Quote
"khuun ke ashk pi rahaa huun main tere vaade pe ji rahaa huun main mujh pe ilzaam-e-mai-kashi kaisaa teri aankhon se pi rahaa huun main apne haathon se dafn kar denaa teraa ham-dam kabhi rahaa huun main tujh ko rusvaa karun miri tauba apne honTon ko si rahaa huun main duur jaa kar tumhaare saae se ab kahin kaa nahin rahaa huun main mujh pe ilzaam-e-bevafaai kyon dekh 'nirdosh' hi rahaa huun main"
