Quote
"koi shikva to zer-e-lab hogaa kuchh khamoshi kaa bhi sabab hogaa main bhi huun bazm mein raqib bhi hai aakhiri faisla to ab hogaa aaein mai-khaane mein kabhi vaaiz huur bhi hogi aur sab hogaa bol ai mere dil ki taariki teraa suraj tulua kab hogaa suntaa hogaa sadaaein us dil ki shaam-e-tanhaai mein vo jab hogaa kab chhaTeingi ye badliyaan gham ki saaf matla ye 'josh' kab hogaa"
