SHAWORDS

sogvaaron mein azaadaar nahin koi bhi — Aqeel Abbas Chughtai

"sogvaaron mein azaadaar nahin koi bhi yaani sach hai ki miraa yaar nahin koi bhi khud ko ik umr binaa dekhe pareshaan rakhaa ab jo dekhaa pas-e-divaar nahin koi bhi qahqaha-vaar rulaane ki riyaazat hai tiri zindagi tujh saa jafaakaar nahin koi bhi main to yuun mast huaa log tujhe ye na kahein ki tire ishq mein sarshaar nahin koi bhi aankh likhti hai shab-e-hijr kaa ahvaal 'aqil' yuun nahin ishq kaa akhbaar nahin koi bhi"
Urdu

سوگواروں میں عزادار نہیں کوئی بھی یعنی سچ ہے کہ مرا یار نہیں کوئی بھی خود کو اک عمر بنا دیکھے پریشان رکھا اب جو دیکھا پس دیوار نہیں کوئی بھی قہقہہ وار رلانے کی ریاضت ہے تری زندگی تجھ سا جفاکار نہیں کوئی بھی میں تو یوں مست ہوا لوگ تجھے یہ نہ کہیں کہ ترے عشق میں سرشار نہیں کوئی بھی آنکھ لکھتی ہے شب ہجر کا احوال عقیلؔ یوں نہیں عشق کا اخبار نہیں کوئی بھی

Hindi

सोगवारों में अज़ादार नहीं कोई भी या'नी सच है कि मिरा यार नहीं कोई भी ख़ुद को इक उम्र बिना देखे परेशान रखा अब जो देखा पस-ए-दीवार नहीं कोई भी क़हक़हा-वार रुलाने की रियाज़त है तिरी ज़िंदगी तुझ सा जफ़ाकार नहीं कोई भी मैं तो यूँ मस्त हुआ लोग तुझे ये न कहें कि तिरे इश्क़ में सरशार नहीं कोई भी आँख लिखती है शब-ए-हिज्र का अहवाल 'अक़ील' यूँ नहीं इश्क़ का अख़बार नहीं कोई भी

sogvāroñ meñ azādār nahīñ koī bhī
Aqeel Abbas Chughtai
Aqeel Abbas Chughtai
Aqeel Abbas Chughtai
poet9 quotes

More by Aqeel Abbas Chughtai

View all →
Quote
"oDh letaa hai koi tirgi shab se pahle runumaa hote hain asaraat sabab se pahle sab se unchaa thaa zamaane mein takhayyul meraa haadse mujh pe giraa karte the sab se pahle ek duuje se numu paati hain chizein aksar pyaas kaa naam kahaan hotaa thaa lab se pahle sher ne husn ki tarvij kaa saamaan kiyaa raaegaan jaati thi har aankh adab se pahle subh kaa bhulaa huaa aa to gayaa hai vaapas masala ye hai ki aayaa nahin shab se pahle vo jo din-raat ki tartib lagaataa hai abhi jaane kyaa kartaa thaa is kaar-e-ajab se pahle naaz-bardaari tiri karte bahut karte magar zindagi ham ko mili hai tu talab se pahle aaj kuchh aur hi maqsad hai charaaghon kaa 'aqil' raushni itni nahin hoti thi ab se pahle"
Aqeel Abbas ChughtaiAqeel Abbas Chughtai
Quote
"rakhe hain chaak-e-zamaan par fanaa baqaa aur main umaD rahe hain tamaashaa-e-naaravaa aur main phir ek roz khalaa bhar gayaa thaa kamre mein ki jazb ho gae divaar mein sadaa aur main charaagh bujhte rahe aur shahr jalte rahe sukut oDh ke baiThe rahe khudaa aur main ye dasht aaj bhi ham se hai be-khabar afsos kahaan ki khaak uDaate rahe havaa aur main badan ki naav thi girdaab-e-lams joban mein ajab khumaar mein Duube the naakhudaa aur main thaa irtiqaa-e-sukhan koi khaamushi kaa amal hue hain vaqf-e-tahayyur miri navaa aur main zaraa si der miraa dhyaan baT gayaa thaa kahin bujhe mile hain kisi aankh mein diyaa aur main kuchh is tarah se huaa kam hamaaraa khaali-pan ki ek dusre mein bhar gae khalaa aur main abhi khayaal hai tajsim ki nazar se pare abhi hain ret mein mastur aaina aur main"
Aqeel Abbas ChughtaiAqeel Abbas Chughtai
Quote
"khud apni zaat kaa inkaar karne vaalaa hai koi tamaam hadein paar karne vaalaa hai abhi na haath baDhaa pagDiyon ki jaanib tu ki ye tamaasha su-e-daar karne vaalaa hai kabhi kisi ne kiyaa hai na kar sakegaa koi jo mere saath miraa yaar karne vaalaa hai mujhe vo maatami aankhein lagaae jaa rahaa hai vo mere khvaab azaadaar karne vaalaa hai miraa tumhaaraa khudaa ek ho nahin saktaa miraa khudaa to baDaa pyaar karne vaalaa hai abhi to raat hai sab chain se hain soe hue magar jo subh kaa akhbaar karne vaalaa hai"
Aqeel Abbas ChughtaiAqeel Abbas Chughtai
Quote
"main samajhtaa thaa dar-o-baam kahaan bolte hain phir tire baa'd khulaa mujh pe ki haan bolte hain ye jo dabti hai mire shor mein aavaaz miri meri hasti mein kahin kaar-e-ziyaan bolte hain is jahaan ke mutavaazi bhi jahaan hai koi jo yahaan bol nahin paate vahaan bolte hain muttasil us ke labon se hai ye kaar-e-aavaaz vo agar hil na sakein ham bhi kahaan bolte hain ik zamaane ko bayaan karte hain lafzon ke baghair mujh sukhan-saaz se behtar to nishaan bolte hain dekh ik duuje se Takraane lagin aavaazein itnaa be-Dhang tire log yahaan bolte hain ik khalaa hai jo sadaaon ko nigal jaataa hai koi sun hi nahin paataa jo makaan bolte hain aag roti hai to ham ko bhi rulaa deti hai ye to aansu hain jinhein log dhuaan bolte hain ashk dar ashk salaasat hai bahaao mein 'aqil' miri aankhon ko tabhi chashm-e-ravaan bolte hain"
Aqeel Abbas ChughtaiAqeel Abbas Chughtai

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi