Quote
"lab par un kaa naam nahin hai chain nahin aaraam nahin hai laakh bachaao mujh se daaman meri mohabbat khaam nahin hai dil hai pareshaan un ki khaatir pal bhar ko aaraam nahin hai meri mohabbat un par kaamil ishq miraa naakaam nahin hai mushkil hai har koi dekhe us kaa jalva aam nahin hai paikar-e-ulfat huun main 'taabaan' nafrat meraa kaam nahin hai"
