SHAWORDS

qand-e-dahan kuchh is se ziyaada — Faiz Ahmad Faiz

"qand-e-dahan kuchh is se ziyaada lutf-e-sukhan kuchh is se ziyaada fasl-e-khizaan mein lutf-e-bahaaraan barg-e-saman kuchh is se ziyaada haal-e-chaman par talkh-navaai murgh-e-chaman kuchh is se ziyaada dil-shikani bhi dildaari bhi yaad-e-vatan kuchh is se ziyaada sham'-e-badan faanus-e-qabaa mein khubi-e-tan kuchh is se ziyaada ishq mein kyaa hai gham ke alaava khvaaja-e-man kuchh is se ziyaada"
Urdu

قند دہن کچھ اس سے زیادہ لطف سخن کچھ اس سے زیادہ فصل خزاں میں لطف بہاراں برگ سمن کچھ اس سے زیادہ حال چمن پر تلخ نوائی مرغ چمن کچھ اس سے زیادہ دل شکنی بھی دل داری بھی یاد وطن کچھ اس سے زیادہ شمع بدن فانوس قبا میں خوبیٔ تن کچھ اس سے زیادہ عشق میں کیا ہے غم کے علاوہ خواجۂ من کچھ اس سے زیادہ

Hindi

क़ंद-ए-दहन कुछ इस से ज़ियादा लुत्फ़-ए-सुख़न कुछ इस से ज़ियादा फ़स्ल-ए-ख़िज़ाँ में लुत्फ़-ए-बहाराँ बर्ग-ए-समन कुछ इस से ज़ियादा हाल-ए-चमन पर तल्ख़-नवाई मुर्ग़-ए-चमन कुछ इस से ज़ियादा दिल-शिकनी भी दिलदारी भी याद-ए-वतन कुछ इस से ज़ियादा शम'-ए-बदन फ़ानूस-ए-क़बा में ख़ूबी-ए-तन कुछ इस से ज़ियादा इश्क़ में क्या है ग़म के अलावा ख़्वाजा-ए-मन कुछ इस से ज़ियादा

qand-e-dahan kuchh is se ziyāda
Faiz Ahmad Faiz
Faiz Ahmad Faiz
فیض احمد فیض
poet1911–1984171 quotes

Faiz Ahmad Faiz was a Pakistani poet associated with the Progressive Writers Movement.

More by Faiz Ahmad Faiz

View all →
Quote
"kis shahr na shohra huaa naadaani-e-dil kaa kis par na khulaa raaz pareshaani-e-dil kaa aao karein mahfil pe zar-e-zakhm numaayaan charchaa hai bahut be-sar-o-saamaani-e-dil kaa dekh aaein chalo ku-e-nigaaraan kaa kharaaba shaayad koi mahram mile viraani-e-dil kaa puchho to udhar tir-fagan kaun hai yaaro saunpaa thaa jise kaam nigahbaani-e-dil kaa dekho to kidhar aaj rukh-e-baad-e-sabaa hai kis rah se payaam aayaa hai zindaani-e-dil kaa utre the kabhi 'faiz' vo aaina-e-dil mein aalam hai vahi aaj bhi hairaani-e-dil kaa"
Faiz Ahmad FaizFaiz Ahmad Faiz
Quote
"phir lauTaa hai khurshid-e-jahaan-taab safar se phir nur-e-sahar dast-o-garebaan hai sahar se phir aag bhaDakne lagi har saaz-e-tarab mein phir shoale lapakne lage har dida-e-tar se phir niklaa hai divaana koi phunk ke ghar ko kuchh kahti hai har raah har ik raahguzar se vo rang hai imsaal gulistaan ki fazaa kaa ojhal hui divaar-e-qafas hadd-e-nazar se saaghar to khanakte hain sharaab aae na aae baadal to garajte hain ghaTaa barse na barse paa-posh ki kyaa fikr hai dastaar sambhaalaa paayaab hai jo mauj guzar jaaegi sar se"
Faiz Ahmad FaizFaiz Ahmad Faiz
Quote
"kai baar is kaa daaman bhar diyaa husn-e-do-aalam se magar dil hai ki is ki khaana-viraani nahin jaati kai baar is ki khaatir zarre zarre kaa jigar cheraa magar ye chashm-e-hairaan jis ki hairaani nahin jaati nahin jaati mataa-e-laal-o-gauhar ki giraan-yaabi mataa-e-ghairat-o-imaan ki arzaani nahin jaati miri chashm-e-tan-aasaan ko basirat mil gai jab se bahut jaani hui surat bhi pahchaani nahin jaati sar-e-khusrau se naaz-e-kaj-kulaahi chhin bhi jaataa hai kulaah-e-khusravi se bu-e-sultaani nahin jaati ba-juz divaangi vaan aur chaara hi kaho kyaa hai jahaan aql o khirad ki ek bhi maani nahin jaati"
Faiz Ahmad FaizFaiz Ahmad Faiz
Quote
"jamegi kaise bisaat-e-yaaraan ki shisha o jaam bujh gae hain sajegi kaise shab-e-nigaaraan ki dil sar-e-shaam bujh gae hain vo tirgi hai rah-e-butaan mein charaagh-e-rukh hai na sham-e-vaada kiran koi aarzu ki laao ki sab dar-o-baam bujh gae hain bahut sambhaalaa vafaa kaa paimaan magar vo barsi hai ab ke barkhaa har ek iqraar miT gayaa hai tamaam paighaam bujh gae hain qarib aa ai mah-e-shab-e-gham nazar pe khultaa nahin kuchh is dam ki dil pe kis kis kaa naqsh baaqi hai kaun se naam bujh gae hain bahaar ab aa ke kyaa karegi ki jin se thaa jashn-e-rang-o-naghma vo gul sar-e-shaakh jal gae hain vo dil tah-e-daam bujh gae hain"
Faiz Ahmad FaizFaiz Ahmad Faiz

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar