us ko ab shifaa mil hi gai hai to davaaein kaisi aise haalaat mein hansne ki tamannaa kis ko aise maahaul mein jiine ki duaaein kaisi andhe logon ko sunaa dete hain us kaa chehra aap ke log bhi dete hain sazaaein kaisi hanste-gaate bhi udaasi nahin chhoDi main ne chhoD deti hain jo bachchon ko vo maaein kaisi"
Balmohan PandayBalmohan Panday
Quote
"samay se pahle bhale shaam-e-zindagi aae kisi tarah bhi udaasi kaa ghaav bhar jaae ham ab udaas nahin sar-ba-sar udaasi hain hamein charaagh nahin raushni kahaa jaae jo sher samjhe mujhe daad-vaad detaa rahe gale lagaae jise gham samajh mein aa jaae gae dinon mein koi shauq thaa mohabbat kaa ab is azaab mein ye zehn kaun uljhaae kisi ke hansne se raushan hui thi baad-e-sabaa koi udaas huaa to gulaab murjhaae ye ek dukh hi dabaa rah gayaa hai aankhon mein vo ek misraa jise sher kar nahin paae agar huun ghusse mein phir bhi main chaahtaa ye huun main sirf hijr kahun aur phone kaT jaae"
Balmohan PandayBalmohan Panday

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil