Quote
"kashtiyaan us ki baadbaan us kaa hai havaaon ko imtihaan us kaa vo jo lamha abhi nahin aayaa vasl mein khauf darmiyaan us kaa vo parinda hai lauT aaegaa is zamin par hai aashiyaan us kaa vo miri tarah soch kar dekhe meri tanhaai hai ziyaan us kaa qariya-e-jaan mahak mahak uTThaa kyaa tasavvur hai gul-fishaan us kaa ek ik harf hai miri takhliq naam hai zeb-e-daastaan us kaa"
