"na suno mere naale hain dard-bhare daar-o-asare aah-e-sahare tumhein kyaa jo koi martaa hai mire ai dushman-e-jaan be-daad-gare tiri surmagin aankhon ke sadqe inhein chheD na panja-e-mizhgaan se abhi zakhm-e-jigar hain tamaam hare ai mahv-e-taghaaful be-khabare liyaa ishq mein jog bhikaari bane tire naqsh-e-qadam ke pujaari bane kabhi sajde kiye kabhi gird phire but sim-bare zarrin-kamre jo tu ne hazaaron vaade kiye lekin vo kabhi iifaa na hue dil hi hain rahe armaan mire ai vaada-shikan but hila-gire 'bedam' kahein kyaa kis tarah rahe mar mar ke jiye ji ji ke mare dar-manzil-e-ishqash dar-badare majnun-e-shorida-sare"
pahle sharmaa ke maar Daalaa — Bedam Shah Warsi
"pahle sharmaa ke maar Daalaa phir saamne aa ke maar Daalaa saaqi na pilaai tuune aakhir tarsaa tarsaa ke maar Daalaa iisaa the to marne hi na dete tum ne to jilaa ke maar Daalaa bimaar-e-alam ko tu ne naaseh samjhaa samjhaa ke maar Daalaa khanjar kaisaa faqat adaa se taDpaa taDpaa ke maar Daalaa yaad-e-gesu ne hijr ki shab uljhaa uljhaa ke maar Daalaa furqat mein tire gham-o-alam ne tanhaa mujhe paa ke maar Daalaa khanjar na milaa to us ne 'bedam' aankhein dikhlaa ke maar Daalaa"
پہلے شرما کے مار ڈالا پھر سامنے آ کے مار ڈالا ساقی نہ پلائی تونے آخر ترسا ترسا کے مار ڈالا عیسیٰ تھے تو مرنے ہی نہ دیتے تم نے تو جلا کے مار ڈالا بیمار الم کو تو نے ناصح سمجھا سمجھا کے مار ڈالا خنجر کیسا فقط ادا سے تڑپا تڑپا کے مار ڈالا یاد گیسو نے ہجر کی شب الجھا الجھا کے مار ڈالا فرقت میں ترے غم و الم نے تنہا مجھے پا کے مار ڈالا خنجر نہ ملا تو اس نے بیدمؔ آنکھیں دکھلا کے مار ڈالا
पहले शर्मा के मार डाला फिर सामने आ के मार डाला साक़ी न पिलाई तूने आख़िर तरसा तरसा के मार डाला ईसा थे तो मरने ही न देते तुम ने तो जिला के मार डाला बीमार-ए-अलम को तू ने नासेह समझा समझा के मार डाला ख़ंजर कैसा फ़क़त अदा से तड़पा तड़पा के मार डाला याद-ए-गेसू ने हिज्र की शब उलझा उलझा के मार डाला फ़ुर्क़त में तिरे ग़म-ओ-अलम ने तन्हा मुझे पा के मार डाला ख़ंजर न मिला तो उस ने 'बेदम' आँखें दिखला के मार डाला

More by Bedam Shah Warsi
View all →"ham mai-kade se mar ke bhi baahar na jaaeinge mai-kash hamaari khaak ke saaghar banaaeinge vo ik kaheinge ham se to ham sau sunaaeinge munh aaeinge hamaare to ab munh ki khaaeinge kuchh chaarasaazi naalon ne ki hijr mein miri kuchh ashk mere dil ki lagi ko bujhaaeinge vo misl-e-ashk uTh nahin saktaa zamin se jis ko huzur apni nazar se giraaeinge jhonke nasim-e-subh ke aa aa ke hijr mein ik din charaagh-e-hasti-e-aashiq bujhaaeinge sahraa ki gard hogi kafan mujh gharib kaa uTh kar bagule meraa janaaza uThaaeinge ab Thaan li hai dil mein ki sar jaae yaa rahe jaise uThegaa baar-e-mohabbat uThaaeinge gardish ne meri charkh kaa chakraa diyaa dimaagh naalon se ab zamin ke tabaq thartharaaeinge 'bedam' vo khush nahin hain to achchhaa yunhi sahi naa-khush hi ho ke ghair miraa kyaa banaaeinge"
"mujhe jalvon ki us ke tamiz ho kyaa mere hosh-o-havaas bachaa hi nahin hai ye be-khabari ki khabar hi nahin vo naqaab uThaa ki uThaa hi nahin mire haal pe chhoD tabib mujhe ki azaab hai miri ziist mujhe meraa marnaa hi mere liye hai shifaa mere dard ki koi davaa hi nahin use DhunDte DhunDte kho gae hamein huaa kiyaa aur kyaa ho gae ham hamein pahron tak apni khabar hi nahin hamein koson tak apnaa pataa hi nahin miraa haal kharaab sunaa to kahaa ki vo saamne mere na aae kabhi mujhe rote jo dekhaa to hans ke kahaa ki ye sheva-e-ahl-e-vafaa hi nahin jahaan koi sitam ijaad kiyaa mujhe kah ke falak ne ye yaad kiyaa ki bas ek dil-e-'bedam' ke sivaa koi qaabil-e-mashq-e-jafaa hi nahin"
"ishq ke aasaar hain phir ghash mujhe aayaa dekho phir koi rauzan-e-divaar se jhaankaa dekho un ke milne ki tamannaa mein miTaa jaataa huun nai duniyaa hai mire shauq ki duniyaa dekho tuur par hi nahin nazzaara-e-jaanaan mauquf dekhnaa ho to vo maujud hai har jaa dekho asar-e-naala-e-aashiq nahin dekhaa tum ne thaam lo dil ko sambhal baiTho ab achchhaa dekho taur majnun ki nigaahon ke bataate hain hamein isi lailaa mein hai ik dusri lailaa dekho partav-e-mahr se maamur hai zarra zarra lahrein letaa hai har ik qatre mein dariyaa dekho duur ho jaaein jo aankhon se hijaabaat-e-dui phir to dil hi mein do-aalam kaa tamaashaa dekho sab mein DhunDaa unhein aur ki to na ki dil mein talaash nazar-e-shauq kahaan khaai hai dhokaa dekho nahin thamte nahin thamte mire aansu 'bedam' raaz-e-dil un pe huaa jaataa hai ifshaa dekho"
"qasr-e-jaanaan tak rasaai ho kisi tadbir se taair-e-jaan ke liye par maang luun main tiir se un ko kyaa dhokaa huaa mujh naa-tavaan ko dekh meri surat kyuun milaate hain miri tasvir se gaaliyaan de kar bajaae qum ke ai rashk-e-masih aap ne murde jilaae hain nai tadbir se sadqe ai qaatil tire mujh tishna-e-didaar ki tishnagi jaati rahi aab-e-dam-e-shamshir se ishve se ghamze se shokhi se adaa se naaz se miTne vaalaa huun miTaa diije kisi tadbir se ik savaal-e-vasl par do do sazaaein diin mujhe tegh se kaaTaa zabaan ko si diye lab tiir se kuchh na ho ai inqilaab-e-aasmaan itnaa to ho ghair ki qismat badal jaae meri taqdir se zindagi se kyuun na ho nafrat ki mahv-e-zulf huun qaid-e-hasti mujh ko 'bedam' kam nahin zanjir se"
"kyaa gila is kaa jo meraa dil gayaa mil gae tum mujh ko sab kuchh mil gayaa jis ko aankhein DhunDhti thiin paa gaiin dil ko jis ki justuju thi mil gayaa is gul-e-raanaa ne hans kar baat ki ghuncha-e-khaatir hamaaraa khil gayaa chhoD kar tu us ko ghairon se milaa khaak mein jo teri khaatir mil gayaa ban gai har mauj ik mauj-e-saraab tishna-lab jab main lab-e-saahil gayaa arz-e-haal-e-chaak-e-dil kyunkar karun saamne un ke gayaa munh sil gayaa ghair hi kyaa be-rukhi se aap ki aaj 'bedam' bhi bahut be-dil gayaa"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"