SHAWORDS

nizaam-e-jahaan bhi ajab hai niraalaa — Asar Nizami

HomeAsar NizamiGhazal
"nizaam-e-jahaan bhi ajab hai niraalaa andheron se Darne lagaa hai ujaalaa vo fōtpath par apnaa fan bechtaa thaa sitamgar jahaan ne ise raund Daalaa anaa se kahaan kis ko mukti mili hai hai mazbut kitnaa ye makDi kaa jaalaa yahi vo gharibi ki galiyaan hain yaaro jahaan roz biktaa hai izzat kaa pyaala ye firqa-parasti kaa manhus bandar 'asar' toD Daalegaa millat ki maalaa"
Urdu

نظام جہاں بھی عجب ہے نرالا اندھیروں سے ڈرنے لگا ہے اجالا وہ فٹ پاتھ پر اپنا فن بیچتا تھا ستم گر جہاں نے اسے روند ڈالا انا سے کہاں کس کو مکتی ملی ہے ہے مضبوط کتنا یہ مکڑی کا جالا یہی وہ غریبی کی گلیاں ہیں یارو جہاں روز بکتا ہے عزت کا پیالہ یہ فرقہ پرستی کا منحوس بندر اثرؔ توڑ ڈالے گا ملت کی مالا

Hindi

निज़ाम-ए-जहाँ भी अजब है निराला अँधेरों से डरने लगा है उजाला वो फ़ुटपाथ पर अपना फ़न बेचता था सितमगर जहाँ ने इसे रौंद डाला अना से कहाँ किस को मुक्ती मिली है है मज़बूत कितना ये मकड़ी का जाला यही वो ग़रीबी की गलियाँ हैं यारो जहाँ रोज़ बिकता है इज़्ज़त का प्याला ये फ़िरक़ा-परस्ती का मनहूस बंदर 'असर' तोड़ डालेगा मिल्लत की माला

nizām-e-jahāñ bhī ajab hai nirālā
A
Asar Nizami
Asar Nizami
poet9 quotes

More by Asar Nizami

View all →
Quote
"lagi hai gasht karne ye khabar aahista aahista kamar kasne lagaa hai fitna-gar aahista aahista kutar Daalo use jitnaa bhi tum sone ki qainchi se parinde kaa nikal aataa hai par aahista aahista Dubo kar manchali kashti ko maujon ne kahaa hans kar kiyaa jaataa hai paani mein safar aahista aahista tilismi baansuri naadaan bachchon ko na denaa tum ujaD jaaegaa maasumon kaa ghar aahista aahista safar ki lazzatein kyaa hain safar ke pech-o-kham kyaa hain samajh jaaegaa apnaa ham-safar aahista aahista kalaam-e-narm-o-naazuk ko banaanaa apnaa sheva tum utar jaaegaa siine mein 'asar' aahista aahista"
A
Asar Nizami
Quote
"apni nazrein dar-o-divaar par aksar rakhnaa ajnabi ghar mein qadam soch-samajh kar rakhnaa kahin phaT jaae kaleja na vufur-e-gham se apni palkon mein chhupaa kar na samundar rakhnaa itnaa aasaan nahin un ko bhulaanaa dil se soch kar apne kaleje pe ye patthar rakhnaa yaad aataa hai vo manzar tire afsaane kaa apne mahbub ko dushman ke baraabar rakhnaa khvaab mein aaeinge pur-nur parinde lekin shart hai saaf magar zehn kaa bistar rakhnaa saunp di main ne tumhein mehr-o-vafaa ki kunji lauT aaungaa saliqe se miraa ghar rakhnaa ai 'asar' abru phulon ki jhulas jaaegi tum na sho'lon ki hatheli pe gul-e-tar rakhnaa"
A
Asar Nizami
Quote
"ab koi baat baDhaane ki zarurat na rahi haal-e-dil un ko sunaane ki zarurat na rahi masale ho gae be-rukh hi siyaasat ke shikaar koi aavaaz uThaane ki zarurat na rahi qaafile dard ke khud dil se guzar jaate hain raaste un ko dikhaane ki zarurat na rahi vaqt vo hai ki hue donon anaa se sarshaar zindagi saath nibhaane ki zarurat na rahi apne aangan mein mile ham ko muqaffal rishte koi divaar uThaane ki zarurat na rahi apni fitrat se 'asar' vo bhi shanaavar niklaa tairnaa us ko sikhaane ki zarurat na rahi"
A
Asar Nizami
Quote
"baazaar-e-mohabbat mein sharminda sharaafat hai phulon ki numaaish hai khushbu ki tijaarat hai hanste hue gulshan ko pal bhar mein rulaa Daale aavaara havaaon mein aisi bhi mahaarat hai taamir kaa jazba bhi takhrib kaa naqsha bhi ye shauq-e-shahaadat hai yaa zauq-e-baghaavat hai bujhte hue angaare paighaam ye dete hain shoalon se ulajhne ki shabnam mein jasaarat hai auqaat ki had se vo aage nahin baDh saktaa qismat ki hatheli par raushan ye ibaarat hai ashaar 'asar' mere mansub usi se hain jis fikr-e-rasaa ki bhi angDaai qayaamat hai"
A
Asar Nizami

More on Maa

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud