"rukte hue qadmon kaa chalan mere liye hai sayyaara-e-hairat ki thakan mere liye hai koi miraa aahu mujhe laa kar nahin detaa kahte to sabhi hain ki khutan mere liye hai tap si mujhe aa jaati hai aaghosh mein us ki vo barf ke gaale saa badan mere liye hai hain ju-e-tab-o-taab pe anvaar ke pyaase aur shaam kaa ye saanvalaa-pan mere liye hai qandhaar na kaabul na yaman mere liye hai miTTi ke ujaDne ki chubhan mere liye hai baarut mein bhunte hue alfaaz o mafaahim ab to yahi tasvir-e-sukhan mere liye hai duniyaa hi nahin khud se khafaa rahtaa huun 'arshad' jiine kaa ye andaaz hi fan mere liye hai"
shart-e-divaar-o-dar-o-baam uThaa di hai to kyaa — Arshad Abdul Hamid
"shart-e-divaar-o-dar-o-baam uThaa di hai to kyaa qaid phir qaid hai zanjir baDhaa di hai to kyaa ab bhi tan tegh se laD jaae to chhan boltaa hai vaqt ne is pe agar dhuul jamaa di hai to kyaa mere khusrav ne mujhe gham bhi ziyaada bakhshaa daulat-e-ishq agar mujh ko sivaa di hai to kyaa ham bhi tayyaar hain phir jaan luTaane ke liye saamne phir vahi kuufa vahi vaadi hai to kyaa mujrim-e-dil ko kahaan faisla sunne kaa dimaagh us ne bakhshaa hai to kyaa aur sazaa di hai to kyaa"
شرط دیوار و در و بام اٹھا دی ہے تو کیا قید پھر قید ہے زنجیر بڑھا دی ہے تو کیا اب بھی تن تیغ سے لڑ جائے تو چھن بولتا ہے وقت نے اس پہ اگر دھول جما دی ہے تو کیا میرے خسرو نے مجھے غم بھی زیادہ بخشا دولت عشق اگر مجھ کو سوا دی ہے تو کیا ہم بھی تیار ہیں پھر جان لٹانے کے لیے سامنے پھر وہی کوفہ وہی وادی ہے تو کیا مجرم دل کو کہاں فیصلہ سننے کا دماغ اس نے بخشا ہے تو کیا اور سزا دی ہے تو کیا
शर्त-ए-दीवार-ओ-दर-ओ-बाम उठा दी है तो क्या क़ैद फिर क़ैद है ज़ंजीर बढ़ा दी है तो क्या अब भी तन तेग़ से लड़ जाए तो छन बोलता है वक़्त ने इस पे अगर धूल जमा दी है तो क्या मेरे ख़ुसरव ने मुझे ग़म भी ज़ियादा बख़्शा दौलत-ए-इश्क़ अगर मुझ को सिवा दी है तो क्या हम भी तय्यार हैं फिर जान लुटाने के लिए सामने फिर वही कूफ़ा वही वादी है तो क्या मुजरिम-ए-दिल को कहाँ फ़ैसला सुनने का दिमाग़ उस ने बख़्शा है तो क्या और सज़ा दी है तो क्या

More by Arshad Abdul Hamid
View all →"koi bhi shai ho miyaan jaan se pyaari kise hai jaan haari hai to ye dekhiye haari kise hai kornish gul ko kare kaliyon ko aadaab kahe hosh ye mamlikat-e-baad-e-bahaari kise hai dil bhi bas ek namuna hai ki duniyaa pe miTaa nazr zebaa thi kise aur guzaari kise hai ek khunTe se bandhe dasht-o-daman dekhe hain ab mayassar ram-e-aahu-e-tataari kise hai uD chalo muntakhab-e-khaas hain us ke ham log varna haasil ye tamannaa ki savaari kise hai ik sitaare ke liye sair-e-falak kartaa huun dosto fursat-e-sayyaara-shikaari kise hai"
"vahshi ishq-e-junun kam bhi nahin kartaa hai aur yuun bhi hai ki ab ram bhi nahin kartaa hai toD bhi letaa hai vo rabt-e-inaayat ham se rishta-e-dard ko mohkam bhi nahin kartaa hai us kaa shikva nahin kar sakte ki vo dil ke taiin khush nahin kartaa to barham bhi nahin kartaa hai mujhe divaar-e-anaa se vo giraataa bhi nahin aur unchaa miraa parcham bhi nahin kartaa hai tabar-o-tegh hamaari bhi dhari hai kab se chheD muddat hui 'aalam bhi nahin kartaa hai"
"udaas raat ko mahkaaein koi chaaraa karein khayaal-e-yaar ko khushbu kaa istiaaraa karein balaa ki tirgi hai chashm-e-maah ko sochein shuaa-e-khvaab tarah-daar ko sitaaraa karein mahak ruton ki bulaae tasarrufon ki taraf kaTile taar magar aur hi ishaaraa karein khizaan ke din kisi piile pahaaD jaise din shaguft gul tiri ummid par guzaaraa karein hamaare ishq ke surkhaab par vo itraae havaas-jaan mein ham us ki nazar utaaraa karein tiraa hi naam nikaltaa hai har tariqe se kisi bhi tarah mohabbat kaa istikhaaraa karein ye dasht-o-khaar ye shahr-o-gulaab sab tere shabaana roz tire lutf ko nihaaraa karein"
"havaas-o-haafize kaa maan rah gayaa hai bas kahaan ki yaad tiraa dhyaan rah gayaa hai bas tamaam lashkar-e-aql-o-nigaah khet rahaa bisaat-e-ishq pe sultaan rah gayaa hai bas vo aur hain ki jo gham ko ghalat bhi karte hain ye dil to hijr se hairaan rah gayaa hai bas khadang-e-khvaab tujhe dil mein le ke baiTh rahun mire liye yahi aasaan rah gayaa hai bas viraasaton ke sab ehsaas gum hue 'arshad' miri najaat ko imaan rah gayaa hai bas"
"har saans jo aati hai sitamgaar qafas mein khinche hai miri jaan sar-e-daar qafas mein dekhe bhi to kyaa apni masihaai kaa anjaam jhaanke bhi to kyaa nargis-e-bimaar qafas mein atraaf hain taaqat ke takabbur ki salaakhein zaalim hai khud apnaa hi giraftaar qafas mein par kaaTne vaale ko ye maalum nahin hai rukte hain kahin azm ke par-daar qafas mein ye phuul hain ye sabza hai ye baad-e-sabaa hai armaan sanjo laae hain ghar-baar qafas mein aazaadi bhi haazir hai to parvaaz bhi maujud khvaabon ne lagaa rakkhaa hai darbaar qafas mein sayyaad hamein teri khudaai bhi thi taslim hotaa jo tasavvur bhi giraftaar qafas mein"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"