"numud-e-tegh hui paa-e-mo'tabar na bachaa vo ran paDaa kisi shaane pe koi sar na bachaa hikaayat-e-gham-e-duniyaa raqam lahu se hui hamaare zikr pe paani bhi buund bhar na bachaa ragon mein dauDte rahnaa lahu ki fitrat hai Thahar gayaa to koi mauqa’-e-safar na bachaa hazaar khvaabon ki duniyaa mein 'umr guzri ho haqiqatein hon muqaabil to phir nazar na bachaa bachaa na ghair bhi bargashta-taala'i se miri main jis ke saae mein baiThaa vahi shajar na bachaa har ek raah thi us ke nishaan-e-paa mein zam kahaan main jaaun ki jab naqsh-e-rah-guzar na bachaa"
pas-e-ghubaar-e-taghaaful jo ik daricha thaa — Ghulam Mustafa Faraz
"pas-e-ghubaar-e-taghaaful jo ik daricha thaa usi se hijr kaa suraj tulu' honaa thaa sukut-e-shab thaa dar-o-baam the siyaahi thi pae-shumaar bahut duur ik sitaaraa thaa mire hi dam se hain raushan ye mehr-o-maah nujum mujhe nikaal ke is kaaenaat mein kyaa thaa palaT na jaati agar raushni to kyaa karti fasil mein koi rauzan na koi rakhna thaa ba-in-dalil hue saare falsafe baatil kahin charaagh se pahle charaagh jaltaa thaa sharik ho ke bhi maa'dum thi miri shirkat jo main nahin to sar-e-bazm kaun tanhaa thaa jo zarra thaa to chhupaa thaa kahaan miraa jauhar darun-e-zaat ye aksar savaal uThtaa thaa"
پس غبار تغافل جو اک دریچہ تھا اسی سے ہجر کا سورج طلوع ہونا تھا سکوت شب تھا در و بام تھے سیاہی تھی پئے شمار بہت دور اک ستارا تھا مرے ہی دم سے ہیں روشن یہ مہر و ماہ نجوم مجھے نکال کے اس کائنات میں کیا تھا پلٹ نہ جاتی اگر روشنی تو کیا کرتی فصیل میں کوئی روزن نہ کوئی رخنہ تھا بایں دلیل ہوئے سارے فلسفے باطل کہیں چراغ سے پہلے چراغ جلتا تھا شریک ہو کے بھی معدوم تھی مری شرکت جو میں نہیں تو سر بزم کون تنہا تھا جو ذرہ تھا تو چھپا تھا کہاں مرا جوہر درون ذات یہ اکثر سوال اٹھتا تھا
पस-ए-ग़ुबार-ए-तग़ाफ़ुल जो इक दरीचा था उसी से हिज्र का सूरज तुलूअ' होना था सुकूत-ए-शब था दर-ओ-बाम थे सियाही थी पए-शुमार बहुत दूर इक सितारा था मिरे ही दम से हैं रौशन ये मेहर-ओ-माह नुजूम मुझे निकाल के इस काएनात में क्या था पलट न जाती अगर रौशनी तो क्या करती फ़सील में कोई रौज़न न कोई रख़्ना था ब-ईं-दलील हुए सारे फ़लसफ़े बातिल कहीं चराग़ से पहले चराग़ जलता था शरीक हो के भी मा'दूम थी मिरी शिरकत जो मैं नहीं तो सर-ए-बज़्म कौन तन्हा था जो ज़र्रा था तो छुपा था कहाँ मिरा जौहर दरून-ए-ज़ात ये अक्सर सवाल उठता था
More by Ghulam Mustafa Faraz
View all →"mere sivaa sabhi ki thi yalghaar har taraf naadaan sirf main hi thaa hushiyaar har taraf baaqi bachegaa kuchh bhi na mujh ko nikaal ke hain mere dam se saabit-o-sayyaar har taraf sab dil pe choT khaae hain sab gham chhupaae hain aazaar-e-'ishq ke hain gunahgaar har taraf baazaar-e-misr mein koi yusuf nahin hai ab kis ki talaash mein hain kharidaar har taraf qasr-e-anaa ke takht kaa sultaan main hi huun main ne hi khud uThaai hai divaar har taraf bichh jaati hain safein ki safein ran mein chaar su jab ik taraf se kartaa huun main vaar har taraf khud chal ke koi jaataa nahin us ke naam par baiThe sabhi hain jaane ko tayyaar har taraf"
"khaak ko jis dam jauhar kaa idraak huaa zarra zamin se uTThaa aur aflaak huaa khulte khulte us ko bhi kuchh vaqt lagaa hote hote main bhi kuchh bebaak huaa dhire dhire kirnon ki yalghaar hui dhire dhire raat kaa siina chaak huaa dasht-e-junun se zanjiron kaa shor uThaa ret uDaataa sahraa vahshat-naak huaa saare bakheDe ek zaraa si der ke the taar-e-nafas jab TuuTaa qissa paak huaa rafta rafta shaakh-e-badan par phuul khile rafta rafta khud mein vo chaalaak huaa"
"nikal paDe hain jo teri khaatir unhin pe teraa 'itaab kyon hai saron pe suraj dilon mein uljhan nazar saraasar saraab kyon hai tamaam samtein tamaam raste tamaam naqsh-o-nigaar tere zamin bhi teri falak bhi teraa to phir masaafat 'azaab kyon hai koi sikandar koi qalandar kabhi na pal bhar ko rok paayaa samand-e-'umr-e-ravaan hamesha se be-zamaam-o-rikaab kyon hai zamaane bhar ke dukhon ko baanTun ki apni bechaargi ko rouun mire hi daaman mein sab kaa sahraa mujhi se barham sahaab kyon hai siyaah baadal khunuk havaaein ghanaa andheraa tavil rasta abhi to 'azm-e-safar kiyaa hai abhi se mausam kharaab kyon hai"
"hunar se jaae kisi ke na fan se jaataa hai lahu kaa daagh kahin pairahan se jaataa hai ba-sad adaa nigah-e-sim-tan se jaataa hai jigar ke paar har ik tiir san se jaataa hai numud-e-tegh-e-badan maa'rke kaa jauhar hai dikhaa ke piiTh kahin koi ran se jaataa hai ragon mein soz-e-gham-e-‘ishq se lahu hai ravaan so vahshi aage nikal kar hiran se jaataa hai mizha pe hotaa hai raushan charaagh-e-tanhaai asir-e-zulf agar anjuman se jaataa hai na koi tesha na sang-e-giraan na ju-e-shir junun-e-'ishq dil-e-kohkan se jaataa hai"
"laakh bujhaao bujhti nahin hai khirman-e-jaan se madfan tak aatish-e-gul jab aa jaati hai baDhte baDhte daaman tak ik vaqt aisaa aaegaa zanjir-e-safar bhi TuTegi saath mire jab ruk jaaegaa 'umr-e-ravaan kaa tausan tak zarra zarra arz-o-samaa kaa apni qimat rakhtaa hai husn-e-nazar kaa khel hai saaraa viraane se gulshan tak khulte hi muTThi ham-safaron par sakte jaisaa 'aalam thaa dekh ke mere rakht-e-safar ko nam-dida thaa rahzan tak is duniyaa ne ham par us ke darvaaze jab band kiye ham ne khud ko khaak kiyaa aur uD kar pahunche rauzan tak"
More on Maa
View all →"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"