SHAWORDS

sharik-e-khalvat-e-khun-baar thoDi hotaa hai — Khalid Moin

HomeKhalid MoinGhazal
"sharik-e-khalvat-e-khun-baar thoDi hotaa hai ye shahr gham kaa, nigah-daar thoDi hotaa hai shikast o fath ke asbaab tai-shuda to nahin jo ek baar ho, har baar thoDi hotaa hai hai ek vaqt muqarrar, vagarna duniyaa mein koi zavaal pe tayyaar thoDi hotaa hai fareb-e-daavaa-guzaari hai, masala kuchh aur sabhi ko 'ishq kaa aazaar thoDi hotaa hai lahu ki taal pe aaghaaz raqs karte hue idhar udhar se sarokaar thoDi hotaa hai ulaTnaa chaahe jo kaar-e-munaafiqat kaa naqaab ye shahr! is kaa taraf-daar thoDi hotaa hai lakirein khinchte rahne se ban gai tasvir koi bhi kaam ho, be-kaar thoDi hotaa hai"
Urdu

شریک خلوت خوں بار تھوڑی ہوتا ہے یہ شہر غم کا، نگہ دار تھوڑی ہوتا ہے شکست و فتح کے اسباب طے شدہ تو نہیں جو ایک بار ہو، ہر بار تھوڑی ہوتا ہے ہے ایک وقت مقرر، وگرنہ دنیا میں کوئی زوال پہ تیار تھوڑی ہوتا ہے فریب دعویٰ گزاری ہے، مسئلہ کچھ اور سبھی کو عشق کا آزار تھوڑی ہوتا ہے لہو کی تال پہ آغاز رقص کرتے ہوئے ادھر ادھر سے سروکار تھوڑی ہوتا ہے الٹنا چاہے جو کار منافقت کا نقاب یہ شہر! اس کا طرف دار تھوڑی ہوتا ہے لکیریں کھینچتے رہنے سے بن گئی تصویر کوئی بھی کام ہو، بے کار تھوڑی ہوتا ہے

Hindi

शरीक-ए-ख़ल्वत-ए-ख़ूँ-बार थोड़ी होता है ये शहर ग़म का, निगह-दार थोड़ी होता है शिकस्त ओ फ़त्ह के अस्बाब तय-शुदा तो नहीं जो एक बार हो, हर बार थोड़ी होता है है एक वक़्त मुक़र्रर, वगर्ना दुनिया में कोई ज़वाल पे तय्यार थोड़ी होता है फ़रेब-ए-दावा-गुज़ारी है, मसअला कुछ और सभी को 'इश्क़ का आज़ार थोड़ी होता है लहू की ताल पे आग़ाज़ रक़्स करते हुए इधर उधर से सरोकार थोड़ी होता है उलटना चाहे जो कार-ए-मुनाफ़िक़त का नक़ाब ये शहर! इस का तरफ़-दार थोड़ी होता है लकीरें खींचते रहने से बन गई तस्वीर कोई भी काम हो, बे-कार थोड़ी होता है

sharīk-e-ḳhalvat-e-ḳhūñ-bār thoḌī hotā hai
Khalid Moin
Khalid Moin
Khalid Moin
poet24 quotes

More by Khalid Moin

View all →
Quote
"raat aankhon mein kaaTne vaalo shaad raho aabaad raho baar-e-hijr uThaane vaalo shaad raho aabaad raho kachchi umr mein kal ke dukhon se aaj ulajhnaa Thiik nahin pahlaa saavan bhigne vaalo shaad raho aabaad raho ab aae ho saare diye jab ik ik kar ke bujh bhi gae lekin lauT ke aane vaalo shaad raho aabaad raho khaana-badoshi ek hunar hai rafta rafta aaegaa ranj-e-masaafat khinchne vaalo shaad raho aabaad raho ek dariche se do aankhein roz sadaaein deti hain raat gae ghar lauTne vaalo shaad raho aabaad raho hijr-zadon par khud nahin khultaa kis aalam mein rahte hain haal hamaaraa puchhne vaalo shaad raho aabaad raho"
Khalid MoinKhalid Moin
Quote
"dasht-e-vahshat ko faqat qais hi bhaayaa huaa hai ham ne bhi ishq kaa aazaar uThaayaa huaa hai sar-kashi mauj-e-havaa kii, ye kahaan samjhegi kis mashaqqat se diyaa ham ne jalaayaa huaa hai kaise gulfaam kahun, kaise sitaara samjhun vo badan aur hi miTTi kaa banaayaa huaa hai mauj-e-khushbu ki tarah haath na aane vaale ham ne ik saath bahut vaqt bitaayaa huaa hai aap ise kaasa-e-tashhir samajh baiThe hain ham ne ik umr se ye zakhm chhupaayaa huaa hai kaash vo chashm-e-gurezaan bhi kabhi jaan sake ham ko kis khvaab ki vahshat ne jagaayaa huaa hai"
Khalid MoinKhalid Moin
Quote
"raat kaa apnaa ik taqaddus hai so use paaemaal mat karnaa jab diye guftugu ke raushan hon lauTne kaa savaal mat karnaa mausam-e-yaad kaa koi jhonkaa, ab jo guzre tumhaari khalvat se soch lenaa hamaare baare mein, par hamaaraa malaal mat karnaa rat-jagon ki rutein to khair yunhi aati jaati hain, par ye dhyaan rahe jaagnaa bhi to is saliqe se, apni aankhon ko laal mat karnaa ham se darvesh duniyaa vaalon se, bas isi baat par ulajhte hain vahshat-e-jism-o-jaan baDi shai hai khud ko aasuda-haal mat karnaa dasht-e-ibrat-saraa mein rahnaa tu sar se saudaa nikaal kar rakhnaa log dushman kahin na ho jaaein koi aisaa kamaal mat karnaa lamha-e-hijr apni vusat mein, aap lazzat hai, zindagi bhar ki tum bhi 'khaalid-moin' yuun karnaa, umr sarf-e-visaal mat karnaa"
Khalid MoinKhalid Moin
Quote
"vo shakhs jo rakhtaa hai jamaal aur tarah kaa hai us se bichhaDne kaa malaal aur tarah kaa aasaar kharaabi ke hain, aaghaaz se zaahir lagtaa hai ki guzregaa, ye saal aur tarah kaa is shahr-e-ziyaan-kaar ke imkaan se baahar main ab ke dikhaaungaa, kamaal aur tarah kaa hotaa hai hamesha hi nae ranj mein Duubaa is jaada-e-vahshat pe dhamaal aur tarah kaa is shahr-e-fusun-gar ke azaab aur, savaab aur hijr aur tarah kaa hai, visaal aur tarah kaa ab ghar se nikalnaa hi paDegaa ki mukhaalif is baar! uThaate hain, savaal aur tarah kaa"
Khalid MoinKhalid Moin
Quote
"raqs kiyaa kabhi shor machaayaa pahli pahli baarish mein main thaa meraa paagal-pan thaa pahli pahli baarish mein paiham dastak par bundon ki aakhir us ne dhyaan diyaa khul gayaa dhire dhire daricha pahli pahli baarish mein ek akelaa main hi ghar mein khauf-zada saa baiThaa thaa varna shahr to bhiig rahaa thaa pahli pahli baarish mein aane vaale sabz dinon ki sab shaadaabi, us se hai aankhon ne jo manzar dekhaa pahli pahli baarish mein shaam paDe so jaane vaalaa! diip bujhaa kar yaadon ke raat gae tak jaag rahaa thaa pahli pahli baarish mein jaane kyaa kyaa khvaab bune the, pahle saavan mein, main ne jaane is par kyaa kyaa likkhaa pahli pahli baarish mein"
Khalid MoinKhalid Moin

More on Ishq

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kis ajab saaat-e-naayaab mein aayaa huaa huun tujh se milne main tire khvaab mein aayaa huaa huun phir vahi main huun, vahi hijr kaa dariyaa-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-aab mein aayaa huaa huun kaise aaine ke maanind chamaktaa huaa main ishq ke shahr-e-abad-taab mein aayaa huaa huun meri har taan hai az-roz-e-azal taa-ba-abad ek sur ke liye mizraab mein aayaa huaa huun koi parchhaain kabhi jism se karti hai kalaam? be-sabab saaya-e-mahtaab mein aayaa huaa huun har guzarte hue lamhe mein Tapaktaa huaa mein dard huun, vaqt ke aasaab mein aayaa huaa huun kaisi gahraai se niklaa huun adam ki 'irfaan' kaise paayaab se taalaab mein aayaa huaa huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"hijaab vaalon se vo be-hijaab ho na sakaa vo saamne thaa magar be-naqaab ho na sakaa vajud-e-khaak kaa insaan khitaab ho na sakaa ye zarra ghair-e-karam aaftaab ho na sakaa karam vo tuur pe ik be-niyaaz-e-jalva par vo be-niyaazi thi jis kaa javaab ho na sakaa uThaa ke parda chhupaa kasrat-e-tajalli mein vo be-naqaab huaa be-naqaab ho na sakaa tamaam umr rahe dekhte hayaat ke khvaab hamaari aankhon mein ye khvaab khvaab ho na sakaa rahi fareb-e-tasavvur ye raftani duniyaa saraab jaise kabhi ju-e-aab ho na sakaa zamir zaahir-o-baatin se ho gayaa aagaah kharaab baada-e-irfaan kharaab ho na sakaa mire karim ne bakhshaa isi bahaane se mire gunaahon kaa jab kuchh hisaab ho na sakaa abhi kami hai tire zauq-e-ishq mein 'aiman' lahu huaa tiraa aansu sharaab ho na sakaa"
A
Aiman Amritsari