SHAWORDS

raat aai to taDapne ke bahaane aae — Asha Parbhat

HomeAsha ParbhatGhazal
"raat aai to taDapne ke bahaane aae ashk aankhon mein to honTon pe taraane aae phir tasavvur mein hi ham ruuTh ke badle pahlu phir khayaalon mein hi vo ham ko manaane aae un ke kuche mein jo ik 'umr guzaari ham ne ye kahaani bhi vo ghairon ko sunaane aae ye bhi sach hai ki har ik zakhm milaa hai un se aur vahi chupke se marham bhi lagaane aae jazba-e-did-e-tasavvur ko uThaae 'aashaa' apni aankhon mein liye khvaab puraane aae"
Urdu

رات آئی تو تڑپنے کے بہانے آئے اشک آنکھوں میں تو ہونٹوں پہ ترانے آئے پھر تصور میں ہی ہم روٹھ کے بدلے پہلو پھر خیالوں میں ہی وہ ہم کو منانے آئے ان کے کوچے میں جو اک عمر گزاری ہم نے یہ کہانی بھی وہ غیروں کو سنانے آئے یہ بھی سچ ہے کہ ہر اک زخم ملا ہے ان سے اور وہی چپکے سے مرہم بھی لگانے آئے جذبۂ دید تصور کو اٹھائے آشاؔ اپنی آنکھوں میں لیے خواب پرانے آئے

Hindi

रात आई तो तड़पने के बहाने आए अश्क आँखों में तो होंटों पे तराने आए फिर तसव्वुर में ही हम रूठ के बदले पहलू फिर ख़यालों में ही वो हम को मनाने आए उन के कूचे में जो इक 'उम्र गुज़ारी हम ने ये कहानी भी वो ग़ैरों को सुनाने आए ये भी सच है कि हर इक ज़ख़्म मिला है उन से और वही चुपके से मरहम भी लगाने आए जज़्बा-ए-दीद-ए-तसव्वुर को उठाए 'आशा' अपनी आँखों में लिए ख़्वाब पुराने आए

raat aa.ī to taḌapne ke bahāne aa.e
Asha Parbhat
Asha Parbhat
Asha Parbhat
poet7 quotes

More by Asha Parbhat

View all →
Quote
"jaane apne saae se kyon aaj mujhe Dar lagtaa hai jalaa huaa is shahar kaa har ghar apnaa hi ghar lagtaa hai kuchh itnaa chehra TuuTaa hai ghaav kuchh itne khaae hain phuul bhi us ke haathon kaa ab mujh ko patthar lagtaa hai jis se is nanhe bachche ki maan bahnon kaa qatl huaa mausam-e-gul kaa har ik manzar khuni manzar lagtaa hai vaise to vo meraa bhi mahbub dulaaraa hai lekin us ki har ik baat se mere dil mein khanjar lagtaa hai Duubi ubhri ubhri Duubi har lamha har pal har roz 'aashaa' us ki aankhon mein ek gahraa samundar lagtaa hai"
Asha ParbhatAsha Parbhat
Quote
"dair-o-haram bhi aae kai is safar ke biich meri jabin-e-shauq tire sang-e-dar ke biich kuchh lazzat-e-gunaah bhi hai kuchh khudaa kaa khauf insaan ji rahaa hai isi khair-o-shar ke biich ye khvaahish-e-visaal hai yaa hijr kaa suluk chuTki si li hai dard ne aa kar jigar ke biich bichhDe to ye malaal ki saughaat bhi mili taakid thi khayaal na aae safar ke biich khushbu ki tarah lafz the maani ba-qaid-e-rang ye marhale bhi aae hain arz-e-hunar ke biich dulhan bani thi 'aashaa' vo shab yaad hai mujhe gum the mire havaas hujum-e-nazar ke biich"
Asha ParbhatAsha Parbhat

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"sharik-e-aalam-e-kaif-o-surur main bhi thaa ki raat jashn mein tere huzur main bhi thaa ajiib vaqt thaa duniyaa qarib thi mere ghazab ye thaa tire daaman se duur main bhi thaa ghamon ke ghere mein jab raqs kar rahi thi hayaat tamaash-bin ki tarah be-shuur main bhi thaa na ruknaa raah mein shart-e-safar mein shaamil thaa thakan se varna bahut chuur chuur main bhi thaa utar rahaa thaa lahu kis balaa kaa aankhon mein tire khayaal mein us dam zarur main bhi thaa guzarte vaqt ne pahre baiThaa diye 'aabid' khataaein un ki na thiin be-qusur main bhi thaa"
Aabid AdeebAabid Adeeb