Quote
"hasti ko apni ishq ke shaayaan banaaiye un ki nazar-nazar ko rag-e-jaan banaaiye rudaad-e-dard-e-ishq se hairaan banaaiye un ko bhi aaj ashk-ba-daamaan banaaiye darmaan ko dard dard ko darmaan banaaiye sehr-e-nazar se ishq ko hairaan banaaiye mahrum rah sake na koi siina ishq se phulon ko hans ke chaak-garebaan banaaiye jo kuchh mataa-e-dil thi shab-e-gham ne luuT li aansu kahaan ki zinat-e-mizhgaan banaaiye ye mushkilein hi asl mein raaz-e-hayaat hain dushvaariyon ko aap na aasaan banaaiye kaliyon ko ye latif tabassum kahaan nasib bas ab na chashm-e-shauq ko hairaan banaaiye kahti hain paa-e-yaar pe sajdon ki azmatein is kufr hi ko haasil-e-imaan banaaiye mahdud-e-auj-e-charkh na rakhiye kamaal-e-husn zarron ko mehr-o-maah badaamaan banaaiye khud ko jo paa gayaa hai vo un ko bhi paa gayaa hasti ko apni manzil-e-jaanaan banaaiye 'nayyar' ba-hadd-e-dasht gulistaan banaa to kyaa apni nazar nazar ko gulistaan banaaiye"
