SHAWORDS

qaabu nahin havaas pe bas mein nazar nahin — Basit Ujjaini

HomeBasit UjjainiGhazal
"qaabu nahin havaas pe bas mein nazar nahin vo aae aur gae mujhe ye bhi khabar nahin un ki navaazishein jo mire haal par nahin be-taab-o-be-qaraar huun apni khabar nahin kaar-e-jahaan-e-'ishq mein naakaamiyaan kahaan takmil-e-aarzu to tiri rahguzar nahin tufaan-e-gham se khel zamaane ke saath saath manzil ki justuju koi dushvaar-tar nahin duniyaa-e-aarzu ki har ik shai fareb hai ye bhi fareb hai ki qarib-e-nazar nahin aish-o-khushi ke daur-e-guzishta ko bhuul jaa kyaa nazm-e-zindagi tire pesh-e-nazar nahin is be-sabab khulus kaa ehsaas hai magar mujh ko to ab yaqin kisi baat par nahin un ki ‘inaayaton pe madaar-e-hayaat hai un ke baghair raunaq-e-shaam-o-sahar nahin manzil ki justuju mein talavvun fuzul hai 'baasit' talaash-e-raah koi mukhtasar nahin"
Urdu

قابو نہیں حواس پہ بس میں نظر نہیں وہ آئے اور گئے مجھے یہ بھی خبر نہیں ان کی نوازشیں جو مرے حال پر نہیں بے تاب و بے قرار ہوں اپنی خبر نہیں کار جہان عشق میں ناکامیاں کہاں تکمیل آرزو تو تری رہ گزر نہیں طوفان غم سے کھیل زمانے کے ساتھ ساتھ منزل کی جستجو کوئی دشوار تر نہیں دنیائے آرزو کی ہر اک شے فریب ہے یہ بھی فریب ہے کہ قریب نظر نہیں عیش و خوشی کے دور گذشتہ کو بھول جا کیا نظم زندگی ترے پیش نظر نہیں اس بے سبب خلوص کا احساس ہے مگر مجھ کو تو اب یقین کسی بات پر نہیں ان کی عنایتوں پہ مدار حیات ہے ان کے بغیر رونق شام و سحر نہیں منزل کی جستجو میں تلون فضول ہے باسطؔ تلاش راہ کوئی مختصر نہیں

Hindi

क़ाबू नहीं हवास पे बस में नज़र नहीं वो आए और गए मुझे ये भी ख़बर नहीं उन की नवाज़िशें जो मिरे हाल पर नहीं बे-ताब-ओ-बे-क़रार हूँ अपनी ख़बर नहीं कार-ए-जहान-ए-'इश्क़ में नाकामियाँ कहाँ तकमील-ए-आरज़ू तो तिरी रहगुज़र नहीं तूफ़ान-ए-ग़म से खेल ज़माने के साथ साथ मंज़िल की जुस्तुजू कोई दुश्वार-तर नहीं दुनिया-ए-आरज़ू की हर इक शय फ़रेब है ये भी फ़रेब है कि क़रीब-नज़र नहीं ऐश-ओ-ख़ुशी के दौर-ए-गुज़िश्ता को भूल जा क्या नज़्म-ए-ज़िंदगी तिरे पेश-ए-नज़र नहीं इस बे-सबब ख़ुलूस का एहसास है मगर मुझ को तो अब यक़ीन किसी बात पर नहीं उन की ‘इनायतों पे मदार-ए-हयात है उन के बग़ैर रौनक़-ए-शाम-ओ-सहर नहीं मंज़िल की जुस्तुजू में तलव्वुन फ़ुज़ूल है 'बासित' तलाश-ए-राह कोई मुख़्तसर नहीं

qaabū nahīñ havās pe bas meñ nazar nahīñ
Basit Ujjaini
Basit Ujjaini
Basit Ujjaini
poet14 quotes

More by Basit Ujjaini

View all →
Quote
"kabhi marhalaat-e-hayaat mein koi ham-navaa hi nahin milaa ab is ittifaaq ko kyaa kahun mujhe aasraa nahin milaa jo tire qadam kaa javaab ho jo tire jamaal kaa aks ho mujhe aisaa manzil-e-shauq mein koi naqsh-e-paa hi nahin milaa kai raaz-daar-e-butaan bhi the kai raazdaar-e-haram bhi the mire ishtiyaaq-e-nigaah ko sanam-aashnaa hi nahin milaa koi muttaqi koi paarsaa koi rind koi junun-adaa ye sabhi mile hain mujhe magar koi be-khataa hi nahin milaa rah-e-marhalaat-e-khulus mein mire dil se teri nigaah tak mujhe jazb-e-shauq ke maa-sivaa koi rahnumaa hi nahin milaa ye baDi ajiib si baat hai ki taalluqaat-e-hayaat mein mujhe khud-numaa to mile magar koi rahnumaa hi nahin milaa vo junun-maqaam-o-junun-adaa vo tumhaaraa 'baasit'-e-baa-vafaa magar us kaa ham-sar-o-ham-navaa koi dusraa nahin milaa"
Basit UjjainiBasit Ujjaini
Quote
"daagh-e-dil gham ki tapish se yuun sar-e-shaam jale apni naakaami pe jaise koi naakaam jale un ke jalvon ki chamak hai ki dahakte shoale dekhne vaale ye samjhe ki dar-o-baam jale junhi saaqi ne miri samt baDhaayaa saaghar mai-kade mein kai rindaan-e-tahi-jaam jale yuun jalaa kartaa hai dil mein tiri furqat kaa charaagh jaise turbat pe koi shama sar-e-shaam jale ahl-e-irfaan ko parastaar-e-mohabbat paa kar aatish-e-rashk-o-hasad mein kai asnaam jale baat kahne ki nahin phir bhi kahe dete hain ham tire gham se kabhi subh kabhi shaam jale dekh kar 'baasit'-e-khuddaar-tabiat tujh ko kyaa taajjub hai agar gardish-e-ayyaam jale"
Basit UjjainiBasit Ujjaini
Quote
"rudaad-e-gham ki jab se shohrat si ho gai hai rangini-e-jahaan se vahshat si ho gai hai tevar bataa rahe hain andaaz be-rukhi ke un ko jafaa se shaayad raghbat si ho gai hai naahaq uThaa rahe ho tufaan tajalliyon ke zauq-e-nazar ko mere ghaflat si ho gai hai mahsus kar rahaa huun taar-e-nafas mein tezi kuchh iztiraab-e-gham mein shiddat si ho gai hai matlab nahin karam se be-mehriyon kaa gham kyaa sabr-o-razaa se ab to ulfat si ho gai hai taaron ki anjuman mein mahv-e-khayaal ho kar raaton ko jaagne ki aadat si ho gai hai dil bujh chukaa hai 'baasit' baaqi nahin tamanna ab zindagi se mujh ko nafrat si ho gai hai"
Basit UjjainiBasit Ujjaini
Quote
"umid-o-bim ko haasil baqaa kyaa main kyaa huun aur meraa muddaaa kyaa baraa-e-sajda jhukti hai jabin kyon qarib aaya kisi kaa naqsh-e-paa kyaa ye kyon taarikiyaan chhaai hui hain umidon kaa diyaa bhi bujh gayaa kyaa hamein to gham azal hi se milaa hai hamin ham hain hamaaraa puchhnaa kyaa main is tarz-e-takhaatub ke tasadduq vo farmaate hain mujh ko ho gayaa kyaa mire gham ko khudaa shaadaab rakkhe mujhe ahl-e-jahaan se vaasta kyaa mazaaq-e-ishq ke maare hue hain hamaare gham kaa 'baasit' puchhnaa kyaa"
Basit UjjainiBasit Ujjaini
Quote
"sahraa-e-aarzu mein na hargiz qiyaam kar khuddaari-e-junun kaa bhi kuchh ehtiraam kar kaif-e-alam mein Duub khudi ko davaam kar nazm-e-gham-e-hayaat kaa yuun ikhtitaam kar khud ko asir-e-panja-e-sad-ehtimaam kar mansub sarguzasht-e-vafaa un ke naam kar rang-e-shab-e-daraaz badal ashk-e-khun se shaayaan-e-shaan subh-e-tarab ehtimaam kar maanaa ki talkhiyon ke sivaa is mein kuchh nahin saaqi se hai khulus to tauqir-e-jaam kar ab jazba-e-kalim zaruri nahin to phir be-qaid-e-tur tu bhi tajalli ko 'aam kar ye chashm nam hai dil ki tabaahi pe kis liye 'baasit' usul-e-gham ko na mahfil mein 'aam kar"
Basit UjjainiBasit Ujjaini
Quote
"jo anis-e-dil nahin hai jo amin-e-gham nahin hai koi aur shai hai shaayad vo tiraa karam nahin hai mujhe koi gham nahin thaa mujhe koi gham nahin hai mire haal par kisi kaa ye karam bhi kam nahin hai mai-e-zindagi bhi hoti mai-e-angbin se saaqi tire mai-kade mein shaayad koi jaam-e-jam nahin hai rah-o-rasm-e-‘aashiqi mein jo kiyaa hai tu ne ab tak vo suluk-e-mujrimaana abhi mukhtatam nahin hai kisi be-rukhi pe un ki na churaao un se nazrein ki mazaaq-e-dilbari hai ye koi sitam nahin hai tiri maslahat pe hamdam mujhe shak nahin hai lekin ye fareb-e-mukhlisaana to javaab-e-gham nahin hai vo shu'ur-e-gham 'ataa hai mujhe fitratan azal se ki shikast-e-dil pe 'baasit' miri aankh nam nahin hai"
Basit UjjainiBasit Ujjaini

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi