Quote
"samay se pahle bhale shaam-e-zindagi aae kisi tarah bhi udaasi kaa ghaav bhar jaae ham ab udaas nahin sar-ba-sar udaasi hain hamein charaagh nahin raushni kahaa jaae jo sher samjhe mujhe daad-vaad detaa rahe gale lagaae jise gham samajh mein aa jaae gae dinon mein koi shauq thaa mohabbat kaa ab is azaab mein ye zehn kaun uljhaae kisi ke hansne se raushan hui thi baad-e-sabaa koi udaas huaa to gulaab murjhaae ye ek dukh hi dabaa rah gayaa hai aankhon mein vo ek misraa jise sher kar nahin paae agar huun ghusse mein phir bhi main chaahtaa ye huun main sirf hijr kahun aur phone kaT jaae"
Balmohan Panday