Quote
"har ek rukh se mujhe lutf-e-justuju aae zaraa vo aur qarib-e-rag-e-gulu aae maaal-e-naaz-e-khudi kyaa hai ye to samjhaa duun jise ho naaz-e-khudi mere ru-ba-ru aae baghair izn hi saaqi ne kar liyaa qabza hamaare vaaste jab saaghar-o-subu aae qadam qadam pe hai khuddaari-e-hayaat kaa Dar miri zabaan pe kyaa harf-e-aarzu aae tiri fazaa-e-mohabbat ho khush-gavaar itni nafas nafas se khulus-o-vafaa ki bu aae hamaare dil mein adaavat rahegi kyaa 'ashraf' nazar jhukaae hue jab koi adu aae"
