"lab par un kaa naam nahin hai chain nahin aaraam nahin hai laakh bachaao mujh se daaman meri mohabbat khaam nahin hai dil hai pareshaan un ki khaatir pal bhar ko aaraam nahin hai meri mohabbat un par kaamil ishq miraa naakaam nahin hai mushkil hai har koi dekhe us kaa jalva aam nahin hai paikar-e-ulfat huun main 'taabaan' nafrat meraa kaam nahin hai"
vafaa kaa miri kyaa silaa dijiyegaa — Anwar Taban
"vafaa kaa miri kyaa silaa dijiyegaa gham-e-dil ki lazzat baDhaa dijiyegaa mujhe dekh kar muskuraa dijiyegaa yunhi meri hasti miTaa dijiyegaa sila dil lagaane kaa kyaa dijiyegaa sitam dijiyegaa sazaa dijiyegaa sukun ki talab mujh ko hargiz nahin hai bas ik dard kaa silsila dijiyegaa khushi baanTne ke nahin aap qaail to gham hi mujhe kuchh sivaa dijiyegaa mujhe kyaa khabar thi ki khud lauh-e-dil par miraa naam likh kar miTaa dijiyegaa sukun qalb ko jis se mil jaae 'taabaan' ghazal koi aisi sunaa dijiyegaa"
وفا کا مری کیا سلا دیجئے گا غم دل کی لذت بڑھا دیجئے گا مجھے دیکھ کر مسکرا دیجئے گا یوں ہی میری ہستی مٹا دیجئے گا صلہ دل لگانے کا کیا دیجئے گا ستم دیجئے گا سزا دیجئے گا سکوں کی طلب مجھ کو ہرگز نہیں ہے بس اک درد کا سلسلہ دیجئے گا خوشی بانٹنے کے نہیں آپ قائل تو غم ہی مجھے کچھ سوا دیجئے گا مجھے کیا خبر تھی کہ خود لوح دل پر مرا نام لکھ کر مٹا دیجئے گا سکون قلب کو جس سے مل جائے تاباںؔ غزل کوئی ایسی سنا دیجئے گا
वफ़ा का मिरी क्या सिला दीजिएगा ग़म-ए-दिल की लज़्ज़त बढ़ा दीजिएगा मुझे देख कर मुस्कुरा दीजिएगा यूँही मेरी हस्ती मिटा दीजिएगा सिला दिल लगाने का क्या दीजिएगा सितम दीजिएगा सज़ा दीजिएगा सुकूँ की तलब मुझ को हरगिज़ नहीं है बस इक दर्द का सिलसिला दीजिएगा ख़ुशी बाँटने के नहीं आप क़ाइल तो ग़म ही मुझे कुछ सिवा दीजिएगा मुझे क्या ख़बर थी कि ख़ुद लौह-ए-दिल पर मिरा नाम लिख कर मिटा दीजिएगा सुकून क़ल्ब को जिस से मिल जाए 'ताबाँ' ग़ज़ल कोई ऐसी सुना दीजिएगा

More by Anwar Taban
View all →"pyaar kaa ik pal sukun-e-zindagi de jaaegaa khatm jo hone na paae vo khushi de jaaegaa vo khulus-o-mehr kaa paikar banaam-e-dostaan dushmanon ko bhi shuur-e-dosti de jaaegaa husn-e-fitrat jalva-gar ho kar yaqinan ik din rang kaliyon ko gulon ko dilkashi de jaaegaa aaegaa vo din hamaari zindagi mein bhi zarur jo andheron ko miTaa kar raushni de jaaegaa vo bhi lamha aaegaa 'taabaan' rah-e-hasti mein jo tere pazhmurda labon ko ko de jaaegaa"
"mere lab par agar kabhi aai raqs karti hui hansi aai un ke mujh par sitam baDhe jab se dard dil mein bahut kami aai hanste hanste nikal paDe aansu rote rote kabhi hansi aai raqs karne lage mire armaan yaad jab un ki jhumti aai mishal-e-raah ban ke ai 'taabaan' un ke jalvon ki raushni aai"
"bahaar ban ke mire har nafas pe chhaai ho ajab adaa se miri zindagi mein aai ho tumhaaraa husn vo tasvir-e-husn-e-kaamil hai khudaa ne khaas hi lamhon mein jo banaai ho sharaab hai na subu hai magar ye aalam hai kisi ne jaise nigaahon se mai pilaai ho tiri tarah hi gurezaan hai niind bhi mujh se qasam hai teri jo ab tak qarib aai ho tu us nigaah se pi vaqt-e-mai-kashi 'taabaan' ki jis nigaah pe qurbaan paarsaai ho"
"honge vo jalva-gar kabhi na kabhi aaeinge baam par kabhi na kabhi ye yaqin hai ki meri ulfat kaa hogaa un par asar kabhi na kabhi khinch laaegaa meraa jazba-e-dil tujh ko ai be-khabar kabhi na kabhi laakh ham se chhupaa to phir kyaa hai DhunD legaa nazar kabhi na kabhi sher-goi ko aap ki 'taabaan' hogaa haasil samar kabhi na kabhi"
"har ek shakhs miraa shahr mein shanaasaa thaa magar jo ghaur se dekhaa to main akelaa thaa vo khvaab aish-e-tarab kaa jo ham ne dekhaa thaa haqiqaton se pare thaa hasin dhokaa thaa khudaa hamein bhi dikhaa de vo daur kaisaa thaa khulus-o-mehr kaa har shakhs jis mein dariyaa thaa sitam bhi mujh pe vo kartaa rahaa karam ki tarah vo mehrbaan to na thaa mehrbaan jaisaa thaa guzishta raat bhi ham ne yunhi guzaari thi zamin ko farsh kiyaa aasmaan oDhaa thaa usi ko matlabi 'taabaan' kahaa zamaane ne duaa salaam jo chhoTe baDe se rakhtaa thaa"
More on Dil
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"