"shajar bolte hain hajar bolte hain safar mein mire ham-safar bolte hain main tanhaa bhi rahtaa huun mahv-e-takallum mire ghar ke divaar-o-dar bolte hain zabaan ko ijaazat na ho bolne ki to be-saakhta baal-o-par bolte hain agar masale anjuman mein na suljhein to maidaan mein tir-o-tabar bolte hain khudaa is taraf hai khudaai udhar hai sanaa-khvaan-e-mashriq kidhar bolte hain hunar-mand karte nahin khud-sataai chhupe hain jo un mein hunar bolte hain shahidon ke jismon se kyaa puchhte ho rakhe tasht mein un ke sar bolte hain"
rivaayat thi ye samjhautaa nahin thaa — Zafar Naseemi
"rivaayat thi ye samjhautaa nahin thaa main sab kaa thaa koi meraa nahin thaa hamesha is liye naa-khush rahaa main jo achchhaa thaa bahut achchhaa nahin thaa mire hisse mein aaya sabr kaa phal magar afsos vo miThaa nahin thaa kahaani zindagi ki mukhtasar thi alif-lailaa kaa afsaana nahin thaa usi aansu pe thi ummid qaaem jo us ki aankh se chhalkaa nahin thaa tavaazun kho chuki barson se duniyaa jahaan firaun thaa muusaa nahin thaa sazaa ghairon ke jurmon ki milegi main vo kaaTungaa jo boyaa nahin thaa sar-e-rah luTte hain chain rahzan yahaan aisaa kabhi hotaa nahin thaa dilon ke rishte kaise TuuT jaate ye do mulkon kaa baTvaaraa nahin thaa musaavaat-e-haram allaahu-akbar vahaan koi baDaa chhoTaa nahin thaa khudaayaa bakhsh de meri khataaein main aksar hosh mein rahtaa nahin thaa"
روایت تھی یہ سمجھوتا نہیں تھا میں سب کا تھا کوئی میرا نہیں تھا ہمیشہ اس لئے نا خوش رہا میں جو اچھا تھا بہت اچھا نہیں تھا مرے حصے میں آیا صبر کا پھل مگر افسوس وہ میٹھا نہیں تھا کہانی زندگی کی مختصر تھی الف لیلیٰ کا افسانہ نہیں تھا اسی آنسو پہ تھی امید قائم جو اس کی آنکھ سے چھلکا نہیں تھا توازن کھو چکی برسوں سے دنیا جہاں فرعون تھا موسیٰ نہیں تھا سزا غیروں کے جرموں کی ملے گی میں وہ کاٹوں گا جو بویا نہیں تھا سر رہ لوٹتے ہیں چین رہزن یہاں ایسا کبھی ہوتا نہیں تھا دلوں کے رشتے کیسے ٹوٹ جاتے یہ دو ملکوں کا بٹوارا نہیں تھا مساوات حرم اللہ اکبر وہاں کوئی بڑا چھوٹا نہیں تھا خدایا بخش دے میری خطائیں میں اکثر ہوش میں رہتا نہیں تھا
रिवायत थी ये समझौता नहीं था मैं सब का था कोई मेरा नहीं था हमेशा इस लिए ना-ख़ुश रहा मैं जो अच्छा था बहुत अच्छा नहीं था मिरे हिस्से में आया सब्र का फल मगर अफ़सोस वो मीठा नहीं था कहानी ज़िंदगी की मुख़्तसर थी अलिफ़-लैला का अफ़्साना नहीं था उसी आँसू पे थी उम्मीद क़ाएम जो उस की आँख से छलका नहीं था तवाज़ुन खो चुकी बरसों से दुनिया जहाँ फ़िरऔन था मूसा नहीं था सज़ा ग़ैरों के जुर्मों की मिलेगी मैं वो काटूँगा जो बोया नहीं था सर-ए-रह लूटते हैं चैन रहज़न यहाँ ऐसा कभी होता नहीं था दिलों के रिश्ते कैसे टूट जाते ये दो मुल्कों का बटवारा नहीं था मुसावात-ए-हरम अल्लाहु-अकबर वहाँ कोई बड़ा छोटा नहीं था ख़ुदाया बख़्श दे मेरी ख़ताएँ मैं अक्सर होश में रहता नहीं था

More by Zafar Naseemi
View all →"ajiib lutf mohabbat ki daastaan mein hai vafaa kaa tazkira duniyaa ki har zabaan mein hai na vo zamin pe kahin hai na aasmaan mein hai parinda is liye mahfuz hai uDaan mein hai nashaat-e-saaya ne maazur kar diyaa us ko vo kaise dhuup mein nikle jo saaebaan mein hai nasib dekhiye maalik to ho gayaa be-ghar kiraaya-daar abhi tak usi makaan mein hai khulus-o-mehr-o-vafaa ki nahin koi qimat vo maal biktaa nahin jo miri dukaan mein hai fulaan ki baat fulaan ne suni fulaan se kahi bas itni baat pe hangaama khaandaan mein hai 'zafar' bataa to sahi kyon hai itni be-khabari dimaagh kaun se dil kaun se jahaan mein hai"
"rusvaai ke khayaal se Dar to nahin gae vo raasta badal ke guzar to nahin gae tark-e-taalluqaat se tum ko bhi kyaa milaa ham bhi gham-e-firaaq se mar to nahin gae ham pe taras na khaa hamein laachaar dekh kar ham TuuT bhar gae hain bikhar to nahin gae dariyaa ke paar utar ke jalaai hain kashtiyaan naakaam lauT ke kabhi ghar to nahin gae daur-e-khizaan mein sabza-o-shabnam kahaan 'zafar' palkon pe aa ke ashk Thahar to nahin gae"
"ishq mein barbaad hone par pashemaani to hai phir bhi meri qadr-o-qimat us ne pahchaani to hai saans lenaa bhi jahaan mushkil hai is maahaul mein mujh ko zinda dekh kar logon ko hairaani to hai gham-gusaari meri aadat ban gai hai kyaa karun dusron kaa gham uThaane mein pareshaani to hai haath un se bhi milaane ke liye tayyaar huun dushmanon se dosti ki baat naadaani to hai kaun si aisi duaa hai jo na hogi ab qubul aankh se aansu ravaan sajde mein peshaani to hai shauq hai pur-pech raahon se guzarne kaa 'zafar' varna sidhaa raasta chalne mein aasaani to hai"
"na chheD naam-o-nasab aur nasl-o-rang ki baat ki chal nikalti hai aksar yahin se jang ki baat tumhaare shahr mein kis kis ko aaina dikhlaaein hazaar tarah ke chehre hazaar rang ki baat har ek baat pe taana har ek baat pe tanz kabhi to yaar kiyaa kar kisi se Dhang ki baat main us ke vaada-e-fardaa pe kyaa yaqin kartaa hansi mein Taal gayaa ek shokh-o-shang ki baat uThaa hai sang-e-malaamat ba-naam-e-shisha-e-dil qaraar paai hai shishe ke saath sang ki baat ajiib haal hai yaaron ki be-hisi kaa 'zafar' sukut-e-marg kaa aalam rabaab-o-chang ki baat"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"