SHAWORDS

rahin-e-vaardaat-e-dil hai nayyar shaaeri apni — Mustafa Husain Nayyar

"rahin-e-vaardaat-e-dil hai nayyar shaaeri apni murattab kar rahaa huun main ghazal mein zindagi apni jhuki hai paa-e-jaanaan par jabin-e-aashiqi apni mataa-e-din-o-imaan ban gai hai kaafiri apni na ab vo ahd-e-rangin hai na ab vo zindagi apni labon tak aate aate lauT jaati hai hansi apni baDi azmat ki haamil hai sharaab-e-aashiqi apni mai-o-minaa pe chhaai jaati hai paakizgi apni nigaah-e-yaar kaa tarz-e-takhaatub aah kyaa kahiye khabar hone na paai aur duniyaa luT gai apni yahi masrur nazrein jin mein duniyaa-e-masarrat hai inhin masrur nazron ne masarrat luuT li apni udhar hai kufr naazaan is taraf imaan naazaan hai ye kis ke aastaan par hai jabin-e-bandagi apni zaraa tu bhi to dekhe dil pe kyaa aalam guzartaa hai ataa kar de miri nazron ko ik din barhami apni"
Urdu

رہین واردات دل ہے نیر شاعری اپنی مرتب کر رہا ہوں میں غزل میں زندگی اپنی جھکی ہے پائے جاناں پر جبین عاشقی اپنی متاع دین و ایماں بن گئی ہے کافری اپنی نہ اب وہ عہد رنگیں ہے نہ اب وہ زندگی اپنی لبوں تک آتے آتے لوٹ جاتی ہے ہنسی اپنی بڑی عظمت کی حامل ہے شراب عاشقی اپنی مے و مینا پہ چھائی جاتی ہے پاکیزگی اپنی نگاہ یار کا طرز تخاطب آہ کیا کہئے خبر ہونے نہ پائی اور دنیا لٹ گئی اپنی یہی مسرور نظریں جن میں دنیائے مسرت ہے انہیں مسرور نظروں نے مسرت لوٹ لی اپنی ادھر ہے کفر نازاں اس طرف ایمان نازاں ہے یہ کس کے آستاں پر ہے جبین بندگی اپنی ذرا تو بھی تو دیکھے دل پہ کیا عالم گزرتا ہے عطا کر دے مری نظروں کو اک دن برہمی اپنی

Hindi

रहीन-ए-वारदात-ए-दिल है नय्यर शायरी अपनी मुरत्तब कर रहा हूँ मैं ग़ज़ल में ज़िंदगी अपनी झुकी है पा-ए-जानाँ पर जबीन-ए-आशिक़ी अपनी मता-ए-दीन-ओ-ईमाँ बन गई है काफ़िरी अपनी न अब वो अहद-ए-रंगीं है न अब वो ज़िंदगी अपनी लबों तक आते आते लौट जाती है हँसी अपनी बड़ी अज़्मत की हामिल है शराब-ए-आशिक़ी अपनी मय-ओ-मीना पे छाई जाती है पाकीज़गी अपनी निगाह-ए-यार का तर्ज़-ए-तख़ातुब आह क्या कहिए ख़बर होने न पाई और दुनिया लुट गई अपनी यही मसरूर नज़रें जिन में दुनिया-ए-मसर्रत है इन्हीं मसरूर नज़रों ने मसर्रत लूट ली अपनी उधर है कुफ़्र नाज़ाँ इस तरफ़ ईमान नाज़ाँ है ये किस के आस्ताँ पर है जबीन-ए-बंदगी अपनी ज़रा तू भी तो देखे दिल पे क्या आलम गुज़रता है अता कर दे मिरी नज़रों को इक दिन बरहमी अपनी

rahīn-e-vārdāt-e-dil hai nayyar shā.erī apnī
Mustafa Husain Nayyar
Mustafa Husain Nayyar
Mustafa Husain Nayyar
poet10 quotes

More by Mustafa Husain Nayyar

View all →
Quote
"hasti ko apni ishq ke shaayaan banaaiye un ki nazar-nazar ko rag-e-jaan banaaiye rudaad-e-dard-e-ishq se hairaan banaaiye un ko bhi aaj ashk-ba-daamaan banaaiye darmaan ko dard dard ko darmaan banaaiye sehr-e-nazar se ishq ko hairaan banaaiye mahrum rah sake na koi siina ishq se phulon ko hans ke chaak-garebaan banaaiye jo kuchh mataa-e-dil thi shab-e-gham ne luuT li aansu kahaan ki zinat-e-mizhgaan banaaiye ye mushkilein hi asl mein raaz-e-hayaat hain dushvaariyon ko aap na aasaan banaaiye kaliyon ko ye latif tabassum kahaan nasib bas ab na chashm-e-shauq ko hairaan banaaiye kahti hain paa-e-yaar pe sajdon ki azmatein is kufr hi ko haasil-e-imaan banaaiye mahdud-e-auj-e-charkh na rakhiye kamaal-e-husn zarron ko mehr-o-maah badaamaan banaaiye khud ko jo paa gayaa hai vo un ko bhi paa gayaa hasti ko apni manzil-e-jaanaan banaaiye 'nayyar' ba-hadd-e-dasht gulistaan banaa to kyaa apni nazar nazar ko gulistaan banaaiye"
Mustafa Husain NayyarMustafa Husain Nayyar
Quote
"is lataafat se navaa-pardaaz honaa chaahiye soz ke parde mein pinhaan saaz honaa chaahiye yuun takhayyul ko falak-parvaaz honaa chaahiye baaryaab-e-jalva-gaah-e-naaz honaa chaahiye chhaa rahaa hai bazm-e-aalam par sukut-e-naaravaa ik ishaara ai nigaah-e-naaz honaa chaahiye is tarah kahiye fasaana rabt-e-husn-o-ishq kaa har-nafas sarmaaya-daar-e-raaz honaa chaahiye aaj aataa hai zabaan par qissa-e-mehr-o-vafaa ahl-e-dil ko gosh-bar-aavaaz honaa chaahiye husn-e-kaafir-saaz hai ghaarat-gar-e-duniyaa-o-din ishq-e-haq-aagaah ko dam-saaz honaa chaahiye laaeq-e-sad-naaz hai 'nayyar' niyaaz-e-aashiqi apni qismat par mujhe bhi naaz honaa chaahiye"
Mustafa Husain NayyarMustafa Husain Nayyar
Quote
"tire junun-e-mohabbat kaa kaun mahram hai abhi khirad ke charaaghon mein raushni kam hai taghayyuraat kaa markaz agarche aalam hai na husn kam hai kahin se na dilkashi kam hai na zindagi ki havas hai na maut kaa gham hai tire firaaq kaa aalam ajiib aalam hai khudi kahaan ki mohabbat mein ab ye aalam hai nahin hai qurb-e-dar-e-dost phir bhi sar kham hai ye iztiraab ye tanhaaiyaan ye soz-o-gudaaz shabaab aalam-e-tifli ki shaam-e-maatam hai kise ye fikr hai 'nayyar' vafur-e-masti mein sharaab shishe mein kam hai ki zindagi kam hai"
Mustafa Husain NayyarMustafa Husain Nayyar
Quote
"unhein ham saalik-e-raah-e-fanaa ai dil samajhte hain jo apne har-nafas ko aakhri manzil samajhte hain use ham daulat-e-kaunain kaa haasil samajhte hain jise sab duur kahte hain jise sab dil samajhte hain vahi kuchh sajda-haa-e-shauq kaa haasil samajhte hain jo us ke qurb ko firdaus-e-jaan-o-dil samajhte hain nishaan hai mere sajde kaa jo ik raah-e-mohabbat mein usi ko sab charaagh-e-sarhad-e-manzil samajhte hain na vo qaatil na un ki chashm-o-mizhgaan-o-nazar qaatil ham apne dil ko khud apne liye qaatil samajhte hain koi is irtibaat-e-baahami ke raaz kyaa jaane jise vo tiir kahte hain use ham dil samajhte hain vo ik halkaa saa partav hai mire daagh-e-mohabbat kaa jise ahl-e-jahaan 'nayyar' mah-e-kaamil samajhte hain"
Mustafa Husain NayyarMustafa Husain Nayyar
Quote
"husn nikhar nikhar gayaa vasl ki ek raat mein ishq bahak bahak gayaa masti-e-vaardaat mein raat tamaam ho gai sirf takallufaat mein ishq taDap taDap uThaa husn ki baat baat mein kitne rafiq the mire jab thaa zamaana-e-nashaat koi na ham-navaa huaa vaqt pe mushkilaat mein un ki nigaah-e-avvalin dil mein samaa ke rah gai qurb se lutf hai sivaa duur ke iltifaat mein dil se mujhe bhulaa sakein aap ke bas mein ye nahin yaad miri sataaegi din se ziyaada raat mein phaili hui hai raushni zer-e-qadam hai kahkashaan saamne vo hain aur main gum huun tajalliyaat mein"
Mustafa Husain NayyarMustafa Husain Nayyar

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi