"har ek rukh se mujhe lutf-e-justuju aae zaraa vo aur qarib-e-rag-e-gulu aae maaal-e-naaz-e-khudi kyaa hai ye to samjhaa duun jise ho naaz-e-khudi mere ru-ba-ru aae baghair izn hi saaqi ne kar liyaa qabza hamaare vaaste jab saaghar-o-subu aae qadam qadam pe hai khuddaari-e-hayaat kaa Dar miri zabaan pe kyaa harf-e-aarzu aae tiri fazaa-e-mohabbat ho khush-gavaar itni nafas nafas se khulus-o-vafaa ki bu aae hamaare dil mein adaavat rahegi kyaa 'ashraf' nazar jhukaae hue jab koi adu aae"
nahin shuur-e-nazar kisi mein — Ashraf Rafi
"nahin shuur-e-nazar kisi mein hazaaron gham hain miri hansi mein nahin hai meaar koi baaqi na dushmani mein na dosti mein na chheD un ko ai jazba-e-dil vo ro paDeinge hansi hansi mein payambar-e-tirgi bhi ik din zarur aaeinge raushni mein zaraa koi raahbar se kah de ki raaz-e-manzil hai gumrahi mein mazaaq-e-mahfil giraa huaa hai na TuuTe dil koi dil-lagi mein bujhi hui shama saath le kar bhaTak rahe hain vo tirgi mein khudaa kaa irfaan yahi hai 'ashraf' ki lutf aa jaae bandagi mein"
نہیں شعور نظر کسی میں ہزاروں غم ہیں مری ہنسی میں نہیں ہے معیار کوئی باقی نہ دشمنی میں نہ دوستی میں نہ چھیڑ ان کو اے جذبۂ دل وہ رو پڑیں گے ہنسی ہنسی میں پیمبر تیرگی بھی اک دن ضرور آئیں گے روشنی میں ذرا کوئی راہبر سے کہہ دے کہ راز منزل ہے گمرہی میں مذاق محفل گرا ہوا ہے نہ ٹوٹے دل کوئی دل لگی میں بجھی ہوئی شمع ساتھ لے کر بھٹک رہے ہیں وہ تیرگی میں خدا کا عرفاں یہی ہے اشرفؔ کہ لطف آ جائے بندگی میں
नहीं शुऊर-ए-नज़र किसी में हज़ारों ग़म हैं मिरी हँसी में नहीं है मेआ'र कोई बाक़ी न दुश्मनी में न दोस्ती में न छेड़ उन को ऐ जज़्बा-ए-दिल वो रो पड़ेंगे हँसी हँसी में पयम्बर-ए-तीरगी भी इक दिन ज़रूर आएँगे रौशनी में ज़रा कोई राहबर से कह दे कि राज़-ए-मंज़िल है गुमरही में मज़ाक़-ए-महफ़िल गिरा हुआ है न टूटे दिल कोई दिल-लगी में बुझी हुई शम्अ' साथ ले कर भटक रहे हैं वो तीरगी में ख़ुदा का इरफ़ाँ यही है 'अशरफ़' कि लुत्फ़ आ जाए बंदगी में

More by Ashraf Rafi
View all →"aai bahaarein mahkaa gulshan kaliyaan chaTkin murjhaayaa man man hi man mein yaad ke jhule aankhon aankhon barse saavan har taaraa hai ik chingaari raat andheri kaali naagan har daston mein un ki murat zarra zarra jaise darpan dil mein basein aankhon mein biraajein ghar hai jis kaa us kaa aangan jitni pag se duur hai dharti itne man ke paas hain saajan aas niraas ke sab dhoke mein kaisi duuri kaisaa darshan kis kaa shikva kijiye 'ashraf' apnaa man hai apnaa dushman"
"ahd-e-vafaa na yaad dilaaein to kyaa karein ham un ko haal-e-dil na sunaain to kyaa karein jin se nahin hai aap ki manzil ko vaasta un raaston se lauT na jaaein to kyaa karein vo har taraf hain samt ki jab qaid hi nahin dair-o-haram mein sar na jhukaaein to kyaa karein mohkam hai rabt-e-ishq to nazdik-o-dur kyaa aaein to kyaa karein vo na aaein to kyaa karein maanaa ki ham ko taab-e-nazar hai na shauq-e-did rukh se vo khud hi parda uThaaein to kyaa karein 'ashraf' ko thaa amal se ziyaada karam pe naaz kaam aa gai hain us ki khataaein to kyaa karein"
"talkhi-e-mai se sarkhushi liije kam se kam ek baar pi liije shama ki tarah ro ke jiinaa kyaa phuul ki tarah hans ke ji liije kuchh to liije bahaar-e-hasti se na sahi phuul pankhuDi lijiye ishq ki rifatein na hon rusvaa daaman-e-chaak-chaak si liije maut is daur mein nahin mushkil hausla hai to zindagi liije sher mein log kyaa nahin kahte aap 'ashraf' ki baat hi liije"
"dil ki rudaad dil-lagi na sahi sun to liije kabhi abhi na sahi dekh kar mujh ko pher liin nazrein in ke chehre pe barhami na sahi un kaa jalva to har maqaam pe hai aam faizaan-e-did hi na sahi mere iqaan mein kami kyon hai aap ke lutf mein kami na sahi jabr-e-hasti hai naa-guzir 'ashraf' zindagi aaj zindagi na sahi"
"qahr-e-mujassam husn-e-mukarram aap hi shoala aap hi shabnam aap na aae ye bhi na sochaa bazm mein kitne dil hue pur-gham maan bhi lete un ki baatein lekin kuchh aavaaz thi maddham aap ye aakhir kyon hain pashemaan aap se kuchh shaaki to nahin ham yuun na jataao apni baDaai aap ki hasti khud hai musallam gunjti hain ab tak kaanon mein baatein un ki thiin yaa sargam sun na sake 'ashraf' vo hamaari baat thi sachchi ho gae barham"
More on Dosti
View all →"mahv-e-hairat huun miraa khaar ne rasta dekhaa ek kirdaar kaa kirdaar ne rasta dekhaa kaun kahtaa hai talabgaar ne rasta dekhaa ek be-daar kaa bedaar ne rasta dekhaa kam-nasibi ki mulaaqaat se mahrum rahe khush-nasibi ki mire yaar ne rasta dekhaa anginat aae ruke aur ravaana bhi hue kab kisi shakhs kaa sansaar ne rasta dekhaa apne vaalon ne musibat mein bhulaayaa lekin dosti ke liye aghyaar ne rasta dekhaa main ne sachchaai ko jis roz se apnaayaa hai meraa aksar rasan-o-daar ne rasta dekhaa tujh se 'mahmud' use pyaar bahut thaa shaayad marte dam tak tire bimaar ne rasta dekhaa"
"dushmani chalti rahi yaaron ke biich phuul bhi khilte rahe khaaron ke biich ho agar imaan-e-kaamil aaj bhi raqs ho saktaa hai angaaron ke biich dosti ki chhat banaanaa chaahiye ham ko bhi rahnaa hai divaaron ke biich aap ko to chaand kahte the sabhi aap kyon dhundlaa gae taaron ke biich khud-farebi ne sahaaraa de diyaa mil gayaa iqraar inkaaron ke biich khuub hai 'muztar' kaa rang-e-shaairi khuun ki surkhi hai ghazal-paaron ke biich"
"miri jaanib nigaah-e-naaz kar aahista aahista mire dil ke jazire mein utar aahista aahista mohabbat donon jaanib hai tafaavut sirf itnaa hai idhar hai tez-rau lekin udhar aahista aahista tiri beTi kaa qad tere baraabar ho gayaa shaayad tu apni khud-kushi par ghaur kar aahista aahista sahar aai na aae vo sitaaro jaao so jaao ki ab chalte hain ham bhi apne ghar aahista aahista jo kal tak meri barbaadi ki qasmein khaate phirte the vahi ab ho rahe hain dar-ba-dar aahista aahista na jaane rah-ravaan-e-raah kaa ab hashr kyaa hogaa bhaTakte jaa rahe hain raahbar aahista aahista khudaa ke vaaste samjhaa-bujhaa kar rok le koi vo dekho jaa rahe hain ruuTh kar aahista aahista adaavat dil mein rakhnaa muskuraa kar guftugu karnaa sabhi ko aa gayaa hai ye hunar aahista aahista nimaT luun doston ki dosti se pahle ai 'hamza' to lungaa dushmanon ki bhi khabar aahista aahista"
"gila hai apne muqaddar ki be-hisi se hamein aur is se baDh ke shikaayat hai zindagi se hamein kabhi nigaar-e-lab-e-shoala-vash kaa zikr chalaa kabhi hisaar-e-gham-e-jaan milaa kisi se hamein kabhi thaa qurb mein ik iztiraab kaa aalam kabhi qaraar milaa teri be-rukhi se hamein kabhi malaal huaa iltifaat-e-paiham se kabhi khushi thi bahut tark-e-dosti se hamein kabhi gumaan ki ye duniyaa hai ik fareb-e-nazar yaqin bhi hai khudaa ke vajud hi se hamein hayaat-e-jehd-e-musalsal mein kyon hai sargardaan zaraa pataa to chale ilm-o-aagahi se hamein agarche dil ko mili thi naved-e-subh-e-jamaal najaat mil na saki shab ki tirgi se hamein khaDe hain dasht-e-balaa-khez mein barahna-paa milaa hai izn-e-safar jazba-e-khudi se hamein 'sabaa' ye kaun si manzil hai dasht-e-imkaan mein na aashnaa se gharaz hai na ajnabi se hamein"
"ek dariyaa saa musalsal hai ravaan jaante hain ham zamaane se zamaane ko yahaan jaante hain raah-e-haq par hamein rakhnaa hain akele hi qadam saath degaa na hamaaraa ye jahaan jaante hain ham ne jo baat kahi vo bhi na samjhi tum ne dost to dost ki khaamosh zabaan jaante hain laakh aaraaishein mil jaaein magar un ke baghair ghar na ho paaegaa ham se ye makaan jaante hain daa'vaa karte hain khudaa ko bhi samajhne kaa magar ham yahaan Thiik se khud ko bhi kahaan jaante hain jism ke zakhm to sab bhar gae kab ke lekin ruuh par ab bhi jo hain ham vo nishaan jaante hain 'aarzu' kyon ho hamein ‘umr-daraazi ki jab zindagi ham tire sab sud-o-ziyaan jaante hain"
"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"