"aish maazi ke ginaa haal kaa taana de de ghar palaTne ke liye koi bahaana de de main ne is shahr ko ik shakhs kaa hamnaam kiyaa chaahe ab jo bhi ise naam zamaana de de sang-zaadon ko bhi taamir mein shaamil kar lo is se pahle ki koi aaina-khaana de de us kaa rumaal bhi majburi thaa hamdardi nahin us ko ye Dar thaa koi aur na shaana de de dil ke ujDe hue jangal ko paDaa rahne do ain mumkin hai parindon ko Thikaana de de"
zaayaa huaa tamaam hunar niind aa gai — Balmohan Panday
"zaayaa huaa tamaam hunar niind aa gai shab ko sajaa rahaa thaa magar niind aa gai main chaahtaa to ye huun kahaani tavil ho phir ye bhi sochtaa huun agar niind aa gai karvaT badal li donon ne ik khaamushi ke baad main ro paDaa aur us ko udhar niind aa gai daftar mein tai kiyaa thaa ki taare gineinge aaj lekin hamein pahunchte hi ghar niind aa gai kuchh doston ne aane se inkaar kar diyaa kuchh doston ko biich safar niind aa gai ik raat umr bhar ki thakan kaa sabab ai dost ham soch hi rahe the magar niind aa gai"
ضائع ہوا تمام ہنر نیند آ گئی شب کو سجا رہا تھا مگر نیند آ گئی میں چاہتا تو یہ ہوں کہانی طویل ہو پھر یہ بھی سوچتا ہوں اگر نیند آ گئی کروٹ بدل لی دونوں نے اک خامشی کے بعد میں رو پڑا اور اس کو ادھر نیند آ گئی دفتر میں طے کیا تھا کہ تارے گنیں گے آج لیکن ہمیں پہنچتے ہی گھر نیند آ گئی کچھ دوستوں نے آنے سے انکار کر دیا کچھ دوستوں کو بیچ سفر نیند آ گئی اک رات عمر بھر کی تھکن کا سبب اے دوست ہم سوچ ہی رہے تھے مگر نیند آ گئی
ज़ाया हुआ तमाम हुनर नींद आ गई शब को सजा रहा था मगर नींद आ गई मैं चाहता तो ये हूँ कहानी तवील हो फिर ये भी सोचता हूँ अगर नींद आ गई करवट बदल ली दोनों ने इक ख़ामुशी के बाद मैं रो पड़ा और उस को उधर नींद आ गई दफ़्तर में तय किया था कि तारे गिनेंगे आज लेकिन हमें पहुँचते ही घर नींद आ गई कुछ दोस्तों ने आने से इंकार कर दिया कुछ दोस्तों को बीच सफ़र नींद आ गई इक रात उम्र भर की थकन का सबब ऐ दोस्त हम सोच ही रहे थे मगर नींद आ गई

More by Balmohan Panday
View all →"dayaar-e-gham se ham baahar nikal ke sher kahte hain masaail hain bahut se un mein Dhal ke sher kahte hain dahakte aag ke shoalon pe chal ke sher kahte hain hamein pahchaan liije ham ghazal ke sher kahte hain rivaayat ke pujaari is liye naaraaz hain ham se khataa ye hai nae raston pe chal ke sher kahte hain hamein tanhaaiyon kaa shor jab bechain kartaa hai ikaTThi karte hain yaadein ghazal ke sher kahte hain sitaaron ki tarah raushan hain jin ke lafz zehnon mein vo shaayad mom ki surat pighal ke sher kahte hain hamaari shaairi us ko kahin rusvaa na kar Daale so us ke shahr mein thoDaa sambhal ke sher kahte"
"samay se pahle bhale zindagi ki shaam aae kisi tarah to udaasi kaa ghaav bhar jaae ham ab udaas nahin sar-ba-sar udaasi hain hamein charaagh nahin raushni kahaa jaae jo sher samjhe mujhe daad-vaad detaa rahe gale lagaae jise gham samajh mein aa jaae kisi ke hansne se raushan hui thi baad-e-sabaa koi udaas huaa to gulaab murjhaae ye ek dukh jo dabaa rah gayaa hai aankhon mein vo ek misraa jise sher kar nahin paae"
"nikal paaun main kaise is asar se mahakte phuul jhaDte hain nazar se mohabbat ke safar ke baad khalvat safar aasaan hai pichhle safar se gae the un se tark-e-ishq karne nazar haT hi na paai is nazar se dupaTTe se vo munh Dhaanke hue hain mohabbat ho gai piile color se khud apne dil se Dar lagne lagaa hai koi aavaaz aati hai idhar se"
"sab ke honTon pe ye marne ki duaaein kaisi chaaraagar tu ne hamein diin hain davaaein kaisi ek hi pal mein badalte hain manaazir kyaa kyaa ham tiri aankhein banaaein to banaaein kaisi mai-kashi chhoD do jab bhuul chuke ho us ko ab shifaa mil hi gai hai to davaaein kaisi aise haalaat mein hansne ki tamannaa kis ko aise maahaul mein jiine ki duaaein kaisi andhe logon ko sunaa dete hain us kaa chehra aap ke log bhi dete hain sazaaein kaisi hanste-gaate bhi udaasi nahin chhoDi main ne chhoD deti hain jo bachchon ko vo maaein kaisi"
"samay se pahle bhale shaam-e-zindagi aae kisi tarah bhi udaasi kaa ghaav bhar jaae ham ab udaas nahin sar-ba-sar udaasi hain hamein charaagh nahin raushni kahaa jaae jo sher samjhe mujhe daad-vaad detaa rahe gale lagaae jise gham samajh mein aa jaae gae dinon mein koi shauq thaa mohabbat kaa ab is azaab mein ye zehn kaun uljhaae kisi ke hansne se raushan hui thi baad-e-sabaa koi udaas huaa to gulaab murjhaae ye ek dukh hi dabaa rah gayaa hai aankhon mein vo ek misraa jise sher kar nahin paae agar huun ghusse mein phir bhi main chaahtaa ye huun main sirf hijr kahun aur phone kaT jaae"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"