Quote
"nahin shuur-e-nazar kisi mein hazaaron gham hain miri hansi mein nahin hai meaar koi baaqi na dushmani mein na dosti mein na chheD un ko ai jazba-e-dil vo ro paDeinge hansi hansi mein payambar-e-tirgi bhi ik din zarur aaeinge raushni mein zaraa koi raahbar se kah de ki raaz-e-manzil hai gumrahi mein mazaaq-e-mahfil giraa huaa hai na TuuTe dil koi dil-lagi mein bujhi hui shama saath le kar bhaTak rahe hain vo tirgi mein khudaa kaa irfaan yahi hai 'ashraf' ki lutf aa jaae bandagi mein"
