"nahin maalum kyaa vaajib hai kyaa farz mire mazhab mein hai teri razaa farz shuur-e-hasti-e-mauhum hai kufr fanaa baad-e-fanaa baad-e-fanaa farz nahin aagaah mast-e-baada-e-shauq kahaan sunnat kidhar vaajib kujaa farz reh-e-taslim mein az-ru-e-fatvaa duaa vaajib pa tark-e-muddaaa farz na chhuTe kufr mein bhi vaz-e-imaan ki har haalat mein hai yaad-e-khudaa farz nahin dekhaa kisi ne husn-e-mastur ba-qadr-e-fahm lekin kar liyaa farz na maanungaa na maanungaa kabhi main mujhe karte hain kyuun us se judaa farz na kholungaa na kholungaa zabaan ko ki hai ikhfaa-e-raaz-e-dilrubaa farz balaa se koi maane yaa na maane chalo ham kar chuke apnaa adaa farz"
ravish-e-saada-bayaani meri — Ismail Merathi
"ravish-e-saada-bayaani meri hai ye tegh-e-safhaani meri naa-shanaasaa ko na aae baavar daastaan us ki zabaani meri meri hasti hai mumayyaz ba-adam be-nishaani hai nishaani meri rakhna-gar hai miri aazaadi mein havas-e-baal fishaani meri sabaq-e-jahl ki takraar pe ab munhasir hai hama-daani meri dosti vaza-e-tan-aasaani ki ban gai dushman-e-jaani meri khaatma hai miri tamhid mein darj hai dil-aavez kahaani meri ziraki daam-e-fareb-e-dil hai hai tahayyur nigaraani meri dil ho saaqi lab-e-dariyaa saaghar sahl hai pyaas bujhaani meri subh-e-tifli hai buDhaapaa meraa shaam-e-piri thi javaani meri ek chakkar hai ba-shakl-e-gardaab band-barpaa hai ravaani meri vajh baaqi mire maani ko samajh surat albatta hai faani meri bazm-e-kasrat kaa tamaashaai huun vahdat-e-sarf hai baani meri"
روش سادہ بیانی میری ہے یہ تیغ صفہانی میری نا شناسا کو نہ آئے باور داستاں اس کی زبانی میری میری ہستی ہے ممیز بہ عدم بے نشانی ہے نشانی میری رخنہ گر ہے مری آزادی میں ہوس بال فشانی میری سبق جہل کی تکرار پہ اب منحصر ہے ہمہ دانی میری دوستی وضع تن آسانی کی بن گئی دشمن جانی میری خاتمہ ہے مری تمہید میں درج ہے دل آویز کہانی میری زیرکی دام فریب دل ہے ہے تحیر نگرانی میری دل ہو ساقی لب دریا ساغر سہل ہے پیاس بجھانی میری صبح طفلی ہے بڑھاپا میرا شام پیری تھی جوانی میری ایک چکر ہے بشکل گرداب بند برپا ہے روانی میری وجہ باقی مرے معنی کو سمجھ صورت البتہ ہے فانی میری بزم کثرت کا تماشائی ہوں وحدت صرف ہے بانی میری
रविश-ए-सादा-बयानी मेरी है ये तेग़-ए-सफ़हानी मेरी ना-शनासा को न आए बावर दास्ताँ उस की ज़बानी मेरी मेरी हस्ती है मुमय्यज़ ब-अदम बे-निशानी है निशानी मेरी रख़्ना-गर है मिरी आज़ादी में हवस-ए-बाल फ़िशानी मेरी सबक़-ए-जहल की तकरार पे अब मुनहसिर है हमा-दानी मेरी दोस्ती वज़्अ-ए-तन-आसानी की बन गई दुश्मन-ए-जानी मेरी ख़ात्मा है मिरी तम्हीद में दर्ज है दिल-आवेज़ कहानी मेरी ज़ीरकी दाम-ए-फ़रेब-ए-दिल है है तहय्युर निगरानी मेरी दिल हो साक़ी लब-ए-दरिया साग़र सहल है प्यास बुझानी मेरी सुब्ह-ए-तिफ़्ली है बुढ़ापा मेरा शाम-ए-पीरी थी जवानी मेरी एक चक्कर है बशक्ल-ए-गिर्दाब बंद-बरपा है रवानी मेरी वज्ह बाक़ी मिरे मअ'नी को समझ सूरत अलबत्ता है फ़ानी मेरी बज़्म-ए-कसरत का तमाशाई हूँ वहदत-ए-सर्फ़ है बानी मेरी

More by Ismail Merathi
View all →"hai be-lab-o-zabaan bhi ghul tere naam kaa mahram nahin hai gosh magar is payaam kaa khush hai malaamat ahl-e-kharaabaat kai liye is silsile mein naam nahin nang-o-naam kaa nakhvat hai jis ke kaasa-e-sar mein bhari hui kab mustahiq hai mahfil rindaan mein jaam kaa jaagir-e-dard par hamein sarkaar-e-ishq ne tahrir kar diyaa hai vasiqa davaam kaa vaadi-e-ishq mein na milaa koi ham-safar sunte the naam khizr alaihis-salaam kaa aasudgi na DhunD ki jaataa hai kaarvaan le mustaaar barq se vaqfa qayaam kaa kholaa hai mujh pe sirr-e-haqiqat majaaz ne ye pukhtagi sila hai khayaalaat-e-khaam kaa khaataa nahin fareb-e-tamannaa-e-do-jahaan khugar nahin hai tausan-e-himmat lagaam kaa mat rakh tamaa se chashm-e-tamatto ki hai yahaan daana har ek mardumak-e-dida-daam kaa pahunchaa diyaa hudud-e-do-aalam se bhi pare mutrib ne raag chheD diyaa kis maqaam kaa zulmat mein kyaa tamiz safed-o-siyaah ki furqat mein kuchh hisaab nahin subh-o-shaam kaa jis ki nazar hai sanat-e-abru-nigaar par hai vo qatil-e-tegh na kushta niyaam kaa khaane ko ai haris gham-e-ishq kam nahin ye ho to kuchh bhi fikr na kar qarz-o-vaam kaa main be-qaraar-e-manzil-e-maqsud be-nishaan raste ki intihaa na Thikaanaa maqaam kaa gar dekhiye to khaatir-e-naashaad shaad hai sach puchhiye to hai dil-e-naakaam kaam kaa uTThe tiri naqaab to uTh jaae ek baar sab tafraqa ye roz-o-shab-o-subh-o-shaam kaa"
"hai jaan-e-hazin ek lab-e-ruh-fazaa do ai kaash ki is ek ki ho jaaein davaa do thaa khaar-e-jigar hijr mein tanhaa gham-e-duri hain aafat-e-jaan vasl mein ab sharm-o-hayaa do mastaana-ravish kyuun na chale vo nigah-e-naaz aankhein hain ki hain jaam-e-mai-e-hosh-rubaa do ji tang hai kyaa kijiye aur josh-e-balaa ye dil ek hai kyaa dijiye aur zulf-e-dotaa do hai ain inaayat jo nishaan puchhiye meraa ye bhi nahin manzur to apnaa hi pataa do kyaa daam-e-fareb us ne bichhaayaa hai dil-aavez do aan phansein aur jo ho jaaein rihaa do gar naaz-khud-aaraa ko hai yaktaai kaa daavaa kyuun aaina dekhaa ki hue jalva-numaa do bebaaki-o-shokhi bhi hai aur sharm-o-hayaa bhi do mahram-e-asraar hain to parda-kushaa do do gesu-o-do zulf-e-balaa-khez hain chaaron haan kaakul-e-khamdaar bhi hain un ke sivaa do vo tarz-o-ravish haae vo andaaz-o-adaa haif kyaa bachte dil-o-jaan kujaa chaar kujaa do seri-e-nazar bhi na hui haae mayassar aankhein jo huiin chaar lage tir-e-qazaa do"
"zaraa gham-zadon ke bhi gham-khvaar rahnaa karein naaz to naaz-bardaar rahnaa faraakhi-o-usrat mein shaadi-o-gham mein bahar-haal yaaron ke tum yaar rahnaa samajh nardbaan apni naakaamiyon ko ki hai shart-e-himmat talabgaar rahnaa karo shukr hai ye inaayat khudaa ki balaaon mein aksar giraftaar rahnaa agar aadmi ko na ho mashghala kuchh bahisht-e-barin mein ho dushvaar rahnaa khabar bhi hai aadam se jannat chhuTTi kyuun khilaaf-e-jibillat thaa be-kaar rahnaa samajhte hain sheron ko bhi narm chaara ghazaalaan-e-shahri se hoshyaar rahnaa"
"saaqi-e-khum-khaana thaa jo subh-o-shaam roz-e-aadina thaa masjid mein imaam jis ne chashm-e-mast-e-saaqi dekh li taa-qayaamat us pe hushyaari haraam is lab-e-jaan-bakhsh ki baatein thiin yaa moajazaat-e-isi-e-gardun-maqaam ho gayaa us ko qayaamat kaa yaqin jis ne dekhaa sarv-qaamat kaa khiraam chashma-e-aab-e-baqaa ki lahr thi vo ibaarat vo ishaarat laa-kalaam marhabaa itr-e-garebaan ki shamim hai moattar jis se ruhaani mashaam thi zabaan yaa qaate-e-auhaam yaa zulfiqaar-e-haidari thi be-niyaam jis ne dekhaa nargis-e-shahlaa kaa khvaab is ne paayaa ramz-e-qalbi laa-yanaam qaala atmamto alaikum nemati ho gaiin sab khubiyaan us par tamaam jis ne chaaTi utba-e-uliyaa ki khaak talkhi-e-dauraan se ho kyuun talkh-kaam ai sabaa sahraa-e-jaan mein kar talaash kis taraf hain vo suraadiq vo khiyaam khalvat-e-lailaa mein tu guzre agar to ye kah denaa hamaaraa bhi payaam tishnigaan-e-shauq hain gum-karda-raah tu bhi chal bahr-e-khudaa do-chaar gaam bahr mein barpaa huaa josh-o-kharosh habbazaa rushhaat-e-kaasaatil-kiraam saunp di thi dast-e-qudrat ne tujhe naaqa-e-lailaa-e-maani ki zamaam"
"ghair-e-tavakkul nahin chaaraa mujhe apne hi dam kaa hai sahaaraa mujhe hirs-o-tama ne to Duboyaa hi thaa sabr-o-qanaaat ne ubhaaraa mujhe jo vo kahe us ko sazaa-vaar hai chun-o-charaa kaa nahin yaaraa mujhe be-adabon ki adab-aamoziyaan in ke bigaDne ne sanvaaraa mujhe koshish-e-be-sud mushavvash na kar qaar na ban jaae kinaaraa mujhe zishti-e-pindaar dilaataa hai yaad qissa-e-askandar-o-daaraa mujhe nang-e-muzillat se chhuDaa le gayaa josh-e-hamiyyat kaa haraaraa mujhe auj-e-maaali pe uDaa le gayaa tausan-e-himmat kaa taraaraa mujhe aah nahin rukhsat-e-ifshaa-e-raaz qissa to maalum hai saaraa mujhe fursat-e-auqaat hai bas mughtanim ye nahin milne ki dobaaraa mujhe"
More on Dosti
View all →"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"
"ek ujli du'aa kaa saaya hai masjid-e-jaan mein kaun aaya hai aane vaale dinon ki soch zaraa ye jo teraa hai sab paraayaa hai zakhm detaa hai sirf apnon ko us ne bhi kyaa mizaaj paayaa hai vaqt ab kyaa mutaalbe hain tire ham ne har qarz to chukaayaa hai haar kar tum se dil mohabbat mein aansuon kaa kharaaj laayaa hai ham andhere parakhne vaalon ne raushni se fareb khaayaa hai dosti pyaar e'tibaar 'anis' 'umr bhar bas ye dhan kamaayaa hai"
"mahv-e-hairat huun miraa khaar ne rasta dekhaa ek kirdaar kaa kirdaar ne rasta dekhaa kaun kahtaa hai talabgaar ne rasta dekhaa ek be-daar kaa bedaar ne rasta dekhaa kam-nasibi ki mulaaqaat se mahrum rahe khush-nasibi ki mire yaar ne rasta dekhaa anginat aae ruke aur ravaana bhi hue kab kisi shakhs kaa sansaar ne rasta dekhaa apne vaalon ne musibat mein bhulaayaa lekin dosti ke liye aghyaar ne rasta dekhaa main ne sachchaai ko jis roz se apnaayaa hai meraa aksar rasan-o-daar ne rasta dekhaa tujh se 'mahmud' use pyaar bahut thaa shaayad marte dam tak tire bimaar ne rasta dekhaa"
"khel duniyaa-e-'aarzi kaa huun ek kirdaar zindagi kaa huun mujh ko rakkhaa gayaa andhere mein main bhi haqdaar raushni kaa huun intihaa ke qarib hai duniyaa aadmi aakhiri sadi kaa huun dil ko ehsaas ho gayaa teraa mo'tarif teri dosti kaa huun main ne ghurbat mein 'ilm sikhaa hai main to maqruz muflisi kaa huun pur na hogaa jo mere baa'd kabhi ek aisaa khalaa kami kaa huun meraa dushman nahin 'khayaali' koi dost bhi main kisi kisi kaa huun"
"gham utaaraa gayaa sabhi ke liye ashk utre hain aadmi ke liye ik tajalli mujhe 'inaayat ho meri aankhon ki raushni ke liye ji ke lagtaa nahin munaasib hai zindagi lafz zindagi ke liye baar hotaa rahaa kisi ke sipurd shukr kartaa rahaa kisi ke liye main ne had-darja koshishein kar liin dil banaa hi nahin khushi ke liye kuchh darinde bhi jaane jaate hain apni insaan-dosti ke liye sab nahin jaante ye vo dar hai yuun to darvaaza hai sabhi ke liye us ne baadal haTaa liye 'aamir' chand lamhon ki chaandni ke liye"
"nigaahon mein iqraar saare hue hain ham un ke hue vo hamaare hue hain jin aankhon mein aansu chakaare hue hain ham un ki nigaahon ke maare hue hain na khaTkein kaho kis tarah tir-e-mizhgaan jigar par hamaare utaare hue hain jhaDe jo tiri kafsh-e-zarrin ke zarre falak par vo jaa kar sayyaare hue hain 'abas jaan deti hai bulbul gulon par ye us rukh ke sadqe utaare hue hain kis andaaz se band-e-mahram kase hain ki joban ko un ke ubhaare hue hain yaqin hai balaa ho koi aaj naazil vo baalon ko apne sanvaare hue hain khabar-daar haathon se jaane na paaein ye duzd-e-hinaa maal maare hue hain kahe deti hain saaf aankhein tumhaari kisi ghair se kuchh ishaare hue hain main manjdhaar mein Dubtaa huun ilaahi vo dil le ke meraa kinaare hue hain hamesha jo bharte the dam dosti kaa vahi dushman-e-jaan hamaare hue hain nazar kar du'aa par khudaavand-e-aalam ki ham haath apne pasaare hue hain bhalaa ghair ki is mein hai kyaa shikaayat vahi dushman-e-jaan hamaare hue hain unhein ham ne nahlaa diyaa de ke chhinTein 'ajab lutf dariyaa kinaare hue hain khabar aamad-e-gul ki shaayad hai 'aaghaa' chaman saare jhaaDe bahaare hue hain"