Quote
"khud se jo raabta nahin karte zindagi se vafaa nahin karte apni baatein kahaa nahin karte ham khamoshi ko vaa nahin karte apni tasvir aise mat dekho aankh ko aaina nahin karte bas sunaate ho faisla apnaa tum kabhi mashvara nahin karte tum ye duniyaa bhi jiit sakte ho bas zaraa hausla nahin karte tum ko maalum kyaa hai aazaadi tum parinde rihaa nahin karte"
