SHAWORDS

shikan-aalud hai peshaani-e-doshiza-e-khuld — Hadis Salsal

HomeHadis SalsalGhazal
"shikan-aalud hai peshaani-e-doshiza-e-khuld nigah-e-rizvaan ba-daamaani-e-doshiza-e-khuld bast-e-nukta piye kam-bini-e-chashm-e-aashiq vusat-e-aalam-e-hairani-e-doshiza-e-khuld na huaa haasil-e-dushvaari-e-kaar-e-farhaad ghulghula-haa-e-pashemaani-e-doshiza-e-khuld jaada-e-raah-e-muzaafaat-e-sukhan-haa-e-darun hain muzayyan ba-gul-afshaani-e-doshiza-e-khuld vo sar-e-bazm ba-aahang-e-sitaar-o-barbat haae andaaz-e-ghazal-khvaani-e-doshiza-e-khuld ham hain zindaani-e-zindaan-e-takhayyul 'haadis' na ki mushtaaq-e-tanaasaani-e-doshiza-e-khuld"
Urdu

شکن آلود ہے پیشانیٔ دوشیزۂ خلد نگہ رضواں بہ دامانئ دوشیزۂ خلد بسط نکتہ پئے کم بینئ چشم عاشق وسعت‌ عالم حیرانئ دوشیزۂ خلد نہ ہوا حاصل‌ دشوارئ کار فرہاد غلغلہ ہائے پشیمانئ دوشیزۂ خلد جادۂ راہ مضافات سخن ہائے دروں ہیں مزین بہ گل افشانئ دوشیزۂ خلد وہ سر بزم بہ آہنگ ستار و بربط ہائے انداز غزل خوانئ دوشیزۂ خلد ہم ہیں زندانئ زندان تخیل حادثؔ نہ کہ مشتاق تن آسانیٔ دوشیزۂ خلد

Hindi

शिकन-आलूद है पेशानी-ए-दोशीज़ा-ए-ख़ुल्द निगह-ए-रिज़वाँ ब-दामानी-ए-दोशीज़ा-ए-ख़ुलद बस्त-ए-नुक्ता पिए कम-बीनी-ए-चश्म-ए-आशिक़ वुसअत-ए-आलम-ए-हैरानी-ए-दोशीज़-ए-ख़ुल्द न हुआ हासिल-ए-दुशवारी-ए-कार-ए-फ़र्हाद ग़ुल्ग़ुला-हा-ए-पशेमानी-ए-दोशीज़ा-ए-ख़ुल्द जादा-ए-राह-ए-मुज़ाफ़ात-ए-सुख़न-हा-ए-दरूँ हैं मुज़य्यन ब-गुल-अफ़्शानी-ए-दोशीज़-ए-ख़ुल्द वो सर-ए-बज़्म ब-आहंग-ए-सितार-ओ-बरबत हाए अंदाज़-ए-ग़ज़ल-ख़्वानी-ए-दोशीज़ा-ए-ख़ुल्द हम हैं ज़िंदानी-ए-ज़िंदान-ए-तख़य्युल 'हादिस' न कि मुश्ताक़-ए-तनसानी-ए-दोशीज़ा-ए-ख़ुल्द

shikan-ālūd hai peshānī-e-doshīza-e-ḳhuld
H
Hadis Salsal
Hadis Salsal
poet7 quotes

More by Hadis Salsal

View all →
Quote
"nishaan-e-subh-gah-e-jaavedaan koi nahin hai charaagh-e-dida-e-shab-zaad-gaan koi nahin hai kharaab-e-hasrat-e-umr-e-masih-e-aalam huun khushaa mudaavaa-e-zakhm-e-gumaan koi nahin hai saraapaa zakhm-e-khadang-e-nigaah-e-fardaa huun maqaam-e-dil sar-e-maujudagaan koi nahin hai na baandh misra-e-tamhid-e-kulfat-e-hasti yahaan pe koh-e-tamannaa ba-jaan koi nahin hai ghubaar-e-jaada-e-tanhaa dayaar-e-sar-gardaan ki be-rihaaish-o-be-khaanumaan koi nahin hai pas-e-vafaa-e-taghaaful-sifat ba-zom-e-vafaa ba-juz yaqin-e-qarib-e-gumaan koi nahin hai to phir ye parda-e-takhliq chashm-e-hairat hai agar ba-farz-e-giraan aasmaan koi nahin hai charaagh-e-matla-e-ummid-gaah raushan hai agarche jalva-figan taa-karaan koi nahin hai maqaam-e-fikr-o-amal hai ki be-niyaazi-e-shauq ki dil mein khadsha-e-sud-o-ziyaan koi nahin hai ba-tama-daari-e-ganj-e-maaaniyaan-e-ajab shumaar-e-hasrat-e-ganj-e-ravaan koi nahin hai tamaasha-bin tamaashaa-e-khud-farebi hain navaa-e-naghma-o-naara-zanaan koi nahin hai khumaar-e-baada-e-kuhna-navaaz-e-kam-nazari faraagh-e-sohbat-e-fahmidagaan koi nahin hai sitam-rasida-e-shab-haa-e-intizaar-e-sahar fughaan ki muntazir-e-nim-jaan koi nahin hai fasurdagi ko guzargaah-e-nau-bahaari se ilaaqa-e-havas-e-bostaan koi nahin hai kahaan sifaat-e-bayaan-e-ali kahaan 'haadis' magar ba-hasb-e-sukhan qadr-daan koi nahin hai"
H
Hadis Salsal
Quote
"dida-e-kam-sifaat andar se tu ne dekhi hai raat andar se khvaahish-e-naara-e-zafar-yaabi mujh ko honi hai maat andar se khair-maqdam na kar urus-e-chashm luT chuki hai baraat andar se ai fareb-e-barun-e-mausam-zard sabz the saare paat andar se apne ThanDe badan ko chhutaa huun junhi jalte hain haat andar se hasrat-e-daad-e-justuju na rahi aisi bigDi hai baat andar se haae vo ghar ki jis mein pesh aae dastki haadsaat andar se sharar-afshaani-e-bayaaz-e-ghazal kyaa hue kaaghzaat andar se surmai khushbuon ke nashsha hai raqs-farmaa hai raat andar se koi lutf-e-ajab ki hai masdud jihat-e-sad-jihaat andar se"
H
Hadis Salsal
Quote
"sar-e-nigaah bisaat-e-jahaan to kuchh bhi nahin jahaan-e-khud-nigar-o-kaj-gumaan to kuchh bhi nahin darud bar-sar-e-karb-e-taghayyur-e-mausam gham-e-siyaasat-e-ahl-e-jahaan to kuchh bhi nahin tamaam asl-e-sukhan daad-e-khaaliq-e-khaama kamaal-e-mubtadi-e-nim-jaan to kuchh bhi nahin tamaam husn-e-sukhan khubi-haa-e-nukta-varaan jamaal-e-dida-e-giryaa-kunaan to kuchh bhi nahin ba-pesh-e-jurat-e-tark-e-umid-e-yaas fazaa bisaat-e-aalam-e-umid-e-aan to kuchh bhi nahin umid-vaar rukh-e-dida-bakhs-e-aaina-haa qarib-o-dur nigah juz gumaan to kuchh bhi nahin sukut-e-arz-o-samaa parda-haa-e-shorish-e-dil khulaa ki ghalghala-e-al-amaan to kuchh bhi nahin sar-e-basit-e-jamaal-e-mujassam-e-ijmaal tahayyur-e-nigah-e-aashiqaan to kuchh bhi nahin sukun-e-khvaab-e-fazaa ranj-e-raaegaani-e-umr zayaan-e-baais-e-sad-haa ziyaan to kuchh bhi nahin shuur-e-chashm-o-dil-o-jaan nisaari-e-aashiq agar hai khaaliq-e-naam-o-nishaan to kuchh bhi nahin safir-e-khush-khabar-e-ku-e-yaar-e-naa-maujud nahin vajud-e-fareb-e-gumaan to kuchh bhi nahin khamoshi-e-rah-e-pur-samt-e-yak musaafir-e-ju nahin hai naala-e-paa-bast-gaan to kuchh bhi nahin salaah-e-khush-guzaraan qaatil-e-tamannaa hai magar vaqaar-e-tamannaa yahaan to kuchh bhi nahin"
H
Hadis Salsal
Quote
"savaal-e-tajurba-e-kaar-e-sakht uThne lagaa so phir tamavvuj-e-andoh-bakht uThne lagaa ba-kaj-adaya-e-khubaan-e-naaz-e-aalam se tayaqqun-e-dil-bargashta bakht uThne lagaa dukaan-o-majlis-e-naa-aashnaa-e-jauhar se ye arjumand ba-asbaab-o-rakht uThne lagaa ba-qadr-e-ramz jahaan fahma-e-nigaah-e-dil nashin-e-kucha-o-sahraa-o-takht uThne lagaa ba-iltihaab-e-tamannaa-e-did-e-haasil-e-ishq dhuaan saa az-jigar-e-lakht-lakht uThne lagaa khabar to thi mire dair-aashnaa ko duniyaa se ki 'haadis'-e-gham-e-aghmaaz-e-bakht uThne lagaa"
H
Hadis Salsal
Quote
"gham-zada main bhi nahin aur ghamin tu bhi nahin ab to paaband-e-vafaa main bhi nahin tu bhi nahin main bhi uftaada-e-andaaz-e-tamannaa-e-hayaat yaa'ni doshiza-e-firdaus-e-barin tu bhi nahin ai shafaq-khezi-e-ijmaal-e-sahar sad-afsos aks-e-taariki-e-shab-haa-e-hazin tu bhi nahin main ki ham-zaad-e-nashinaan-e-harim-e-khasta haae kaashaana-e-be-khas kaa makin tu bhi nahin zinat-e-saaya-e-divaar-e-makaan meraa gumaan aur koi bhi nahin saaya-nashin tu bhi nahin ruh-e-pazh-murda-e-takhayyul lab-o-mushaf-e-naaz is udaasi kaa sabab mere taiin tu bhi nahin fitrat-e-gardish-e-aalaam-e-taghayyur se varaa khugar-e-aish magar main bhi nahin tu bhi nahin"
H
Hadis Salsal
Quote
"khvaahish-e-meva-e-tar ho ye zaruri to nahin har koi khuld-badar ho ye zaruri to nahin tesha-e-gham ko sanam-saazi-e-hasti se gharaz sang vaabasta-e-dar ho ye zaruri to nahin main huun aaluda ba-khun-e-jigar-o-khaak-e-jahaan vo tiri raahguzar ho ye zaruri to nahin kuchh jamaal-e-kam-o-kaj-bini-e-khush-chashm bhi hai sab tiraa husn-e-nazar ho ye zaruri to nahin ai hunar-mand-e-jaraahat talab-e-khaama tujhe daava-e-zakhm-e-hunar ho ye zaruri to nahin raanda-e-halqa-e-aaghosh pas andesha-e-jamaal teraa manzur-e-nazar ho ye zaruri to nahin lafz-e-sir mein mire eraab taraaz-e-mukhlis zer ki jaa pe zabar ho ye zaruri to nahin ye bhi malzum nahin to ho giraftaar-e-khirad mujh ko bhi apni khabar ho ye zaruri to nahin baad-e-taqrib-e-tamannaai-e-nazzaara-e-tur taaqat-o-taab-e-nazar ho ye zaruri to nahin aalam-e-be-khudi-e-ishrat-e-be-ghaayat hai ruuh masrur magar ho ye zaruri to nahin hai mai-e-shauq mein aamezish-e-talkhaab-e-gumaan phir bhi takhfif-e-asar ho ye zaruri to nahin dil ba-afzaaish-e-khuddaari-e-aahang-e-sukhan khaaef-e-ahl-e-nazar ho ye zaruri to nahin piri-e-ishq se huun sehat-e-maashuq-shikaar dil tavaanaa-e-jigar ho ye zaruri to nahin surat-e-qurb-e-musalsal bhi nikal sakti hai baam par umr basar ho ye zaruri to nahin bas ki ik vasvasa-e-barg-e-khizaan-dida hai khuld-e-imkaan mein shajar ho ye ye zaruri to nahin inhisaar-e-gham-e-hasti ba-gham-e-marg-e-havas 'haadis'-e-khaak-basar ho ye zaruri to nahin"
H
Hadis Salsal

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb