SHAWORDS

soz-e-dil-o-jaan aur hai saaz-e-dil-o-jaan aur — Aziz Badayuni

HomeAziz BadayuniGhazal
"soz-e-dil-o-jaan aur hai saaz-e-dil-o-jaan aur ehsaas-e-bayaan aur hai idraak-e-nihaan aur duniyaa-e-mohabbat mein zamin aur zamaan aur ik shoala-ba-jaan naghma-kunaan raaz-e-nihaan aur shaair kaa jahaan aur hai shaatir kaa jahaan aur mafhum mohabbat kaa yahaan aur vahaan aur ai chaand ki mafluj fazaaon ke musaafir hai muntazir-e-did abhi bazm-e-jahaan aur khud mahv-e-tamaashaa hain mah-o-mehr-o-kavaakib hai aadam-e-khaaki tiri manzil kaa nishaan aur kuchh duur hujum-e-gham-e-jaanaan se nikal jaa ai ashk-e-ravaan shoala-e-jaan barq-e-tapaan aur ye nuzhat-o-nikhat kaa tabassum vo tasaadum ye abr-e-karam aur hai aahon kaa dhuaan aur tujh ko gham-e-jaanaan gham-e-dauraan se badal duun hai azm-e-javaan aur zamaan aur samaan aur sarmaaya-e-hasti thaa kabhi josh-e-taghazzul ehsaas-e-junun aur thaa andaaz-e-bayaan aur kyaa ye bhi zamaane kaa koi turfa asar hai hai teri 'aziz' aaj zabaan aur bayaan aur"
Urdu

سوز دل و جاں اور ہے ساز دل و جاں اور احساس بیاں اور ہے ادراک نہاں اور دنیائے محبت میں زمیں اور زماں اور اک شعلہ بجاں نغمہ کناں راز نہاں اور شاعر کا جہاں اور ہے شاطر کا جہاں اور مفہوم محبت کا یہاں اور وہاں اور اے چاند کی مفلوج فضاؤں کے مسافر ہے منتظر دید ابھی بزم جہاں اور خود محو تماشا ہیں مہ و مہر و کواکب ہے آدم خاکی تری منزل کا نشاں اور کچھ دور ہجوم غم جاناں سے نکل جا اے اشک رواں شعلۂ جاں برق تپاں اور یہ نزہت و نکہت کا تبسم وہ تصادم یہ ابر کرم اور ہے آہوں کا دھواں اور تجھ کو غم جاناں غم دوراں سے بدل دوں ہے عزم جواں اور زماں اور سماں اور سرمایۂ ہستی تھا کبھی جوش تغزل احساس جنوں اور تھا انداز بیاں اور کیا یہ بھی زمانہ کا کوئی طرفہ اثر ہے ہے تیری عزیزؔ آج زباں اور بیاں اور

Hindi

सोज़-ए-दिल-ओ-जाँ और है साज़-ए-दिल-ओ-जाँ और एहसास-ए-बयाँ और है इदराक-ए-निहाँ और दुनिया-ए-मोहब्बत में ज़मीं और ज़माँ और इक शो'ला-ब-जाँ नग़्मा-कुनाँ राज़-ए-निहाँ और शाइ'र का जहाँ और है शातिर का जहाँ और मफ़्हूम मोहब्बत का यहाँ और वहाँ और ऐ चाँद की मफ़्लूज फ़ज़ाओं के मुसाफ़िर है मुंतज़िर-ए-दीद अभी बज़्म-ए-जहाँ और ख़ुद महव-ए-तमाशा हैं मह-ओ-मेहर-ओ-कवाकिब है आदम-ए-ख़ाकी तिरी मंज़िल का निशाँ और कुछ दूर हुजूम-ए-ग़म-ए-जानाँ से निकल जा ऐ अश्क-ए-रवाँ शो'ला-ए-जाँ बर्क़-ए-तपाँ और ये नुज़हत-ओ-निकहत का तबस्सुम वो तसादुम ये अब्र-ए-करम और है आहों का धुआँ और तुझ को ग़म-ए-जानाँ ग़म-ए-दौराँ से बदल दूँ है अज़्म-ए-जवाँ और ज़माँ और समाँ और सर्माया-ए-हस्ती था कभी जोश-ए-तग़ज़्ज़ुल एहसास-ए-जुनूँ और था अंदाज़-ए-बयाँ और क्या ये भी ज़माने का कोई तुर्फ़ा असर है है तेरी 'अज़ीज़' आज ज़बाँ और बयाँ और

soz-e-dil-o-jāñ aur hai sāz-e-dil-o-jāñ aur
A
Aziz Badayuni
Aziz Badayuni
poet11 quotes

More by Aziz Badayuni

View all →
Quote
"dil-e-betaab ko bahlaa chuki huun sitaare aasmaan se laa chuki huun nigaah-e-kahkashaan se puchh lenaa shuaa-e-zindagaani paa chuki huun khirad ki tang vaadi se nikal kar junun ki manzilat apnaa chuki huun andheron mein charaaghaan karne vaalo ujaalon mein andheraa paa chuki huun zamin ki pastiyon ko kyuun gila hai jinhein main aasmaan batlaa chuki huun jahaan par aql ruk jaati hai aksar tasavvur mein vahaan tak jaa chuki huun tire kirdaar mein muzmar hai azmat tujhe ai zindagi samjhaa chuki huun mohabbat sirf ruhaani kashish hai gham-e-hasti tujhe apnaa chuki huun shuur-e-zist naa-mumkin nahin hai nigaah maut ko sharmaa chuki huun azizo baa-vafaa fazl-e-khudaa se maqaam-e-bandagi apnaa chuki huun"
A
Aziz Badayuni
Quote
"baqaa sadaf ki guhar ke sivaa kuchh aur nahin vafaa shuur-e-bashar ke sivaa kuchh aur nahin ghalat ghalat ki mohabbat fareb-e-hasti hai ye rabt-e-khaas asar ke sivaa kuchh aur nahin shuaa-e-mehr-e-munavvar main maah-e-taabaan main kisi ki pahli nazar ke sivaa kuchh aur nahin abhi junun ko guzarnaa hai shaah-raahon se junun ki had tire dar ke sivaa kuchh aur nahin vo shaam-e-gham jo tiri zindagi kaa haasil hai vo shaam nur-e-sahar ke sivaa kuchh aur nahin yahi nizaam-e-jahaan hai yahi hai raaz-e-baqaa samar hayaat-e-shajar ke sivaa kuchh aur nahin tujhe khirad se hai nisbat hamein 'aziz' junun ba-qadr-e-zarf nazar ke sivaa kuchh aur nahin"
A
Aziz Badayuni
Quote
"dil-e-muztarib tiri dhaDkanon mein ye kis kaa aks-e-khiraam hai ki isi khiraam pe munhasir miri zindagi kaa nizaam hai isi kashmakash mein na tai hue rukh-o-zulf-e-yaar ke marhale ki harif-e-dida-e-muntazir kabhi subh hai kabhi shaam hai mire haal par nigah-e-karam to bajaa magar ye karam kahin miraa iztiraab na chhin le abhi is se aur bhi kaam hai mah-o-mehr-o-anjum-o-kahkashaan nahin laakh parda-e-darmiyaan vo had-e-nigaah se duur hai to jabin se ek hi gaam hai jo 'aziz' hai miri zindagi to ye mahviyat bhi hai bandagi ki namaaz-e-ishq mein naasehaa na sujud hai na salaam hai"
A
Aziz Badayuni
Quote
"hain kashmakash mein aaj tiri daastaan se ham ai dil shuru' karein ye hikaayat kahaan se ham teraa khulus teri mohabbat tiri nazar kis tarah chhin laaein mah-o-kahkashaan se ham naazaan hai koi apne taghaaful pe marhabaa majbur ho rahe dil-e-naaz-daan se ham josh-e-junun ne thaam liyaa hai khulus hai guzre qadam qadam pe nae imtihaan se ham qaht-e-vafaa mein valvala-e-jaan fanaa huaa kyaa bad-gumaan hain aaj kisi raazdaan se ham ye to khizaan-nasib bahaaron se puchhiye vaabasta-e-khulus rahe gulsitaan se ham mahsus ho rahaa hai ki manzil qarib hai kuchh duur jaa chuke hain fazaa-e-jahaan se ham uf vusat-e-nigaah-e-takhayyul na puchhiye so aasmaan-buland hain is aasmaan se ham ye daastaan-e-gham hi mataa-e-'aziz' hai duniyaa basaa rahe hain gham-e-jaavedaan se ham"
A
Aziz Badayuni
Quote
"sunoge tum bhi miri daastaan kabhi na kabhi asar dikhaaegaa dard-e-nihaan kabhi na kabhi kabhi to aatish-e-namrud sard bhi hogi qaraar paaegaa qalb-e-tapaan kabhi na kabhi ye aaj gardish-e-shaam-o-sahar bataati hai nazar bachaaegaa khud aasmaan kabhi na kabhi kabhi to gauhar-e-naayaab haath aaegaa milegaa ruh-e-khudi kaa nishaan kabhi na kabhi jamud-e-sehr-e-tamannaa mein rah nahin saktaa farogh paaegaa azm-e-javaan kabhi na kabhi azaan bilaal ki gunji hai regzaaron mein sunegaa dil ki sadaa ye jahaan kabhi na kabhi 'aziz' teri mohabbat bhi rang laaegi tamaam hogaa gham-e-bekaraan kabhi na kabhi"
A
Aziz Badayuni

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil