SHAWORDS

rafta rafta sanvar rahi hai raat — Abul Lais Javed

"rafta rafta sanvar rahi hai raat maang taaron se bhar rahi hai raat barf ki choTiyon se ho ho kar farsh-e-gul par utar rahi hai raat khvaab palkon pe ab nahin sajte ab to un par Thahar rahi hai raat main sahar ki talaash kyaa kartaa meri to ham-safar rahi hai raat nuur ki kashtiyaan hain saahil par paaniyon mein utar rahi hai raat apnaa saaya bhi saath chhoD gayaa asal mein mo'atabar rahi hai raat koi le jaise aakhri hichki is qadar mukhtasar rahi hai raat kyon na 'jaaved' rind ho jaae yuun ishaare hi kar rahi hai raat"
Urdu

رفتہ رفتہ سنور رہی ہے رات مانگ تاروں سے بھر رہی ہے رات برف کی چوٹیوں سے ہو ہو کر فرش گل پر اتر رہی ہے رات خواب پلکوں پہ اب نہیں سجتے اب تو ان پر ٹھہر رہی ہے رات میں سحر کی تلاش کیا کرتا میری تو ہم سفر رہی ہے رات نور کی کشتیاں ہیں ساحل پر پانیوں میں اتر رہی ہے رات اپنا سایہ بھی ساتھ چھوڑ گیا اصل میں معتبر رہی ہے رات کوئی لے جیسے آخری ہچکی اس قدر مختصر رہی ہے رات کیوں نہ جاویدؔ رند ہو جائے یوں اشارے ہی کر رہی ہے رات

Hindi

रफ़्ता रफ़्ता सँवर रही है रात माँग तारों से भर रही है रात बर्फ़ की चोटियों से हो हो कर फ़र्श-ए-गुल पर उतर रही है रात ख़्वाब पलकों पे अब नहीं सजते अब तो उन पर ठहर रही है रात मैं सहर की तलाश क्या करता मेरी तो हम-सफ़र रही है रात नूर की कश्तियाँ हैं साहिल पर पानियों में उतर रही है रात अपना साया भी साथ छोड़ गया असल में मो'तबर रही है रात कोई ले जैसे आख़री हिचकी इस क़दर मुख़्तसर रही है रात क्यों न 'जावेद' रिंद हो जाए यूँ इशारे ही कर रही है रात

rafta rafta sañvar rahī hai raat
Abul Lais Javed
Abul Lais Javed
Abul Lais Javed
poet6 quotes

More by Abul Lais Javed

View all →
Quote
"inkaar ki talab hai na iqraar ki talab dil mein hai mere bas tire didaar ki talab hoti hai jaise subh ko akhbaar ki talab hone lagi hai phir kisi dildaar ki talab khvaahish ki ho sukun miri zindagi ke saath sahraa mein jaise saaya-e-divaar ki talab parchhaaiyon ne saath na chhoDaa tamaam umr shaayad isi ko kahte hain sansaar ki talab duzdida-nigaahi se tiri jaag uThi hai muddat pe kisi nargis-e-bimaar ki talab jab maangne pe aao to kyaa kyaa na maang lo 'jaaved' aap kijiye kirdaar ki talab"
Abul Lais JavedAbul Lais Javed

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud