SHAWORDS

pyaar kaa ik pal sukun-e-zindagi de jaaegaa — Anwar Taban

HomeAnwar TabanGhazal
"pyaar kaa ik pal sukun-e-zindagi de jaaegaa khatm jo hone na paae vo khushi de jaaegaa vo khulus-o-mehr kaa paikar banaam-e-dostaan dushmanon ko bhi shuur-e-dosti de jaaegaa husn-e-fitrat jalva-gar ho kar yaqinan ik din rang kaliyon ko gulon ko dilkashi de jaaegaa aaegaa vo din hamaari zindagi mein bhi zarur jo andheron ko miTaa kar raushni de jaaegaa vo bhi lamha aaegaa 'taabaan' rah-e-hasti mein jo tere pazhmurda labon ko ko de jaaegaa"
Urdu

پیار کا اک پل سکون زندگی دے جائے گا ختم جو ہونے نہ پائے وہ خوشی دے جائے گا وہ خلوص و مہر کا پیکر بنام دوستاں دشمنوں کو بھی شعور دوستی دے جائے گا حسن فطرت جلوہ گر ہو کر یقیناً اک دن رنگ کلیوں کو گلوں کو دل کشی دے جائے گا آئے گا وہ دن ہماری زندگی میں بھی ضرور جو اندھیروں کو مٹا کر روشنی دے جائے گا وہ بھی لمحہ آئے گا تاباںؔ رہ ہستی میں جو تیرے پژمردہ لبوں کو کو دے جائے گا

Hindi

प्यार का इक पल सुकून-ए-ज़िंदगी दे जाएगा ख़त्म जो होने न पाए वो ख़ुशी दे जाएगा वो ख़ुलूस-ओ-मेहर का पैकर बनाम-ए-दोस्ताँ दुश्मनों को भी शुऊ'र-ए-दोस्ती दे जाएगा हुस्न-ए-फ़ितरत जल्वा-गर हो कर यक़ीनन इक दिन रंग कलियों को गुलों को दिलकशी दे जाएगा आएगा वो दिन हमारी ज़िंदगी में भी ज़रूर जो अँधेरों को मिटा कर रौशनी दे जाएगा वो भी लम्हा आएगा 'ताबाँ' रह-ए-हस्ती में जो तेरे पज़मुर्दा लबों को को दे जाएगा

pyaar kā ik pal sukūn-e-zindagī de jā.egā
Anwar Taban
Anwar Taban
Anwar Taban
poet34 quotes

More by Anwar Taban

View all →
Quote
"vafaa kaa miri kyaa silaa dijiyegaa gham-e-dil ki lazzat baDhaa dijiyegaa mujhe dekh kar muskuraa dijiyegaa yunhi meri hasti miTaa dijiyegaa sila dil lagaane kaa kyaa dijiyegaa sitam dijiyegaa sazaa dijiyegaa sukun ki talab mujh ko hargiz nahin hai bas ik dard kaa silsila dijiyegaa khushi baanTne ke nahin aap qaail to gham hi mujhe kuchh sivaa dijiyegaa mujhe kyaa khabar thi ki khud lauh-e-dil par miraa naam likh kar miTaa dijiyegaa sukun qalb ko jis se mil jaae 'taabaan' ghazal koi aisi sunaa dijiyegaa"
Anwar TabanAnwar Taban
Quote
"har ek shakhs miraa shahr mein shanaasaa thaa magar jo ghaur se dekhaa to main akelaa thaa vo khvaab aish-e-tarab kaa jo ham ne dekhaa thaa haqiqaton se pare thaa hasin dhokaa thaa khudaa hamein bhi dikhaa de vo daur kaisaa thaa khulus-o-mehr kaa har shakhs jis mein dariyaa thaa sitam bhi mujh pe vo kartaa rahaa karam ki tarah vo mehrbaan to na thaa mehrbaan jaisaa thaa guzishta raat bhi ham ne yunhi guzaari thi zamin ko farsh kiyaa aasmaan oDhaa thaa usi ko matlabi 'taabaan' kahaa zamaane ne duaa salaam jo chhoTe baDe se rakhtaa thaa"
Anwar TabanAnwar Taban

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi