SHAWORDS

pahle apnaayaa khaar phulon kaa — Aamir Ata

HomeAamir AtaGhazal
"pahle apnaayaa khaar phulon kaa tab kahin paayaa pyaar phulon kaa main bhi gulshan sameT laayaa huun us ne maangaa thaa haar phulon kaa yaad aati hai us ki mat chheDo zikr yuun baar baar phulon kaa tujh se milne ke baad ye jaanaa kaun hai dastkaar phulon kaa phail jaa ban ke khushbu gulshan mein chhin le ikhtiyaar phulon kaa tere chhune se hi to chaltaa hai aaj kal rozgaar phulon kaa de ke izhaar-e-ishq karte hain is se samjho vaqaar phulon kaa jab se aamir-'ataa' huaa aashiq chaDh gayaa hai udhaar phulon kaa"
Urdu

پہلے اپنایا خار پھولوں کا تب کہیں پایا پیار پھولوں کا میں بھی گلشن سمیٹ لایا ہوں اس نے مانگا تھا ہار پھولوں کا یاد آتی ہے اس کی مت چھیڑو ذکر یوں بار بار پھولوں کا تجھ سے ملنے کے بعد یہ جانا کون ہے دست کار پھولوں کا پھیل جا بن کے خوشبو گلشن میں چھین لے اختیار پھولوں کا تیرے چھونے سے ہی تو چلتا ہے آج کل روزگار پھولوں کا دے کے اظہار عشق کرتے ہیں اس سے سمجھو وقار پھولوں کا جب سے عامر عطاؔ ہوا عاشق چڑھ گیا ہے ادھار پھولوں کا

Hindi

पहले अपनाया ख़ार फूलों का तब कहीं पाया प्यार फूलों का मैं भी गुलशन समेट लाया हूँ उस ने माँगा था हार फूलों का याद आती है उस की मत छेड़ो ज़िक्र यूँ बार बार फूलों का तुझ से मिलने के ब'अद ये जाना कौन है दस्तकार फूलों का फैल जा बन के ख़ुश्बू गुलशन में छीन ले इख़्तियार फूलों का तेरे छूने से ही तो चलता है आज कल रोज़गार फूलों का दे के इज़हार-ए-इश्क़ करते हैं इस से समझो वक़ार फूलों का जब से आमिर-'अता' हुआ आशिक़ चढ़ गया है उधार फूलों का

pahle apnāyā ḳhaar phūloñ kā
Aamir Ata
Aamir Ata
Aamir Ata
poet21 quotes

More by Aamir Ata

View all →
Quote
"khvaab mein kar ke rihaai ke nazaare qaidi jaag kar rote rahe aaj bechaare qaidi aap ki duniyaa mein jhule ki suhulat hogi jhulte hain yahaan suuli ke sahaare qaidi jaante the ki rihaai ki koi raah nahin roz karte the par andhon ko ishaare qaidi raat ki aaD mein milti hain sazaaein kyaa kyaa shaahzaadi ko lubhaate hain kunvaare qaidi us ne zindaan ke suraakh talak band kiye kaaT lein raat na ginte hue taare qaidi hai giraftaar-e-anaa har koi taa-hadd-e-nigaah zulmat-aabaad mein ab kis ko pukaare qaidi tum to yaadon ko bhi hamraah liye jaate ho chhoD kar jaao inhein ye hain hamaare qaidi"
Aamir AtaAamir Ata
Quote
"kahin paidaa koi majnun kahin farhaad karte hain vafaa ke naam par taaza sitam ijaad karte hain kisi ke dil mein basne ke liye fariyaad karte hain magar ahl-e-jahaan zaalim hamein barbaad karte hain kai aise adhure kaam hain is ke 'alaava bhi ye khush-fahmi na rakhnaa ham tumhein hi yaad karte hain yaqin maano kisi se mashvara karte nahin hain ham murid-e-‘ishq hain aur 'ishq ko ustaad karte hain tire aane se kyaa masti chaDhi basti ke logon par parindon ko rihaa par chuum kar sayyaad karte hain 'ataa' ham ko zamaane se alag karne ki khvaahish hai vo ham karte nahin jo dusre afraad karte hain"
Aamir AtaAamir Ata
Quote
"be-hijaabaana vo kal jab bar-sar-e-mahfil gae jitne murjhaae the chehre ek dam se khil gae yaar vo naazuk hai itnaa main ne us ke aane par farsh phulon kaa bichhaayaa paanv phir bhi chhil gae jaane us aavaaz mein kaisi shifaa maujud hai us ne puchhaa Thiik ho aur zakhm khud hi sil gae vo jo apni be-tuki baaton se hi mashhur hai us ki baatein sunne ko sab shahr ke 'aaqil gae sirf us ke husn ki khairaat lene ke liye ban ke shaahaan-e-zamaana bhi vahaan saail gae baiThe baiThe us ne naddi mein Duboe paanv aur dekhte hi dekhte donon kinaare mil gae apni manzil paane vaalon mein vahi kuchh log hain raund kar apni anaa jo jaanib-e-manzil gae"
Aamir AtaAamir Ata
Quote
"puure majme’ ko laa-javaab kiyaa husn par us ne jab khitaab kiyaa 'umr bhar phir nahin hue naakaam tu ne jis jis ko kaamyaab kiyaa tere jaate hi khul gaiin aankhein niind aadhi ki puuraa khvaab kiyaa haal achchhaa thaa ab talak meraa puchh kar tu ne sab kharaab kiyaa ehtiraaman sabhi khutut tire jaa ke saahil pe gharq-e-aab kiyaa sifr bachtaa hai dil ke khaane mein main ne khushiyon kaa jab hisaab kiyaa shukr sad-shukr aisi ghurbat kaa jis ne apnon ko be-naqaab kiyaa lag gai us ki naukri jis ne ji-huzur aur ji janaab kiyaa"
Aamir AtaAamir Ata

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer